Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"lagta" poems
Kyun tu acha lagta hai , waqt mila to sochenge Tujh mein kya kya dekha hai, waqt mila to sochenge Sara sheher shanasai ka , dawedar to hai lekin Kon hamara apna hai , waqt mila to sochenge Hum ne usko likha tha , kuch milne ki tadbeer karo Us ne likh ker bheja hai , waqt mila to sochenge Mosam khushbu baad-e-saba chand shafaq aur taron mein Kon Tumhare jaisa hai ,waqt mila to sochenge Ya to apne dil ki mano , ya phir duniya walon ki Mashwara uska acha hai ,waqt mila to sochenge Kyun tu acha lagta hai , waqt mila to sochenge
0
Sep 13, 2016
Sep 13, 2016 at 12:55 AM UTC
Waqt Mila To Sochenge
Nikle to hum bhi the ghar se yahi soch kar ki shayad is bar manzil tak pahuch jayenge, kyunki daudna to unhone hume bachpan mein hi sikha diya tha yeh kehkar, ki agar nahin bhagoge to woh tumhe peeche chod jayenge. Daudne ki kuch aisi adat se ** gayi hai ki pair ab rukne ka nam hi nahin lete, lekin hume kya pata tha ki itna age nikal ane se, apne hi paraye, aur woh sabhi raste anjane se ** jayenge. Sabse door rehte hue bhi, in anjanon ki bheed mein woh ek chehra apna sa lagta tha, lekin woh bhi hamesha kisi aur chehre ki talash mein rehta tha. Sahi raste ko dhoondhne nikle to the, magar yeh nahin pata tha ki itni jaldi thak jayenge. Kabhi kabhi to lagta hai ki ab ruk jana chahiye, thoda aram kar lena chahiye, lekin woh bhi namumkin lagta hai kyunki, ab to sapne bhi ajeeb se ate hain. Chalte chalte, wade to kafi kiye the is safar mein, kuch unse, kuch apne ap se, lekin yeh andaza bhi nahin tha ki un sabhi umeedon par pani ferte hue chale jayenge. Yeh mehsoos bhi nahin hua ki apne hi apnon ke pankh kat chuke the, talash thi to bas us kandhe ki jo is ladkhadate hue ko sahara de sake. Fir bhi, dheere dheere is katon ki chadar par age badna hai, dil yahi kehta rehta hai, kyunki jhoothi hansi ki kuch aisi adat si ** gayi hai, ki ab chahte hue bhi dard ka ehsas nahin hota hai.
0
Mar 24, 2011
Mar 24, 2011 at 6:01 AM UTC
Daud
Yun chala main in raston pe, Bhool gaya *** khud ko. Saathi kaun thay mere yaad nahi ab toh Bas koi dikhta hain door khada, halkisi muskaan lekar Aur nahi samjha kyun, main bhi muskaya aise bina wajah Par lagta hain ab aise ke, Shayad wo teri yaad hain Khoya main apne mein kuch aisa, Yaaron ka nahi hain pata Ghar se hoon itna door, ke ab woh bhi nahi yaad ata Woh gaana sunta jab, gungunta use awaaron jaisa tab Aur nahi samjha main, kyun gungunaya aisa bin matlab Par lagta hain ab aise ke, Shayad woh teri yaad hain Juda hunye hain hum, milte nahi hain ab hum Din guzre, beete hain ab saal Zindagi mein main apne khoya, tu apne Par phir bhi lagta, shaayad hum milte toh hoti duniya alag Hoti Manzil ek aur raaste ek, Aur hota ek saathi,jise karta nahi main sirf yaadon mein quaid
0
Sep 4, 2014
Sep 4, 2014 at 10:58 AM UTC
Shayad woh teri yaad hain (Maybe its your memory)
Jo puraani yaadon mein zindagi dhundha kartey hai unhe sirf do pal ki muskurahat naseeb hoti hai aur phir umar bhar ki tanhai ek aisi tanhai jaha hum bhari mehfil mein bhi akele ** jaate hai aur adhura pan bhi hamein pura lagne lagta hai ek aisi manhoosiyat dil pe cha jaati hai Jo chahe bhi mit nhi paati aur vo yaadein bhulaaye bhi bhula nhi paate reh reh k **** mein gade kaante ki tarah dard diye jaata hai aur hum hans hans kar ise taal diya karte hai kyun ki shaayad mukaddar ko yahi manzur tha kya shikva hum kisi aur se kare jab manzil hi humse Ruth gayi Jo naayab tohfa khuda se mili haatho se yun choot gayi vo toot k bikhri aur kinare par jaa Giri aur kashti humari doob gayi
0
Jun 18, 2015
Jun 18, 2015 at 5:21 PM UTC
Nostalgia (Hindi)
Mujhe wo aksar kehta tha Muhabat kuch nhi hoti Hijar ka khauf be matlab Wasl k khwab bemani ... Nighaoon main koi soorat Kahan din rat rehti hai Usy q khamoshi kahain K jis main bat rehti hai Wo ankhain kaisi hoti hain? Jahan barsat rehti hai Yeh ansu bezaban ansu Bhala kya bol saktay hain Or uski narm palko pe nami Din rat rehti hai Mujhe wo aksar kehta tha Mohabbat kuch nahi hoti Magar jab aj barson bad Main ne usko dekha hai K uski jheel ankho main Hijar ka khof rehta hai Wasl k khwab rehtay hain Wahan barsat rehti hai Yun lagta hai k barson se Wo soya v nahi shayad Yun lagta hai kisi ki yada barson se Usy din rat rehti hai Or uski narm palkon pe Haseen saay be geelay hain Or uski khamoshi aisi k Jis main bat rehti hai Mujhe ab wo nahee kehta Muhabat kch nahee hoti.
