Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"maanta" poems
Jab aankh khuli to amma ki godi ka ek sahara tha uska nanha sa anchal mujhko bhumandal se v pyara tha..... uske chehre ki jhalak dekh chehra phulo sa khilta tha uske stan ki ek bund se mujhko jeevan milta tha haatho se baalo ko noocha pairo se khoob prahar kia phir v us maa ne puchkara humko jee bhar ke pyar kia Mai uska raja beta tha wo ankho ka tara kahti thi mai banu budhape me uska bas ek sahara kahti thi ungli ko pakad chalaya tha padhne vidlaya bheja tha meri naadani ko v neej antar me sadasaheja tha Mere saare prashno ka wo fauran jawab ban jaati thi meri raho ke kaante chun wo khud gulaab ban jaati thi mai bada hua to college se ek rog pyar ka le aaya jis dil me maa ki murat thi wo ramkali ko de aaya shaadi ki pati se papa bana apne rishto me jhul gya ab karwa chauth maanta hu maa ki mamta ko bhul gya hum bhul gye uski maamta mere jeevan ki thati thi hum bhul gye apana jeevan wo amrit wali chaati thi Hum bhul gye wo khud bhukhi rah karke hume khilati thi humko sukha bistar dekar khud geele me soo jaati thi hum bhul gye usne hi hotho ko bhasha sikhlayi thi meri neendo ke lie raat bhar uss maa ne lori gaayi thi hum bhul gye har galti par usne danta samjhaya tha bach jau buri najar se kala teeka sada lagaya tha hum bade hue to mamta wale saare bandhan tod aaye bangle me kutte paal laye maa ko vridhaashram chod aaye apano sapno ka mahal girakar kankar -kankar been laye khudgargi me uske suhag ke aabhushan tak cheen laye Hum maa ko ghar ke batware ki abhilasha tak le aaye usko paawan mandir se gaali ki bhasha tak le aaye to be continued ........(next part may be in next week)
0
Aug 3, 2015
Aug 3, 2015 at 3:04 PM UTC
Maa

Continue reading...
61
Darr lagta hai, ki Kahi Tumhe kho na de hum, Shabdo Mein byaan Nahi kara ja sakta Yeh pyaar, Aasuyo Mein behaya hua dukh, Hasi Mein chupaya hua dard, Zubaan par aane se darta hai, ki kahi tumhe kho na de hum. Anjaani raaton mein jab mile tum, Toh Aisa laga, Sansaar mil gaya, par yeh dil hai ki maanta Nahi, Nikamma banakar dukh deta raha, Kyunki darr hai tumhe kho na de hum. Iss aakaash ke soonepan se tanha hai Yeh Dil, Ki kabhi tumse duuriya na badh jaaye, Jag ne cheena mujhse, Mujhe ** bhi laga pyaara, Hoontho se chuloo tum, Mera geet Amar kar lo. Na ruthne ka dava kiya tha, par wafa Toh Hona hi tha, Kya hua tera vaada, voh Kasam, voh irada, Voh kehne vaale, Mujhe 'fareebi' , Kon farebi hai Yeh bata, Voh jisme gam liya pyaar ke khatir, Ya jisne pyaar ko bech diya? Shama chahte hai, kyunki darr se darr te hai.
0
Mar 22, 2015
Mar 22, 2015 at 2:47 PM UTC
Darr.
FIR AAYI HOLI Fir aayi Holi ek baar, fir le gayi mere dil ka karaar; Puchhna chahti hu, kyu rulateho tum mujhe yuhi, baar baar. Itne rango ke beech bhi hei tan man feeka; aankhoki pichkaarise behte hei aansu zaar zaar Saalo beet chuke firbhi nazar dekhti hei teri raah, lagaataar. Radha ka pyaar hi hei kuch aisa, maanta nahi yeh kabhi haar Jaise kanha ke beena Radha adhuri aise hi, piya- milan beena, Holi hei adhuri. Kanha tere beena rang feeke, Chand feeka; soona lage mohe sansaar. Aa bhi ja Mohan, itna ne tadpa, raah niharu tori; kab aayega tu jamuna paar. Armin Dutia Motashaw
0
Mar 10, 2020
Mar 10, 2020 at 3:59 PM UTC
FIR AAYI HOLI
Tum so rahe ** jaan.... Par is dil e bechain ka kya karun jo betaabi aur behaali ki zanjeeron mein jakda hua tadap raha hai. .... Tum so rahe ** jaan.... Par is dil e nadaan ka kya karun Jo nahi jaanta.... nahin samajhta....nahin maanta... bas machal Raha hai ..... Tum so rahe ** jaan..... Par is dil e ghafil ka kya karun jo bhool Jata hai raat aur din ke adaab....us ke tareeqe...us ke harkaat...sukunaat.....bas khud hi khud woh to intezaar mein khoya rehta hai.... Tum so rahe ** jaan..... Par is dil e jahil ka kya karun jo faslon ke hudood se na waqif hai. ...is se naap tol aur hisaab nahi hota bas ghadi ke kaanton pe tak take lagaye sochta rehta hai ke is waqt ke zalim kaanton ki ghulami use kyun karni pad rahi hai . ... Tum so rahe ** jaan. ... Par is dil e Masoom ko kaise kahun ke use dharakte rehna hoga. ....Saanson ki maala ko simar te rehna hoga. .....jitna bhi mushkil ** use jeete rehna hoga. .....ke wohi tareeqa hai wohi raasta hai. ....usi tapish se guzarke use rahat e raabta e dildaar hasil hoga. ...... Khair tumhe kya pata. ..... Tum to so rahe ** na jaan.......
0
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 7:11 AM UTC
Tum so rahe **
Ek shakhs hai jise main behad pasand karti hoon, jise main beinteha chahati hoon. Ek shakhs hai jisse mera dil beinteha mohabbat karta hai par yeh baat usse main samjhau kaise? Pasandida mard hai woh yeh baat usse main bataun kaise? Nahi reh sakti main uske bina yeh baat woh samajhta kyu nahi? Kya usse mujhse mohabbat nahi? Kyu woh ek shakhs mere dil aur dimaag mein bas chuka hai? Meri mohabbat ab "ishq" ban chuki hai yeh baat main chah kar bhi usse bata paati kyu nahi? Aakhir kyu yeh dil uske bina kahin teherta nahi? Aakhir kyu uske alawa meri nazare kissi aur ko dekhti nahi? Kyu uski yaadein har pal, har lamha mujhe uske aur kareeb kar deti hai? Mujhe usse kya uski aankhon, uski baaton, uski khusboo ya tak ki uske naam se bhi ishq ishq hai, kaash yeh main usse bata paati. Uski aankhein jo samudra se gehri hai, unn aankhon mein dekhna mujhe kaafi pasand hai, uff!! Uski nashili aankhein. Uski awaaz? Uski awaaz mein toh maano jaise ek alag hi madhoshi hai, jisse sunna mere kaano ko ek sukoon sa deta hai aur hayee!! uska naam sunte hi mere chehre par jo muskurahat aati hai, woh kahan hi kissi se chhupi hai? Haan, ishq hai mujhe usse yeh baat mere dil mein hi kahin dafan hai. Usse meri mohabbat ki koi hadd nahi yeh jaake usse koi bataye, uske naraz hone se maano meri saansein tham jaye. Behad khoobsurat hai woh shakhs yeh baat woh maanta kyu nahi? Nahi reh sakti main uske bina yeh baat woh samajhta kyu nahi?
0
Mar 8, 2025
Mar 8, 2025 at 9:30 AM UTC
Mohabbat 🎀🧿