Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"mamta" poems
Maa ki mamta ko dekh maut v aage se hat jati hai gar maa apmanit hoti dharti ki chaati fat jaati hai ghar ko pura jeevan dekar bechari maa kya pati hai rukha sukha kha leti hai paani *** kar soo jati hai Jo maa jaisi devi ghar ke mandir me nahi rakh sakte hai wo lakho punya bhale kar le inshan nahi ban sakte hai maa jisko v jal de-de wo paudha sandal ban jata hai maa ke charno ko chukar paani Gangajal ban jata hai Maa ke anchal ne yugo-yugo se Bhagwano ko pala hai maa ke charno me jannat hai Girijaghar aur Shivala hai Himgiri jaisi unchai hai sagar jaisi gahrai hai dunia me jitni khushboo hai maa ke anchal se aaye hai Maa kabira ki sakhi hai maa tulsi ki chaupai hai meerabai ki padawali khusru ki amar rubai hai maa angan ki tulsi jaisi pawan bargad ki chaya hai maa ved richao ki garima maa mahakavya ki maya hai Maa maansarovar mamta ka maa gomukh ki unchai hai maa parivaro ka sangam hai maa rishto ki gahrai hai maa hari dubh hai dharti ki maa keshar wali kyari hai maa ki upma kewal maa hai maa har ghar ki phulwari hai Saato sur nartan karte jab koi maa lori gaati hai maa jis roti ko chu leti hai wo prasad ban jati hai maa hasti hai to dharti ka jarra-jarra muskata hai dekho to dur kshtiz ambar dharti ko sheesh jhukata hai Mana mere ghar ki deewaro me chanda si murat hai par mere man ke mandir me bas kewal maa ki murat hai maa saraswati lakshmi durga ansuya mariyam sita hai maa pawanta me ramcharit manas me bhagwat geeta hai Amma teri har baat mujhe vardaan se badhkar lagti hai he Maa teri surat mujhko bhagwan se badhkar lagti hai saare teerath ke punya jaha mai un charno me leta hu jinke koi santan nahi mai un maawo ka beta hu Har ghar me Maa ki puja ** Aisa sankalp uthata hu Mai dunia ki har maa ke Charno me ye sheesh jhukata hu.....
0
Aug 6, 2015
Aug 6, 2015 at 3:35 AM UTC
Maa - Part 2

Continue reading...
68
Meri aankho ka tara hi , mujhe aankhe dikhata hai Jise har ek khushi de di , wo har gam se milata hai Jubaa se kuch kahu , kaise kahu , kisse kahu maa hu Sikhaya bolna jisko , wo chup rahna sikhata hai || Sula kar soti thi jisko Wo ab shab bhar jagata hai Sunai loria jisko , wo ab taane sunata hai || Sikhane me usse kya kuch kami meri rahi sochu Jise ginti sikhayi galtiya meri ginata hai || Tu gahri chao hai gar zindgi ek dhoop hai Amma Dhara pr kab kaha tujh sa koi swaroop hai Amma Agar ishwar kahi par hai usse dekha kaha kisne Dhaa par tu hi ishwar ka koi roop  hai Amma || Naa ucchai sacchi hai naa ye aadhar saccha hai Maa koi cheej sacchi hai naa ye sansaar saccha hai Magar dharti se ambar tak yugo se log kahte hai Agar saccha hai kuch jag me to Maa ka pyar saccha hai || Jara saa der hone par sabhi se puchti Amma Palak jhapke bina darwaja ghar ka taakti Amma Har ek aahat par uska chouk padna fir duaa dena Mere ghar laut aane tak barabar jaagati Amma || **|| Puchta hai Koi Dunia me Mohabbat hai kaha Muskura deta hu mai or yaad aa jati hai Maa ||** Sulane ke lie mujhko to khud jaagi rahi amma Sirrhane der tak aksar meri baithi rahi amma Mere sapno me pariya phul titli bhi tabhi tak the Mujhe aanchal me apne le ke jab leti rahi amma || Badi choti rakam se ghar chalana jaanti thi maa Kami thi par badi khusiya lutana jaanti thi maa Mai khushhaali me bhi