0
Jan 20, 2016
Jan 20, 2016 at 3:38 PM UTC
MOHABBAT KUCH NAHI HOTI
Zikr jab zindagi ka hota hai toh hum aksar apni zindagi ke guzre waqt ke flashbacks mein chale jaate hai, aur kehte hai zindagi toh bohot buri guzar rahi hai.. yeh maana ki jo beet gaya hai usse bhulaya toh jaa sakta hai magar apne zehan se mitaya nahi jaa sakta.. bas unn tamaam ache-bure daur ko muqaddar samjhkar aage badha jaa sakta hai. Aur life mein ek phase aata jab humein lagta hai ab aur kya dekhne ko baaqi reh gaya hai zindagi mein saare tajurbe aur sabaq mil chuke hai ab toot jaane mein hi bhalayi hai haar jaana hi ek aakhri sahi rasta hai. Aur phir apni khushiyon ka shok aur barbaadiyon ka jashn manane lag jaate hai. Magar khushiyan bhi itni aasani haar nahi maanti. Zindagi humein har ache-bure daur ke baad ek khoobsurat tohfa deti hai jisse hum mauka kehte hai. Humein zindagi se mile wo saare tajurbe aur sabaq phir se jeene ka hausla dete hai. Ek nayi umeed dete hai. Aur shayad isliye hum zindagi ka saath nahi chhorte. Beete kal mein pareshan rehte hai, aane kal ki fizool mein fikar rehti hai aur jo aaj hai usse jeete toh hai magar thodi bechaini ke saath. Jo guzar gaya usse accept karke aage badh jao, jo kal hoga wo tumhare aaj ki mehnat se pata chalega na ki fikar se, aur apne aaj se mohabbat karo. Ek badi ajeeb si cheez hai jo hum sabhi ke saath hoti hai jab hum 5-6 saal purani tasveer mein khudko dekhte hai toh hasi aajati hai ki kaise the hum ab waqai behtar badlaav aaya hai hum mein wo badlaav tum laaye ** khud ke andar. Waqt ke saath mature hokar, mushkil se mushkil maqaam haasil karke, apna vision aur mindset positive rakhkar, apni zindagi ko sahi raaste mein le jaakar. Isliye tum haare nahi ** zindagi mauke deti hai magar tumhe ehsaas tak nahi hone degi kab tumne uss mauke ka fayda utha liya. Aur agar kabhi bura phase aaye toh uss mein bekhauf hokar jeena magar sahi waqt par nikalkar apni zindagi ko behtar bana dena. Kyunki abhi tumhara qissa khatam nahi huwa, abhi tumhe nikhar ke wapas aana hai kahani badalne.. .
0
Mar 1, 2020
Mar 1, 2020 at 12:25 PM UTC
Shayad isliye bhi hum Jindagi ka saath Nhi chorte

Continue reading...
3
KYON ** gya mujhe ek ajanabi se pyar, Na jante hua bhi KYON hain ye dil usi ke liye beqarar, Karke bechain mujhe KYON hain mujhe har waqt usi ka intezar, Main nahi janta ki kaun hain wo, jo mujhe apne pyaar ka mujarim bna liya, Banake DEEWANA mujhe, mere kore sa dil pe apna naam likh diya, KYON aata hain mere sapno me uska dhundhlata chehra, Lagne laga ab har khawab sach mujhe, Kaha chale gye wo laga ke mere dil pe apne yaadon ka pahera, Har waqt muskura'h raha hoon jabse mujhe pyar hua hain, Kho gya hoon main usi ke yaadon me jabse use dil diya hain, KYON wo mere **** ka jaan ban *** hain, Karke pareshan mujhe meri jahan ban *** hain, KYON ye palakein nahi jhapakti jab use dekhti hain , Uske bina ye puri duniya suni lagti hain, KYON mangne lagta hoon use apne rab se, Dekha hain use aur pyar hua hain jab se.....
