Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
JAMIL HUSSAIN Oct 2016
Hamari Sanson Mein Aaj Tak
Woh Heena Ki Khushbhoo Mehak Rahi Hai
Labon Pe Naghme Machal Rahe Hain
Nazar Se Masti Jhalak Rahi Hai*

O’ even today within my breathes
That sweet smell of henna is still lingering
Upon the lips songs are way-warding
And with mischief, the glances are twinkling


Woh Mere Nazdeek Aate Aate
Haya Se Ek Din Simat Gaye Thay
Mere Khayalon Mein Aaj Tak
Woh Badan Ki Daali Latak Rahi Hai


O’ inching towards me,
One day he shyly gathered himself
Till today, within my thoughts
His body's youthfulness is still swaying


Sada Jo Dil Se Nikal Rahi Hai
Woh Sher-o-Naghmon Mein Dhal Rahi Hai
Ke Dil Ke Aangan Mein Jaise
Koi Ghazal Ki Dhaandhar Khanak Rahi Hai


O’ this cry coming from within my heart
Finds its way into verses and songs
As if in the courtyard of my heart
Beat of a poem is throbbing


Tadap Mere Bekharar Dil Ki
Kabhi To Unpay Asar Kare Gi
Kabhi To Woh Bhi Jaleinge Isme
Jo Aag Dil Mein Dahek Rahi Hai


O’ my restless heart's tremor
Will surely affect him one day
Someday, he too will burn
In the fire of my heart which is raging


— Translated by Jamil Hussain, Sung by Noor Jahan
Abhishek Ashish Oct 2017
Ruk-Ruk kar chalna, girna aur sambhalna,
Koi mujhe rokna, jara sa koi tokna….

Wayastata se thora saham gya hu,
Dil mein bane apne khali ghar se thora machal gya hu,
Koi to jara tokna, thora sa to tatolna...

Sapne kahi beshud se pare hai,
Chaandani raato mein andhero se ghire hai,
Pata nhi kise dhundh raha hu,
Ya andheri galiyo mein yuhi ghum raha hu,
Der hui par thama to nhi hu,
Thora sa bhatak gya par bhula to nhi hu,
Kahi kisi ne awaaz lagai hai,
Dur kisi ne to roshni jalaai hai..

Jara thori dur sath chalna, thora sa to mujhe samajhna..
Samraat Anand Sep 2017
TERE DIL ME RAHNE KA SHAUK THA HAMEE BETAHASHA ;

TERE SATH KII IS DIL KOO TALAB THI;

TERE LABH SE KUD KA NAAM SUNNE KA ZID THA…

TU ZINDAGI TOH PAHLE SEE THI MERI;

AUR SHYAD AB ZEENE KA KARAN BHI HOO *** …



CHAH KAR BHI TERE KARIB AANE SE DARTA HUU;

DIN RAAT TUJHE SOCH KAR BHI LABH *** LANE SEE DARTA HUU;

TIL TIL KAR TERE SATH KO MARTA HUU….

AUR KOI PUJHE TOH BAS, HAS KAR ITNA KAHTA HUU;

WO EK MUSAFIR THI JISKI MANJIL MAI NAA THA ;

WO EK CHAKOR THI JISKA CHAND MAI NAA THA;

WO EK DARIYA THI JISKA SAHIL MAI NAA THA…



EK BAR FIR SEE USKEE LIYE YEE DIL MACHAL RAHA HAI;

FIR SEE NAYE SAPNE DEKHNE KOO YEE DIL  MAR RAHA HAI ;

KAISE SAMJHAUU IS NADAN PARINDEE KOO ;

KII TUU EK BAR FIR TUTNE KI OOR BADH RAHA HAI….



WOO KAHTE THE IS JHUTE ISK KI BATEE NA KIA KARO;

DIL TUMHARA HAMME CHOR KISI AUR KE LIYE BHI DHARKEGA ;

KUCH DIN ME AASHIKI KA BHUKAR BHI SAR SEE UTREGA ;

PAR AB KYA BATAE JANAB KOO ,

DEKHE UNHE  TOH MANO EK ARSA SAA HOO GAYA;

PAR AAJ BHI WOO HAR EK PAL ENN SANSOO  ME RAVA HAI;

AAJ BHI IS DIL ME BAS UNKI HI JAGAH HAI;

UNKI YAD ME AAJ BHI RAATE KATHI HAI HAMARI;



FARK BAS ITNA HAI HAMARI CHAHTE EK DUSRE SEE JUDAA HAI….
Ain Sep 2020
Tum so rahe ** jaan....

Par is dil e bechain ka kya karun jo betaabi aur behaali ki zanjeeron mein jakda hua tadap raha hai. ....

Tum so rahe ** jaan....

Par is dil e nadaan ka kya karun Jo nahi jaanta.... nahin samajhta....nahin maanta... bas machal Raha hai .....

Tum so rahe ** jaan.....

Par is dil e ghafil ka kya karun jo bhool Jata hai raat aur din ke adaab....us ke tareeqe...us ke harkaat...sukunaat.....bas khud hi khud woh to intezaar mein khoya rehta hai....

Tum so rahe ** jaan.....

Par is dil e jahil ka kya karun jo faslon ke hudood se na waqif hai. ...is se naap tol aur hisaab nahi hota bas ghadi ke kaanton pe tak take lagaye sochta rehta hai ke is waqt ke zalim kaanton ki ghulami use kyun karni pad rahi hai . ...

Tum so rahe ** jaan. ...

Par is dil e Masoom ko kaise kahun ke use dharakte rehna hoga. ....Saanson ki maala ko simar te rehna hoga. .....jitna bhi mushkil ** use jeete rehna hoga. .....ke wohi tareeqa hai wohi raasta hai. ....usi tapish se guzarke use rahat e raabta e dildaar hasil hoga. ......

Khair tumhe kya pata. .....

Tum to so rahe ** na jaan.......

— The End —