Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Maa ki mamta ko dekh maut v
aage se hat jati hai
gar  maa apmanit hoti
dharti ki chaati fat jaati hai
ghar ko pura jeevan dekar
bechari maa kya pati hai
rukha sukha kha leti hai
paani *** kar soo jati hai

Jo maa jaisi devi ghar ke
mandir me nahi rakh sakte hai
wo lakho punya bhale kar le
inshan nahi ban sakte hai
maa jisko v jal de-de
wo paudha sandal ban jata hai
maa ke charno ko chukar paani
Gangajal ban jata hai

Maa ke anchal ne yugo-yugo se
Bhagwano ko pala hai
maa ke charno me jannat hai
Girijaghar aur Shivala hai
Himgiri jaisi unchai hai
sagar jaisi gahrai hai
dunia me jitni khushboo hai
maa ke anchal se aaye hai

Maa kabira ki sakhi hai
maa tulsi ki chaupai hai
meerabai ki padawali
khusru ki amar rubai hai
maa angan ki tulsi jaisi
pawan bargad ki chaya hai
maa ved richao ki garima
maa mahakavya ki maya hai

Maa maansarovar mamta ka
maa gomukh ki unchai hai
maa parivaro ka sangam hai
maa rishto ki gahrai hai
maa hari dubh hai dharti ki
maa keshar wali kyari hai
maa ki upma kewal maa hai
maa har ghar ki phulwari hai

Saato sur nartan karte jab
koi maa lori gaati hai
maa jis roti ko chu leti hai
wo prasad ban jati hai
maa hasti hai to dharti ka
jarra-jarra muskata hai
dekho to dur kshtiz ambar
dharti ko sheesh jhukata hai

Mana mere ghar ki deewaro me
chanda si murat hai
par mere man ke mandir me
bas kewal maa ki murat hai
maa saraswati lakshmi durga
ansuya mariyam sita hai
maa pawanta me ramcharit
manas me bhagwat geeta hai

Amma teri har baat mujhe
vardaan se badhkar lagti hai
he Maa teri surat mujhko
bhagwan se badhkar lagti hai
saare teerath ke punya jaha
mai un charno me leta hu
jinke koi santan nahi
mai un maawo ka beta hu

Har ghar me Maa ki puja **
Aisa sankalp uthata hu
Mai dunia ki har maa ke
Charno me ye sheesh jhukata hu.....
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Maa
Jab aankh khuli to amma ki
godi ka ek sahara tha
uska nanha sa anchal mujhko
bhumandal se v pyara tha.....
uske chehre ki jhalak dekh
chehra phulo sa khilta tha
uske stan ki ek bund se
mujhko jeevan milta tha
haatho se baalo ko noocha
pairo se khoob prahar kia
phir v us maa ne puchkara
humko jee bhar ke pyar kia

Mai uska raja beta tha
wo ankho ka tara kahti thi
mai banu budhape me uska
bas ek sahara kahti thi
ungli ko pakad chalaya tha
padhne vidlaya bheja tha
meri naadani ko v neej
antar me sadasaheja tha

Mere saare prashno ka wo
fauran jawab ban jaati thi
meri raho ke kaante chun
wo khud gulaab ban jaati thi
mai bada hua to college se
ek rog pyar ka le aaya
jis dil me maa ki murat thi
wo ramkali ko de aaya

shaadi ki pati se papa bana
apne rishto me jhul gya
ab karwa chauth maanta hu
maa ki mamta ko bhul gya
hum bhul gye uski maamta
mere jeevan ki thati thi
hum bhul gye apana jeevan
wo amrit wali chaati thi

Hum bhul gye wo khud bhukhi
rah karke hume khilati thi
humko sukha bistar dekar
khud geele me soo jaati thi
hum bhul gye usne hi
hotho ko bhasha sikhlayi thi
meri neendo ke lie raat bhar
uss maa ne lori gaayi thi

hum bhul gye har galti par
usne danta samjhaya tha
bach jau buri najar se
kala teeka sada lagaya tha
hum bade hue to mamta wale
saare bandhan tod aaye
bangle me kutte paal laye
maa ko vridhaashram chod aaye
apano sapno ka mahal girakar
kankar -kankar been laye
khudgargi me uske suhag ke
aabhushan tak cheen laye