0
Jun 12, 2015
Jun 12, 2015 at 9:49 AM UTC
KYON.......?
Mohabbat ne yaha logo ko kya se kya bana dala usse jo heer samjha to mujhe ranjha bana dala mili mujhko na wo iss baat se shikwa nahi fir v usse pakar v naa paya ajab kissa bana dala ! akela jab v chalta hu tujhe hi saath pata hu jami se aashma tak mai tera ehshas pata hu khudaye ishq ne mujhpe v kya aisa sitam dhaya mai girna v jo chuahu to sada upar hi jata hu ! tujhe mai pyar se dekhhu ya nafrat ka hawala du jo jeevan me bhara ** tam to fir kaisa ujala du mujhe to ishq ne barbaad kar tara bana dala chamakta hu falak par mai jaami ko kya ujala du ! jaami se ashma ka ** safar tu saath chalta hsi bina tere mujhe jeevan v ab abhishaap lagta hai mujhe gum naa judai ka khuda meri yahi sun le naa tu mujhko samajhti hai naa wo mujhko samajhta hai !!!!
0
Mar 12, 2015
Mar 12, 2015 at 3:03 AM UTC
Mohabbat ne yaha logo ko kya se kya bana dala
Darr lagta hai, ki Kahi Tumhe kho na de hum, Shabdo Mein byaan Nahi kara ja sakta Yeh pyaar, Aasuyo Mein behaya hua dukh, Hasi Mein chupaya hua dard, Zubaan par aane se darta hai, ki kahi tumhe kho na de hum. Anjaani raaton mein jab mile tum, Toh Aisa laga, Sansaar mil gaya, par yeh dil hai ki maanta Nahi, Nikamma banakar dukh deta raha, Kyunki darr hai tumhe kho na de hum. Iss aakaash ke soonepan se tanha hai Yeh Dil, Ki kabhi tumse duuriya na badh jaaye, Jag ne cheena mujhse, Mujhe ** bhi laga pyaara, Hoontho se chuloo tum, Mera geet Amar kar lo. Na ruthne ka dava kiya tha, par wafa Toh Hona hi tha, Kya hua tera vaada, voh Kasam, voh irada, Voh kehne vaale, Mujhe 'fareebi' , Kon farebi hai Yeh bata, Voh jisme gam liya pyaar ke khatir, Ya jisne pyaar ko bech diya? Shama chahte hai, kyunki darr se darr te hai.
0
Mar 22, 2015
Mar 22, 2015 at 2:47 PM UTC
Darr.
KOI AUR HAI Tere  khaboon mai koi aur hai,aur tere sayee mai  koi aur hai Kaisay tu dekhay hasrat mere,tu haqeeqat mai koi aur hai Yeh dil kab tak arizoo karta rahai ,ab koi sabab-e-furkat ** Kaisay tu pehchaanay mere ulfat,tu zahir mai koi ,aur batin mai koi aur hai Itrey sabnum ki tarah jalah hai mera daman bhi Mai manzil ki jistu ju kya karoon, ab rasta bhi nazar nhi yadoon kay samandhar mai dhoob chukka ab toh Mai haar chukka hoon zindagi  aur ab toh moat bhi ati nhi Bhulavou yeh gum kaisay ,dil ko kya dawaa doon bhar janay ki Mai kyun nhi rub a ru khudsay  ,mai kon hoon  ya mujmai he koi aur hai Faryaad bhi kya ** , naa ashinaa hai yahaan sabhi Kis  mode pay kya  hogaye koi khabar nhi hummay Mai toota huva taraa hoon mujmai ab wo  timtimhath kahaan Lagta Aasmaan bhaag rahaa hai aur zameen fisal rahe ** jaisay muntazir-e-humraah ** kya,jo rahai thi wo rahai he badhal gaye Mud kay ab dekhoon  kya, akela rahai safar tha ya koi aur be hai Mubarak ** tummay ab yeh jahaan dard baraa Na mud kay kabhi dekhay **** issay dhoobara Ab aur palkoon pay ashikay baar saha nhi jata Laboon  pay ab aur bahaana bardast nhi hota Waqt guzra hai, kyun naa mera bhi saleeka badhal gaye Rumi Ab aur ranjishay nhi,bhula do ghar koi ghilla aur bhi hai                                  written by: Aabid Rumi                              suggested by:Tanzeelah Illahi
0
Apr 16, 2017
Apr 16, 2017 at 6:16 AM UTC
koi aur hai
