Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Snigdha Banerjee Jul 2015
Iss eid pe tujh ko main kya bhejoon,
koi jugnuu,
koi taara,
koi sapnaa bhejoon ?

Koi phool bhejoon ad’khilaa se,
koi umeed,
koi aas,
koi nazaara bhejoon ?

Chaand bhejoon tujhe is eid pr
ik khushbuu,
ik rang ka istaara bhejoon ?

Aye mere dost !
roshni ki rang ki muskaan bhejoon ?
ya apni likhi koi shayari  bhejoon ?

Apni aankh ka koi moti teri nazar karoon,
Ya hathon se maangi koi dua bhejoon ?

Phoolon se koi titlii ki mohabbat bhejoon,
kisi bhanwre ki lagan,
us ka tarrana bhejoon !

Kisi shamma ka jalta hua daaman bhejoon,
Ya baarish ki hasti hui boondain bhejoon ?

Mere hathon main ik aas, umeed aur dua hai,
iss eid pe main tujh ko bass itna keh doon,

ke tum jo chaho
Woh sitaara mil jaye,


Tujh ko iss eid pe
Koi tumhara mil jaye..
Eid **___** !!!!!!
Ankit Dubey May 2019
jindagi na jane kis mod pe khadi hai,
na rasta dikh raha hai,
na manjil hi dikh rahi hai,
dikhta nahi najara ,
na hi koi aas dikh rahi hai,
hai jindagi tumhari,
ise apna tum bana lo,
jindagi na jane kis mod pe khadi hai......
na tum dikh rahi **,
na tumhara aksh dikh raha hai,
besudh hua ja raha hu,
yaad aa rahi hai,
chirag dil ka jala bhi loo to,
ankhen hai nam itni,
k roshni bhi bujh rahi hai,
jindagi na jane kis mod pe khadi hai.....
na sath chootta hai,
na sabra tootata hai,
na aate ** tum kareeb hi,
na doori hi kargar hai,
na yaad teri jaati,
na bandish hi choot pati,
ab aur na rulao,
k aanso b ro rahe hai,
jindagi na jane kis mod pe khadi hai....
tera yakeen bhi hai,
fir b hai dard footta ,
tu hi to rahnuma hai,
tujhme hi alam-ae-tasavvur,
na ji sakunga tum bin,
hai kar diya muqarrar,
mere kareeb aao,
dard badhta hi ja raha hai
jindagi na jane kis mod pe khadi hai.....
ab mujhme fanaa ** jao,
mera vajood tera ,
tera har wakayah hai mera,
tu hi to ishk-ae-rangat,
hai khuda ki tu inayat,
jo likhi hai usne aayat,
tujhme hai rooh meri ,
meri har aarjoo hai tu hi,
bas karo hajoor mere,
meri saanso ko rok lo tum,
sath chootta hi ja raha hai,
jindagi na jane kis mod pe khadi hai.....
ab rah gayi na himmat,
k ji sakun tere bina,
aao kareeb aao mujhko tum bacha lo,
mai ** gaya hu farkat,
kisi aur ki wajh se,
na husn ki hai chahat,
na ****-o-sangmarmar se dillagi hai,
tujhme hai rab mera,
bas tujhko hi chahta hu ,
tujhko hi mangta hu,
rooh se rooh tum mila do,
kuj aur na mangunga,
meri jindagi me aao,,
rag rag me sama jao,
tere bin nahi hai jina,
maut kareeb aa rahi hai,
jindagi na jane kis mod pe khadi hai.....
hai akhiri ibadat,
deedar-ae- rahnuma mai kar loo,
vo usko ek pal k liye chod de,
mai sirf apna bana k bahon me unko bhar loo,
jindagi hui khush,
bas god me aankhen band ** jaye,
saanse bhi ruk jaye,
har pal k liye tere kareeb aa jaun,
bas tujhse lipat jaun,
har pal k liye so jaun,
jindagi na jane kis mod pe khadi hai....
koi shikwa nahi rahega ,
tera kisi ka hona,
kisi aur ki fitrat,
kisi aur ki amanat,
ab himmat nahi hai mujhme,
k tumhe kisi aur ki banau,
chala jaunga mai ek din,
bas shant jindagi me,
ek nayi hi hogi duniya,
bas tum aur mai honge,
na koi aur hi rahega,
na koi hak kisi ka hoga,
bas mujhme bhi tu hoga,
aur tujhme bhi mai rahunga.......
Riya jain Oct 2018
andheri thi jo raat wo,
us raat ki kya baat kahun.
jis raat se wo mila nahin,
us raat ki kya subah kahun.

har raat ki h subah mgr,
us raat ki bhi subah hui.
charcha hui to khabar mili,
us shaqs ki toh maut hui.

shaqs to tha wo dost mera,
us shaqs ki kya baat karun.
ladka tha wo bigda magar,
uske dil ki kya taarief karun.
  
maut nahi thi tha wo khoon,
un kaatilon ki kya baat karun.
jese tadpaya un sbko,
Isse bhattar maut unko m ada krun.

galti kya thi un maasumo ki,
jo aisi bhynkr maut mili.
khuda tu hi jawab dega,
kynki tune thi wo maut likhi.

sbko jisne khush tha rkha,
uski shanti k m dua krun.
Yaad rkhnge use hmesha,
uski yaadon ki kya baat karun.

@riya
Arti Sep 2018
Hum jise  sach man rahe the
Wo to  tha  ek vaham
apno ne hi maar Diya Varna
Gairo mein Kya  tha dum
Bhool Hui sabhi ko samaj ke apna
Wo to gulam samajke todte Gaye sapna
Janam le liya Sirf itna tha gunah
Iski saari umra milti rahi saja
Socha tha hai humara hak, hai humara bhi mahatva
Badi der lagi samajne mein nahi humara koi astitva
Yeh aisi duniya jisme prem se bada aham
Saari umra jise sachchai samja wo to nikala bhram
E dile nadaan na karna koi ummeed
Jald hi seekh le  yeh hi hai jag ki reet
Jane kis Kalam se likhi khuda ne hamari kismat
Saari Zindagi pyaar na Mila mili hai sirf nafrat
Than li hai ab khud se muh na modenge
Jo bahar se na Mila use ander hi khojenge
Karijinbba Nov 2024
Repost;

koi fariyaad tere dil mein dabi ** jaise
tune aankhon se koi baat kahi ** jaise

It feels as if there is some request hidden in your heart,
as if you have said something with your eyes.

jaagte jaagte ek umr kaTi ** jaise
jaan baaki hai magar saans ruki ** jaise

It feels like a lifetime has passed, awake,
like there is life remaining, while breath isn't there.

har mulaakat pe mehsoos yehi hota hai
mujhse kuchh teri nazar poochh rahi ** jaise

everytime we meet, I get a feeling
as if your eyes are asking me something.

raah chalte hue aksar yeh Gumaan hota hai
wo nazar chhup ke mujhe dekh rahi ** jaise

while walking down a path, I often feel
like your eyes are watching me from hiding.

ek lamhe mein simaT aaya hai sadiyon ka safar
zindagi tez, bahut tez, chali ** jaise

a journey of ages has wound up in just one moment,
as if life has moved fast, very fast.

is tarah pehron tujhe sochta rehta hoon main
meri har saans tere naam likhi ** jaise

I keep thinking about you for hours in such a way,
as if every breath of mine was just yours.
https://youtu.be/TD0efFxByfY?feature=shared

— The End —