rishto me bas duri bana paya Garibi me bhi har rishta nibhana jaanti thi maa Laga bachpan me yu andhera hi mukaddar hai Magar maa hausala dekar yu boli tumko kya dar hai Koi aage niklne ke lie rashta nahi dega Mere baccho badho aage tumhare saath hai amma Kisi ke jakhm ye dunia to ab silti nahi amma Kali dil me ab to preet ki khilti nahi amma Mai apanapan hi akshar dhundta rahta hu rishto me Teri nischal si mamta to kahi milti nahi amma Gamo ki bheed me jisne hume hasna sikhaya tha Wo jiske dam se tufanoo ne apna sar jhukaya tha Kisi v julm ke aage kabhi jhukna nahi bete Sitam ki ummr choti hai mujhe maa ne sikhaya tha || ||
0
Feb 17, 2017
Feb 17, 2017 at 12:39 AM UTC
Humari Soch Aur MAA

43
Jab aankh khuli to amma ki godi ka ek sahara tha uska nanha sa anchal mujhko bhumandal se v pyara tha..... uske chehre ki jhalak dekh chehra phulo sa khilta tha uske stan ki ek bund se mujhko jeevan milta tha haatho se baalo ko noocha pairo se khoob prahar kia phir v us maa ne puchkara humko jee bhar ke pyar kia Mai uska raja beta tha wo ankho ka tara kahti thi mai banu budhape me uska bas ek sahara kahti thi ungli ko pakad chalaya tha padhne vidlaya bheja tha meri naadani ko v neej antar me sadasaheja tha Mere saare prashno ka wo fauran jawab ban jaati thi meri raho ke kaante chun wo khud gulaab ban jaati thi mai bada hua to college se ek rog pyar ka le aaya jis dil me maa ki murat thi wo ramkali ko de aaya shaadi ki pati se papa bana apne rishto me jhul gya ab karwa chauth maanta hu maa ki mamta ko bhul gya hum bhul gye uski maamta mere jeevan ki thati thi hum bhul gye apana jeevan wo amrit wali chaati thi Hum bhul gye wo khud bhukhi rah karke hume khilati thi humko sukha bistar dekar khud geele me soo jaati thi hum bhul gye usne hi hotho ko bhasha sikhlayi thi meri neendo ke lie raat bhar uss maa ne lori gaayi thi hum bhul gye har galti par usne danta samjhaya tha bach jau buri najar se kala teeka sada lagaya tha hum bade hue to mamta wale saare bandhan tod aaye bangle me kutte paal laye maa ko vridhaashram chod aaye apano sapno ka mahal girakar kankar -kankar been laye khudgargi me uske suhag ke aabhushan tak cheen laye Hum maa ko ghar ke batware ki abhilasha tak le aaye usko paawan mandir se gaali ki bhasha tak le aaye to be continued ........(next part may be in next week)
0
Aug 3, 2015
Aug 3, 2015 at 3:04 PM UTC
Maa

61
MAA Maa mamta ki phool hai, maa pyaar ka samundar hai, badal de dhukh ko bhi sukh mein, Maa ke andar karuna ka wo bhandar hai, Maa duniya ki janani hai, Maa surya ki raushani hai , jinke paas maa hai wo nirdhan nahi ,kyoki maa wo khushio ki lakshmi hai, Maa in othon ki muskurahat hai, Maa baccho ki taqdeer hai , Maa hai hamare path nirmata , maa us devi ki tasveer hai ,                 PITA Pita ghar ka anushashan hai, pita maa ka sindoor hai, baccho ko sahi galat ki siksha dene wale , pita Wo shikshak ki tasveer hai , pita ghar ka maan hai , Pita us devta saman hai , baccho ke bhavishya ujwal karne wala , Pita wo takatwar vartamaan hai, Pita maa ki muskurahat hai , Pita maa ki bindiya hai , jahan  bashta baccho ka jahan, Pita ghar ki wo khushia hai , maat pita jinke paas wo sabse dhani hai, na ** kabhi inhe dukh ye pran hume karni hai, inka Sahara bankar kare inka samman , yehi hamare pooja yahi hamare bhagwaan..