Are tumhe dekha aj to lga ye sab tumhe bta du. Haq hai nhi mera koi phir b thoda haq jata du .. Or kehdu tum behad khoobsurat ** Ye jo tumne akhon ke kajal ko b palko ki had me dal rakha hai. In aankhon ne jane kitna kehar sambhal rakha hai. Kya chamak hai aankho me jaise ek choti si khush duniya ka sapna paal rakha hai. Socha cheru thoda tumhe or thoda sata du. Are tumhe dekha aj to lga ye sab tumhe bta du. Haq hai nhi mera koi phir b thoda haq jata du .. Or kehdu tum nazneen ** Phir kuch tumhare galon k un khaddo ki gehrayi dekhi. Na us se gehri koi khaayi dekhi. Nazar htane wala tha k us muskan ne rok lia.. Muje aj sambhalne se pehle tere chehre nadan ne rok lia. Jane tumhe ye sab kehna lagta hai khata kyu. Are tumhe dekha aj to lga ye sab tumhe bta du. Haq hai nhi mera koi phir b thoda haq jata du .. Or kehdu tum dilnashi ** Vo choti si kali bindi jo thik maathe k me kahi hai. Vo b har shayar ko kheench rahi hai. Jaise muje kehti ** idhar aao tumhe kano k jhumko ka pta du. Are tumhe dekha aj to lga ye sab tumhe bta du. Haq hai nhi mera koi phir b thoda haq jata du .. Or kehdu tum dalkashi ** Ye phir thode uljhe thode suljhe baal hai. Inki to ada hi bemisal Hai Tumhe tang karte hai. Manmarji chalate hai jaise tujse jung karte hai. Chere pe aate hai tum unhe phir peeche karti. Kabhi clip se kabhi rubber se kheenche rakhti ** Kabhi aaye chehre pe to shayad main b hta du. Are tumhe dekha aj to lga ye sab tumhe bta du. Haq hai nhi mera koi phir b thoda haq jata du .. Or kehdu tum koi kehkasha ** Or vo sone ki nath ko koi kaise taal sakta hai. Jise tumne apni teekhi si naak me daal rakha hai. Or kuch batein in sab se pare hai. Tera chutkan sa Gussa hai jane tu kaise handle kare hai. Phir vo pyari si hasi vo sharm haya vo bachpana vo nadaniya. Samjhdari vo nasamjhi Vo adayein vo shaitaniya. Or sambko tumne brabar rakha hai. Jane ye hisab kaise lagakar rakha hai. Kya kehna hai kya sunna hai kya bolna hai kya btana. Kab ruthna hai kab manana hai kab satana hai kab jatana hai. Teri har ek choti moti khoobiyon ne dil me aatank macha rakha hu. Jane tune kitne salo se khud ko ishq se bacha rakha hai. Jane mujme kab se or kyu ye thode guroor k lakshan aaye hai K tuje suna sabne hai samjh sirf hum paaye hai. Tum jaisa or koi mere aas paas ni hai. Phir kaise manliya jaye tum aam ladki ** tum me kuch khas nahi hai. Ha aj maine ek kadam apne beech ki sarhad se thoda bahar aaya. Tumne apna hunar azmaya tha vo pic dalke use shayri bnake maine apna hunar aazmaya hai. ye padhke tum socho k inam du is shayar ko ya koi saza du. Are tumhe dekha aj to lga ye sab tumhe bta du. Haq hai nhi mera koi phir b thoda haq jata du .. Or kehdu tum afreen ** Tum khoobsurat **
0
Sep 12, 2020
Sep 12, 2020 at 1:20 AM UTC
Tum khoobsurat **

59
Tujhe dekh najane kyon dhadkta hain ye dil, Tujhse milne ke liye najane kyon tadpta hain ye dil, Aaj mausam bhi udas hain tere bina, Teri hi yaadon me najane kyon khoya rahta hain ye dil, Tujhe dekh najane kyon dhadkta hain ye dil... Mere dil me gairo ke liye koi jagah nahi, Tujhse pyar karne ka koi dusra wajah nahi, Aksar tut jata hain ye dil kisi ke pyar me, Bah jati hain aansoo kisi ke intezar me, Soch biti baton ko najane kyon rone lagta hain ye dil, Tujhe dekh najane kyon dhadkta hain ye dil... Tere pyar me judai hum sah nahi sakte, Ekpal bhi ab tere bina hum rah nahi sakte, Teri judai se najane kyon darta hain ye dil, Tujhe dekh najane kyon dhadkta hain ye dil,. Tujhe dekh najane kyon dhadkta hain ye dil....