Hum maa ko ghar ke batware ki
abhilasha tak le aaye
usko paawan mandir se
gaali ki bhasha tak le aaye

to be continued ........(next part may be in next week)
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Shrivastva MK Jun 2015
Duniya ko janam dene wali maa
Teri mamta kaha kho ***,
insan insan ko mar raha
Aadmi ki niyat haiwan si ** ***,
Roh pare wo bhi
Jisne banaya ye jahan,
Dekh es duniya ki surat usne bhi kaha,
Badal raha insan,
Ab badal raha insan......


Tumhare sikhaye hua raste se
bhatak raha insan,
Lut ke ejjat ek aurat ki
Mita di mamta ki pahchan,
Kar ke dhuli aanchal teri
Badal raha insan,
Ab badal raha insan.......


Kash! na hoti duniya
Na rahta insan,
Bata ke roya "Manish" bhi
Kalyugi insan ki pahchan,
Badal raha insan,
Ab badal raha insan.....
Endless love, Cruelty, Endless Humanity
Meri aankho ka tara hi , mujhe aankhe dikhata hai
Jise har ek khushi de di , wo har gam se milata hai
Jubaa se kuch kahu , kaise kahu , kisse kahu maa hu
Sikhaya bolna jisko , wo chup rahna sikhata hai ||

Sula kar soti thi jisko
Wo ab shab bhar jagata hai
Sunai loria jisko , wo ab taane sunata hai ||

Sikhane me usse kya kuch kami meri rahi sochu
Jise ginti sikhayi galtiya meri ginata hai ||

Tu gahri chao hai gar zindgi ek dhoop hai Amma
Dhara pr kab kaha tujh sa koi swaroop hai Amma
Agar ishwar kahi par hai usse dekha kaha kisne
Dhaa par tu hi ishwar ka koi roop  hai Amma ||

Naa ucchai sacchi hai naa ye aadhar saccha hai
Maa koi cheej sacchi hai naa ye sansaar saccha hai
Magar dharti se ambar tak yugo se log kahte hai
Agar saccha hai kuch jag me to Maa ka pyar saccha hai ||

Jara saa der hone par sabhi se puchti Amma
Palak jhapke bina darwaja ghar ka taakti Amma
Har ek aahat par uska chouk padna fir duaa dena
Mere ghar laut aane tak barabar jaagati Amma ||

|| Puchta hai Koi Dunia me Mohabbat hai kaha
Muskura deta hu mai or yaad aa jati hai Maa ||


Sulane ke lie mujhko to khud jaagi rahi amma
Sirrhane der tak aksar meri baithi rahi amma
Mere sapno me pariya phul titli bhi tabhi tak the
Mujhe aanchal me apne le ke jab leti rahi amma ||

Badi choti rakam se ghar chalana jaanti thi maa
Kami thi par badi khusiya lutana jaanti thi maa
Mai khushhaali me bhi rishto me bas duri bana paya
Garibi me bhi har rishta nibhana jaanti thi maa

Laga bachpan me yu andhera hi mukaddar hai
Magar maa hausala dekar yu boli tumko kya dar hai
Koi aage niklne ke lie rashta nahi dega
Mere baccho badho aage tumhare saath hai amma

Kisi ke jakhm ye dunia to ab silti nahi amma
Kali dil me ab to preet ki khilti nahi amma
Mai apanapan hi akshar dhundta rahta hu rishto me
Teri nischal si mamta to kahi milti nahi amma