0
Sep 30, 2015
Sep 30, 2015 at 7:56 PM UTC
MATA-PITA
Duniya ko janam dene wali maa Teri mamta kaha kho *** insan insan ko mar raha Aadmi ki niyat haiwan si ** *** Roh pare wo bhi Jisne banaya ye jahan, Dekh es duniya ki surat usne bhi kaha, Badal raha insan, Ab badal raha insan...... Tumhare sikhaye hua raste se bhatak raha insan, Lut ke ejjat ek aurat ki Mita di mamta ki pahchan, Kar ke dhuli aanchal teri Badal raha insan, Ab badal raha insan....... Kash! na hoti duniya Na rahta insan, Bata ke roya "Manish" bhi Kalyugi insan ki pahchan, Badal raha insan, Ab badal raha insan.....
0
Jun 7, 2015
Jun 7, 2015 at 6:02 AM UTC
BADAL RAHA INSAN......?
payar ke do lamhon me kho jana chahta *** maa ke aanchal me so ja jana chahta *** mamta ki sarowar me dub jana chahta *** yein duniyan ki rasme se parein hona chata *** is jhut ki nagri se niklna chahta *** payar ke do lamhon me kho jana chahta *** maa ke aanchal me so ja jana chahta *** yein badal tu mujhse kyun puchh raha h tu bhi to maa ki mamta ko chahta h tabhi to pani bankar maa ki god me barasta h mai bhi apne aansu maa ki god me bahana chahta *** payar ke do lamhon me kho jana chahta *** maa ke aanchal me so ja jana chahta *** yein pat tu mujhse kyun puch rahan h tu bhi to maa ki god me samana chahta h kabhi patjhar, to kabhi aandhi ke karan maa ki god me aana chahta h mai bhi apne mastak maa ki god me girana chahta *** payar ke do lamhon me kho jana chahta *** maa ke aanchal me so ja jana chahta ***
0
May 15, 2015
May 15, 2015 at 3:44 PM UTC
maa
Nahh ainkh khuli ,nahhh mai sunn paya... Maa ke pait mai rehker bhi maina apna parivar ka pyaar paya... Jab ainkh khuli ,toh roker pura hospital sirr per uthaya .... Phir Papa ki godi mai sirr rakhker hee mujha thoda chain aaya.... Pheli baar ghar aake , thoda mann dagmagaya.... Dada dadi ko paas dekhker,firrr maii zorr se khilkhilaya.... Jab naam sochne ki baari aayi.... Toh bua ne kaan mai naam pyaar se fusfusaya .... Bade hokar bhi chota ke sath khelna... Aisa charitra maina apna hee parivaar mai h paaya... School jane ki umar mai bhi... Har parivaar ke sadasye ko hai maina satya... Kabhi woh dila do, yaa kabhi yeh dilado hee harr baar hai chilaya... Harr divas ko hamne pura harsh aur ullas ke sath banya.... Pyaar se sath rehna ka hee humna hamesha se wachan h khaya.... Sabke dhurr jana ke baad bhi.... Maine apna parivaar ko hee paas paya... Harrr sukh dukh mai unhona hee mujha sabke sath rehna sikhaya... Apna parivaar se dhurr jake bhi... Maina uhna harrr jagah h paaya... Voice call aur video call ne hee unka pyaar h mujh tak pahuchaya.... Maa ki mamta ne hee maano jaisa mujha iss kadar banaya... Jo maina apna parivaar ka itna pyaar h paaya... Maarte wakt bhi mera parivaar ne hee mujha kahnde per uthaya... Ainshu aur apni yaadeino ko bhula krr hee mujha mera parivaar ne jalaya....
0
Mar 29, 2020
Mar 29, 2020 at 6:34 AM UTC
MERA PARIVAAR