0
May 21, 2015
May 21, 2015 at 4:08 AM UTC
YE DIL
Barsat ki Ek raat dil ne dimag se pucha, jo Badal raha wo 'waqt' hai? waqt to Aaj bhi waisa he hai bachpan me jaisa hota tha wohi savera wahi sham Or baki cheeje tamam Par tab naa bhigne se lagta tha darr or naa sardi jukam, or wo pani ki shrarate tamam Jinki Yaad bhar se aa jati hai hothon pe muskan par ab aisa kya hua jivan ki iss Dagar me kahan bhatak gaya in jhuthe rit riwazo me Kaise jivan ke Arth badalte gaye Kyo ek funny poem likhne wale Emotional likhne pe majboor ** gaye Hawa k jharoko se kashti hilti gayi waqt k sath mein tau badlta gaya aur yeh zindagi chalti rahi pal pal nayi hasratein har pal naye khwab bunti gayi aur yeh zindagi chalti gayi raah mein manzar tau bahut aaye bulate rahe mujhe mere saaye mein tau ek pal ko ruk sa gaya par yeh zindagi chalti gayi yaadon k saaye mein zinda *** abhi lagta hai tham sa gay *** mein kahin par zindagi bewafa sanam si nikli mein tau ruka reh gaya aur yeh chalti gayi jindagi har pal apne arth badalti rahi ham hanste rahe chahhe rote rahe par woh apni rafataar se bas behati rahi kabhi ban ke sawal ,kabhi ban ke utar woh  hame har mod per milti rahi ham tutate rahe, bikharate rahe  fir khud hi gir ke sambhalte rahe aur jindagi yun hi jalti bhujhati rahi gum mile kuch is tarah ki gum hi gum na lage khushiyuon  ki baat bhi hame gum ban ke milti rahi kya kare kisi se shikva, kya kare kisi se shikayat apne hi jab todate rahe...... toh saans meri har pal ghutati rahi bas jindagi yuh hi chalti rahi har pal apne arth badalati rahi
0
Jun 6, 2018
Jun 6, 2018 at 1:35 PM UTC
Badalti zindagi

39
Ki haar gaya tan tan man puakar kar tumhe Kitne ekaki hai pyar kar tumhe Ki jis pal haldi lepi hogi tan par maa Jis pal sakhio ne saupi hongi saugaate Dholak ki thappo me , ghunghroo ki runjhoon me Ghulkar faili hongi ghar me pyari baate Uss pal meethi si dhun , sune kamre me sun Roye man chausar par haar kar tumhe Kitne ekaki hai pyar kar tumhe ..... Haar gya tan man ..........re haar gya re.. Kal tak jo humko , tumko milwa deti thi Un sakhio ke pprashno ne toka to hoga Saajan ki anjuri par anjuri kaapi hogi Meri sudhio ne rasta roka to hoga Uss pal socha man me aage ab jeevan main Jee lenge hans kar bisaar kar tumhe Kitne ekaki hai pyar kar tumhe ... Haar gaya tan man ....re haar gya re Kal tak jin geeto ko tum apana kahti thi Akhbaaro me padhkar kaisa lagta hoga Saawan ki raato me saajan ki bahoon main Tan to sota hoga par man jagta hoga Uss pal ke jeene me aanshu *** lene me Marte hai man hi man maar kar tumhe Kitne ekaki hai pyar kar tumhe Haar gaya tan-man ...re haar gaya re..
0
May 18, 2015
May 18, 2015 at 10:58 AM UTC
KITNE EKAKI HAI PYAR KAR TUMHE
Kabhe pucha hay apnay app say kay tumnay kitnay waday torhay hein? kabhe pucha hay apnay app say kay kitnay logouin ka dill tora hay? kabhe pucha hay apnay app say kay tumnay apne eik nazar say kis kis ko apne he nazrouin mein gerayya hay? - nae pucha nah? kese din pucho gay nah tou mrnay ka dill chahy ga, zindage kay naam say chirnay lago gay. Kabhe pucha hay kay tum Zindage kay naam per eik beyqaar zindage jee rahay hou? aur phir kehthy hou ''yaar kya krien zindage he esse hay''. Kabhe Zindagi ke kitaab ko khol kr tou dekho kya kya rakha hay uiss mein. Zindage bahot he haseen hay sirf hum masroof hein apne duniya mein wou duniya jis mein kuch nahe sawaye humaray. Ajj loug dusrouin ke mintein krtay hein kay ''ruk jau'' ''na jau'' jb kay mery khayaal mein ye loug bhul chukay hein kay '' jis ko jana hay uis ko jana hay chahy tum apne jaan kyun na deh dou''. Ajj tou logouin ke zindage andhere hojaate heh jab koe uinka ''dost'' ya ''yaar'' chor jaye aur wo uis khuda ko bhool jaatay hein jis nay uis ko usse ''dost'' ya ''yaar'' say milaya tha. Hum loug tou apnay Khuda ko bhe bhul chukay hein. Wo Khuda jis kay pass humnay waapis jana hay wo Khuda jis kay bagheir humare koe ukaat nae. Barhay Unchay gharouin mein reh reh kr apnay app ko Khudha samjhna shuru krdeya hay humnay. Ess zamaanay mein koe kese ka Dost nae hota barha Dost Dost krtay hou na jab doob rahay hou gay kudhe dekhna kay sab DOST tamasha dekh rahay hogein aur tum zindage ke tarf aanay ke bher-poor koshishein kr rahay hou gay, tab apnay app say puchna kay ye wo DOST thay jin kay leye tum apnay maa-baap say laray? uin kay samnay uncha bolay? sharmindage hoi? Ajj hum itnay ''self-obssessd'' hein kay dusrouin ko dekh kay lagta hay chunte jitni ukaat hay uiss ke. Hum apne he Duniya mein bahot dur nikal aayein hein, asal duniya say bekhabar, asal dostouin say hum la-taluq ** chukay hein. Hum ajj apnay app mein he kho chukay hein. Apnay rab ko humnay kho deya. Rab ko kho deya matlab Sub kuch kho deya ! tou abb hamaray pass koe raasta hay? -Haan wou rab 5 martaba bulaata hay tumhein apne taraf, jau uiss ke taraf aur apne ASAL ZINDAGE ke taraf waapse aou.
