"maloom" poems
Tere bin yeah zindagi mazaak see lagti hai
Har dhuvay mai lipti apni he aag lagti hai
Tunay thama tha hath mera toh hum chalna jaan gaye
feesal rahia hai kadam kyun ki thokarey apni he lagti hai
Nigahain num naa huvi toh gilla rehta he hai
Har katrai-e-ansu phir bhi ek shikayat see lagti hai
Yeah kis mode pay hum akay rukay,na manzil hai aur naa rasta
Faryaad kissay ab karey ki har shey ajnabi see lagti hai.
ghum-e-samandar k kinarey pay tanhaa betha hai yeh dil
Pass aye toh aye kon ki dardkaney bhi ab sazaa see lagti hai
Bichard kay tumsay hum khoye kahaan naa maloom hai
Jistiju mai har bikhra nishaan apni he pehchaan lagti hai
Yeah kaisi inayat hai ki tummay mang kar yun ruswaye milli
kyun har dua ab yun khairaat see lagti hai
Yeah ishq kyun aisa hai ,naa tera hai aur naa mera
kab aye aur kab gaye ki choti see mulakat lagti hai
Ab aur nibaya nhi jata RUMI,yeah **** bina rooh kay
Mere waja say yeah duniya kyunki pereshaan see lagti hai
...Aabid Rumii
Tanzeelah Illahi
May 25, 2017
May 25, 2017 at 4:54 AM UTC
ziddi tu bhi hai
ziddi mai bhi ***
na bolungi mai
na bolega tu
ye chuppi najane kb tootegi
ye narazgi na jane kb chootegi
ye gussa hamara ,
kb tk hame rakhega dur
bina baat kiye .
kaise maloom ** kiska hai kasoor
yaad aata hai vo waqt
jb hum sath the
saari pereshani
jhelte sath the
saari khushiyan hum bantte the
ab baith poorani yaade chantte hai
kashh aisa **
ki hum fir sath hon
dosti ki hamari sb baaten kren
kahin aisa na ** ki
yaadon me ab raaten katen
Mar 13, 2018
Mar 13, 2018 at 11:21 PM UTC
Kabhi chhor kar jaana na mujhe,
tujhe rok nhi paunga
Behad pyaar karta *** tujhse,
Lekin bayaa nhi kar paunga.
Haan shayad jee toh lunga tere bina bhi,
par tere saath marna chahata hoon
Haan shayad teri yaad bahut aayegi,
Par iss dil ko maloom hai tu kahin nhi jaayegi.
Ro bhi lunga kissi ke kandhe par sir rakhke
par mujhe shaant karne ke liye tu nhi hogi
Muskura bhi lunga tere jaane ke baad bhi
par tu yeh na samjh lena khush rahunga main tere bina bhi.
Kaash ki samay ko yahin rok pata,
Aane wale kal ko naa dekh pata,
Khush rehta in palon me,
Kyunki sayad kal tu mere sath nhi hogi.
Mar 3, 2019
Mar 3, 2019 at 5:42 AM UTC