Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Pratyush Jul 2019
Mai  jee raha tha adhoora aaj tak,
Chahiye the saath tera mujhe har waqt,
Maangta tha tujhe paane ke hazaro mannat,
Iss baar Khuda ne sun li thi meri yeh ibadat ,
Aaj hai mere paas ek behen, joh sune meri har baat,
Ek behen, joh jhele mere bachpane ko har raat,
Dil se keh raha hoon, meri behen meh kuch toh alag hai baat,
Maa baap ne sabh kuch diya, par kuch cheez thi adhoori,
Aaj tum aagayi **, aur voh cheez ** gayi hai poori,
Meri pyaari behen, tum ** itni nek,
Mai fakr se keh sakta hoon, tum ** laakhon meh ek, Laakhon meh ek....


Pratyush.
Phool aur sharaab
Doobte Dil e maikhane
Bhaagta mann

Thodi si sharaab
Phoolon me
Hookah se inkaar karta yeh dil ab
Ishq ki Manzil liye phirta Mann e nadaan
Toh mast magan yeh Mann maangta
Kya keval pyaar hi pyaar?
Agar muja moout ajy to usay kah dana,
Koi tha Jo usay yaad karta tha,
Koi tha Jo us ka laya jita or Marta tha,
Koi tha Jo Roz us ki yaad ma tarapta tha,
Koi tha Jo us ka khab dakhta tha,
Koi tha Jo uska name pir muskrata tha,
Koi tha jo har dua mein usay maangta tha,
Koi tha jo har dukh mein usay yaad karta tha,
Koi tha jo chand se uska noor maangta tha,
Koi tha jo khamoshi mein bhi usse baatein karta tha,
Bas itna kahna chata hon janab!..
Koi tha Jo tha, magar ab siraf ek yaad reh gaya janab ....

— The End —