0
Sep 16, 2016
Sep 16, 2016 at 10:00 AM UTC
16-9-16

28
usne pucha tha meri udasi ka sabab, mene kaha wo aaine me tasvir ubharti he fir fanna kyu ** jati he, usne pucha tasvir kiski dikhai deti he tumhe, mene kaha na uska naam he na pata fir bhi apna sa lagta he, usne kaha kuch guftagu bhi kar ti he tasvir aapse, mene kaha ha magar alfaz nahi hote uske ankho se baat karti he. usne kaha kya kehti he uski ankhe mujhe bhi to kaho mene kaha uski ankho me mujhe pyar nazar ata he unkahi baato ka izhaar nazar ata he. usne pucha kya ikrar kiya he tum ne usse mene kaha me to karta hu koshish-e-ikarar karne ki magar inkar hi ajata he usne kaha bade hi wo ** tum ikraar se darte ** mene kaha ikrar se bhala kon darta he me to bas pyar se darta hu me to bas pyar se darta hu nk
0
Dec 17, 2014
Dec 17, 2014 at 2:43 PM UTC
udasi ka sabab
Rang laayi dua , mojajaa ** gya jo nahi tha mera, wo mera ** gya   *2 rang laayi dua mojajaa ** gya   *2 Iss kadar mat sataa, laut aa laut aa fir na kahna koi, bewafa ** gya   *2 rang laayi dua mojajaa ** gya   *2 Ki aisa lagta hai tumko nazar lag gyi tum to aise naa the, tumko kya ** gya   *2 rang laayi dua mojajaa ** gya *2 Meri ankho me sota raha dewta man ke mandir me fir, rat jaga ** gya *2 rang laayi dua mojajaa ** gya *2 Teri kurbat tera aasara chahie mujhko isske siwa, or kya chahie *2 *2 manzile khud pe khud, paas aa jayengi dil me chalne ko bas hausala chahie Rang laayi dua mojajaa ** gya *2
0
Jul 31, 2016
Jul 31, 2016 at 12:07 PM UTC
Mojajaa ** Gya
Ek metro, saanp si guzar rahi hai kuch duur Ek nabh faila hai uske upar - Neela sa kaala Ek chaand chamak raha hai uss nabh mein Kuch baadal sarak rahe hain paas mein uske Usi metro ki tarah par dheere zara Thandi hawayei hain. Usme goonjta mera aaj khada Kuch thandak hai inn hawaon mein Aur bohot sara sukoon bhara Aisi hi hoti hai wo chaand ki thandak? Jinhen sunte, apna bachpan beet gaya Kya sheetalta swarg ki aisi hai kahin? Jisey suna kayion ka jeevan guzar gaya Kya raambaan sukh yahi toh nahi Kya kamdhenu vriksha aisa tha kabhi Kya Ramcharitmanas mein hanumat Ka Rambhakti amrit lagta tha yun hi? Aisa hi amritmay bachpan mein, yaad hai mujhko lagta tha Zameen se shuru uss lambi khidki Se yahi chaand chamakta dikhta tha Mama sa ban chup shant bhav se Kuch baatein meri sunta tha Kyunki khud bhumi par bistar pe so Holi mujhe khilayi thi Khud bhookhe reh uss ke paiso Se mere bhai ko idli chakhayi thi Bohot pasand thi usko uski idli Aur rangbhari mujhe holi meri Kya kabhi unhen main unka wapas Ye rinn chukta kar paungi Kya kabhi unnsi balwaan main ban kar Unke liye itna kar paungi? Kya usi chaand ki thandak si khushiyan Unki jholi mein bhar paungi? Kya bhool maaf karne ki hadd Ko paar kar kar ke thake nahi wo? Kya raat bhar bhi jagkar subah Hans dawa banna bhoole nahi wo Kya insaani roop mein hain Bhagwan, "maa baap" kehlate jo?
