"maazi" poems
Magrib mein hai
ilm o daulat ka fauwara__
Ummat hai rakh mein
dhoondoo'n koi angara__
Dastarkhwan pe saja hai
dushman ka niwala__
Bojh hai maazi, jaise
andhera uthaye hai ujala__
Iblees khada hai lekar
teri barbaadi ka samaan__
Barso'n se pada hai
thaakh per Quran__
Dec 10, 2014
Dec 10, 2014 at 9:35 PM UTC
Language : Hindi (India)
Aadha hi jiyaa maine baaki maazi me kaat diya !!
Jispr sawan beete thhe wo darkhat hi maine kaat diya !!
Mai hi usse mnaata hu jab bhi koi jghdaa hota hai !!
Abke nahi mnaaya or kudrat ka likha kaat diya !!
Jiske liye uthaata thaa ussi pr uth gye haath mere !!
Zehen me jaise aaya ye us haath ki nabz ko kaat diya !!
Suna hai tumne khat ko mere sirf jlaana hota hai !!
So abke maine khat bheja or likhkr sbkuch kaat diya !!
Wo ro ro kar mnaa rahi thi Anaam wapas aane ko !!
Mai be-bas hota iss se pehle phone hi maine kaat diya !!
Mar 2, 2021
Mar 2, 2021 at 3:57 PM UTC