Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Oct 2017
Aate hai farishtey bankar,
Rehte hai har waqt haath thamkar,
Milta Hai anmol dosti ka vardaan jise,
Phulo se sazakar rakhna use,

Aate hai anzaan bankar,
Rahte hai dilon jaan bankar,
Sari hasratey pure ** jate hain,
Jab wo pyare dost muskurate hain,

Gum ke sagar mein dubne na dete
Khushiyan ka paigaam hain bhejte
Zindagi jeene ka maksad btate
Pyaara sa sansaar hai chahte

har pal ko khushnuma banate,
Sahi galat ka ehsaas karate,
Jo gumo me bhi saath nibhate hai,
Wahi sacche dost kahlate hai,

Khuda kasam kya khubsurat rishta hai dosti
Phulo se mehakta bagicha hai dosti
Yaaron ke bina adhuri hai zindagi
Zindagi jeene ki wajah h dosti


Written By
Sonia Paruthi & Shrivastva MK
U can also read this poem on allpoetry.
https://allpoetry.com/poem/13546476-Yaaron-ki-yaari--by-Sonia-Paruthi
Shabdo ke guldaste se likhte hain yaara,
Khuda kasam aapke bin dil nahi lagta humara.

Aap is dil ki dadhkan **,
Aaj fir se pukar rhe hain sun tou lo.

Suna hai dil ke rishtey bin kahe sab sun lete,
Laga lo kaske apni jaan ko gale se.

Aaj keh rhe hain mohabbat hai beinteha tumse,
Kabhi juda na hona humse.

Aapke bina jiya jaye na,
Maana hai tumhe khuda.

Aap par kabhi koi aanch na aane denge,
Har takleef khud seh lenge.

Shayar ** tum,
Ghazal hai hum.

Diya ** tum,
Baati hain hum.

Naina ** tum,
Roshni hain hum.

Khuda ** tum,
Bhakt hain hum.

Ek pal bhi na jaana dur,
Ye dil ** jayega chur chur.

Is duniya mein har koi bs rulana jaanta,
Aapse milkar ye dil ne seekha dadhakta.

Ek aap hi ** jeene ki wajah hamari,
Aapkebin ye naadan hai adhuri.

Maaf krna agar humse kabhi koi bhul ** jaye,
Aapke khatir hum apni jaan kurbaan kar jaye.

Aye hawa pahucha de un tak mere paigaam,
Unke bin hum hai gumnaam.

Har saans par bs naam hai tumhara,
Zindagi jeene ka ek hi maksad hai hamara.

Lafzon mein baya nahi kar sakte ,
Hum aapko kitna hai chahte .

Taqdeer hamari hai khushnaseeb,
Jo aap hain is dil ke itne kareeb .
AR Dec 2019
Chalti hu, par kahan jaa rahi hu pata nahin
Roti hu, par kya wajah hai pata nahin
Saas toh le rahi hu, par maksad kya hai pata nahin
Sab paas toh hai, par akeli kyu hu pata nahin
Thak gayi hu khud se khud ki jung mei,
Aisa kyu hogyi hu main pata nahin

#AR

— The End —