0
Nov 29, 2019
Nov 29, 2019 at 10:16 AM UTC
Maa Baap
Maa teri meri yadein boht achi thi Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi, Yaad hai mujhe aaj bhi wo pal maa Bimaar mai hoti thi taklif tujhe hua karti thi, Tu kabhi na bhuli mere khane ka samey maa... Qki maa tu hi toh khane ki plate mere aggey piche ghumaya karti thi, Wo teri aloo, pyaz wali khaniya maa Jisko sunn k sach mai maan liya karti thi, Kya khub sundarta thi tere bhole se chehre pay maa... Jo meri saheliya bhi gunn tera hi gaya karti thi, Maa ...qki teri meri yadein boht achi thi Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi, Jab pehli baar un chote se hathon se chai bnayi thi maine Yaad hai , tu sab rishtedaro mai yahi gaya karti thi, Har baat k liye zidd bht ki Maine tujhse Par aakhir mai meri khushi k liye haa tu hi bharrti thi, Bht ladai ki sabne mere liye tujhse maa Lekin har pal sath khadi tu hi mila karti thi, Maa teri meri yadein boht achi thi Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi, Bht si horror movies bhi dekhi tere sath maa aur tu kahani ka pehlu phele hi bta diya karti thi, Bht hase bhi sath mai roye bhi sath mai Aaj jab dekhti hu toh ansu apne aap nikal k beh jate hai, Bachpana samjho ya nadaniya samjho Par tere hi aggey hua karti thi, Tu Maa thi ya meri dost thi Qki tu bhi toh bacho jaise harketin kiya karti thi, Aaj bhi wahi tera chehra dikhta hai mujhe maa , teri wahi awaaz sunayi deti hai, Lekin bevas tu hai ya mai hu aisa mnn mera kehta hai maa, Qki maa teri meri yadein bht achi thi Sach mai Tu jo bhi kehti thi bht sachi thi. Wapas se wahi samhe jeena chahti hu tere sath maa.. Par sochti hu tu yaha ayegi ya mai waha au maa, Sach Drr lagta hai duniya se maa ab Jee paungi ya tut jaungi mai ab, Kitni bholi thi maa tu humesha se Qki jhuti ya sachi sab maan liya karti thi, Yaad hai mujhe aaj bhi jab scooty meri band hoti thi Toh kick tu hi mara karti thi, Wah kya paranthe aur rajma banati thi maa tu Jo saheliya hi sabse phele khaya karti thi, Itni sachi aur achi maa thi tu Warna mujh jaise nalayak bache ko tu hi sambhala karti thi, Maa dubara se wo maa sabd tere aggey tujhe bolna chahti hu fir se Kya tu dubara janam legi milne k liye mujhse, Ek baar toh ake gale lga le maa mujhko Fir se wahi pyara bacha bnke dikhaungi tujhko, Yaad hai maa mumma's lil girl ka tattoo maine bnwaya tha tere liye Lekin jab ghar pauchi toh dekhte hi dil baith gya tha mere liye Maa tu sda zinda rahegi dil mai mere Qki Sach keh rahi hu mera wajood hi hai tere liye, Maa bharosa kar mera bharosa nahi todungi tera Ab aa hi jana maa bacha hu tera.
0
May 14, 2020
May 14, 2020 at 12:18 PM UTC
Maa teri yadein....

54
apno se jada gairon ki yaad aati hai, jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jaati hai, dil ka haal samajhne vala koi nahi hota, aur jindagi hai k bas ek chidiya ki tarah ud jati hai, dll me yaad basi rah jaati hai, mashaal jalti hui achanak bujh jati hai, aankhon k saamne base andhera hi andhera dikhta hai, har roshni bhi feeki pad jati hai, jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jati hai.... wajah bewajah hi dard uthta rhta hai, aankhon ka mom har waqt pighalta rahta hai, aansoo b rasta aona badal lete hai, dil me tadap k shiva aur kuj nahi bachta hai, har khwahish dafan ** jati hai, chahat bas khud ko khatam karne ki rah jati hai, jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jati hai..... shahar logon se bhara hokar bhi veeran lagta hai, din nikalte hi dhalne lag jata hai, bewajah koi insaan shaitan lagne lagta hai, khud ki ek saan bhi bejaan lagne lagti hai, bejaan aawaj, rookhe shabd, pathrayi aankhen, aur aansuon ki sookhi dhara shrajal ** uthti hai, jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jati hai..... yun to har waqt khyal dil me rhta hai k vo mera hai, tabhi koi khta hai k vo nahi bas bhram tera hai, aur kitna pyar me barbaad ** jaun, khatam ** jaun ya tujhme hi mar jaun, aasan nahi koi jirah rah jati hai, har gali kooche se bas unk nikalne ki aas rahti hai, vo mere nahi har taraf bas ek hi aawaj goonjti hai, din khatam raat shuru, roshni gayi andhera shuru, sath khatam tanhayi shuru, bas yahi tadpan har ghadi rah jati hai, vo meri nahi kisi aur ki ** jati hai, jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jati hai....