Gamo ki bheed me jisne hume hasna sikhaya tha
Wo jiske dam se tufanoo ne apna sar jhukaya tha
Kisi v julm ke aage kabhi jhukna nahi bete
Sitam ki ummr choti hai mujhe maa ne sikhaya tha || ||
Copyright© Shashank K Dwivedi
Web- skdisro.weebly.com
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
kundan kumar May 2015
maa
payar ke do lamhon me kho jana chahta ***
maa ke aanchal me so ja jana chahta ***
mamta ki sarowar me dub jana chahta ***
yein duniyan ki rasme se parein hona chata ***
is jhut ki nagri se niklna chahta ***
payar ke do lamhon me kho jana chahta ***
maa ke aanchal me so ja jana chahta ***
yein badal tu mujhse kyun puchh raha h
tu bhi to maa ki mamta ko chahta h
tabhi to pani bankar maa ki god me barasta h
mai bhi apne aansu maa ki god me bahana chahta ***
payar ke do lamhon me kho jana chahta ***
maa ke aanchal me so ja jana chahta ***
yein pat tu mujhse kyun puch rahan h
tu bhi to maa ki god me samana chahta h
kabhi patjhar, to kabhi aandhi ke karan maa ki god me aana chahta h
mai bhi apne mastak maa ki god me girana chahta ***
payar ke do lamhon me kho jana chahta ***
maa ke aanchal me so ja jana chahta ***
Shrivastva MK Sep 2015
MAA

Maa mamta ki phool hai,
maa pyaar ka samundar hai,
badal de dhukh ko bhi sukh mein,
Maa ke andar karuna ka wo bhandar hai,

Maa duniya ki janani hai,
Maa surya ki raushani hai ,
jinke paas maa hai wo nirdhan nahi ,kyoki
maa wo khushio ki lakshmi hai,

Maa in othon ki muskurahat hai,
Maa baccho ki taqdeer hai ,
Maa hai hamare path nirmata ,
maa us devi ki tasveer hai ,

                PITA

Pita ghar ka anushashan hai,
pita maa ka sindoor hai,
baccho ko sahi galat ki siksha dene wale ,
pita Wo shikshak ki tasveer hai ,

pita ghar ka maan hai ,
Pita us devta saman hai ,
baccho ke bhavishya ujwal karne wala ,
Pita wo takatwar vartamaan hai,

Pita maa ki muskurahat hai ,
Pita maa ki bindiya hai ,
jahan  bashta baccho ka jahan,
Pita ghar ki wo khushia hai ,

maat pita jinke paas wo sabse dhani hai,
na ** kabhi inhe dukh ye pran hume karni hai,
inka Sahara bankar kare inka samman ,
yehi hamare pooja yahi hamare bhagwaan..
Dedicated to my parents
Nahh ainkh khuli ,nahhh mai sunn paya...
Maa ke pait mai rehker bhi maina apna parivar ka pyaar paya...
Jab ainkh khuli ,toh roker pura hospital sirr per uthaya ....
Phir Papa ki godi mai sirr rakhker hee mujha thoda chain aaya....
Pheli baar ghar aake , thoda mann dagmagaya....
Dada dadi ko paas dekhker,firrr maii zorr se khilkhilaya....
Jab naam sochne ki baari aayi....
Toh bua ne kaan mai naam pyaar se fusfusaya ....
Bade hokar bhi chota ke sath khelna...
Aisa charitra maina apna hee parivaar mai h paaya...
School jane ki umar mai bhi...
Har parivaar ke sadasye ko hai maina satya...
Kabhi woh dila do, yaa kabhi yeh dilado hee harr baar hai chilaya...
Harr divas ko hamne pura harsh aur ullas ke sath banya....
Pyaar se sath rehna ka hee humna hamesha se wachan h khaya....
Sabke dhurr jana ke baad bhi....
Maine apna parivaar ko hee paas paya...
Harrr sukh dukh mai unhona hee mujha  sabke sath rehna sikhaya...
Apna parivaar se dhurr jake bhi...
Maina uhna harrr jagah h paaya...
Voice call aur video call ne hee unka pyaar h mujh tak pahuchaya....
Maa ki mamta ne hee maano jaisa mujha iss kadar banaya...
Jo maina apna parivaar ka itna pyaar h paaya...
Maarte wakt bhi mera parivaar ne hee mujha kahnde per uthaya...
Ainshu aur apni yaadeino ko bhula krr hee mujha mera parivaar ne jalaya....

— The End —