0
May 12, 2019
May 12, 2019 at 8:21 AM UTC
jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ** jaati hai

38
Bs ek tamanna hai agar janam mile fir se, Meri sacchi mohabat mujhe har janam mein mile. Zindagi ka har pal khubsurat hai jab aap saath ** ye dil shiddat se chahta hai sirf aapko. Aap dharti kya jahan bhi honge, Aapki khusbu se hum aapko pehchaan lenge. Aankh band kar dadhkano se pehchaan lenge, Din maheene saal guzarte jayenge. Pyar mein aapke har pal har lamha badhte jayenge, Jab jab janam lenge hum sirf aur sirf aapke rahenge. Ye dil sirf us dadhkan ki hai pehchaan, Aapki rooh mein basti hai hamari jaan. Har dua mein us rabb se hum aapko maangte, Is dil mein sirf aap hi ** rehte. Dil bhi bekaraar hain aapse milne ko, Khushnaseeb hain hum jo aap humein mile ** Saare jahan ki hasi aapke labe par saja de khuda, Aapse kabhi nahi hongey hum juda. Har saans par hamari hai aapka naam, Aapke bin zindagi hai gumnaam. Chand ki chandani madhamm padh sakti, Phulon ki khusbu feeki ** jaati. Hamari sacchi mohabbat ki khusbu is qadar faile, Ki dharti ke yug bhi kam padh jaaye. Karte hain kkhuda se hum gujarish, Aapki mohabbat ke siwa koi bandagi ki na ** baarish. Chahe hazaaron dafa waqt le le hamare imtehaan, Nahi chhodenge hum aapka saath meri jaan. Kuch ehsaason ke saaye dil ko chhu jaate, Zindagi mein phul khil jaate jha aap kadam rakhte. Gulaab tou kaaton mein bhi khila hain karte, Kabhi kabhi apne bhi paraya kar dete. Shukriya hai aapka jab hazaaron log khilaaf hote hum khuda kehte, Tab sirf aap hi ** jo hamara haath thame hamare saath khade rehte. Khubsurat hai har subah aur har shaam, Achaa lagta hai hamara naam jab judta aapka naam. Aap saath hain tabhi khush hai saara chaman, Aapse mohabbat karne ko le le hum hazaro janam. Aap jaise dost milte hain taqdeer walon ko, Mile yhi taqdeer aur is dil mein sirf aap rho. Aapki rag rag se waakiff hain hum, Saath hain humesha mere humdum. Bs ek tamanna hai is dil mein, Har janam mein aap hi hamare mahadev bane
0
Nov 13, 2019
Nov 13, 2019 at 9:00 AM UTC
Har janam bs aap

44
Tujhe chhoone par hai lagta Tu jalti jwala re! Tujhe niharne par lagta Tu chaand ka tukda re! Aisa Kya jadoo Kiya Aisa Kya jadoo Kiya Ore Priya re! Tere sang Tere sang ishq hua re! Bana Dene jaisa lagti ** tum Ek chitra! Are munh tumhara ek Paan ka patta Bana Dee gayi lagti ** tum Ek moorti! Sach jaisi Konark ki kala kirti Tujhe padhne se lagti hai tu Sach mein  ek kahani re Tujhe gaane see lagta Tu ek geet re! Aisa Kya jadoo Kiya tune Aisa Kya jadoo Kiya toone Ore Priya re! **** bhar Teri Rajnigandha ki khushboo Teri chaal mein Raj hansini ka chhand! Barasne jaisa pyar tumhara Madhu ki varsha! Sabhi or hoti hai Bas teri hi charcha Tujhe tolne par Tu lagti Ek phool re! Tujhe dhaalne par lagti Tu kuchh rang re! Aisa Kya jadoo Kiya Aisa Kya jadoo Kiya toone Ore Priya re! Tere sang Tere sang ishq hua re!
0
Jan 27, 2018
Jan 27, 2018 at 11:16 PM UTC
Tere sang ishq hua re!
Lal rang ki saree ka jawaab nahi hai. Aisa lagta hai ki Rooh ka libaas hai. Haseen Badaan ko chupati bhi hai Dil kai dhadkanai kau badaati hai. Kamaar ki woh thar tharanaa. Kamil naaf ka woh chup chupunaa. Woh gehri aur nazuk sai sozen kari Aap ki khobsuraati ka izafa kar dehti hai. Lal rang ki saree ka jawaab nahi hai. Aisa lagta hai ki Rooh ka libaas hai.
0
Jun 14, 2018
Jun 14, 2018 at 7:32 AM UTC
The Red Saree
Najane kyon rutha rutha hai ye pal, Chhin ke meri khushi deke dard bhra gum, Ai khuda ye tera kaisa insaaf hai, Lauta de tu mujhe meri zindagi nahi lagta unke bina mera man, Najane kyon rutha rutha hai ye pal, Hal-e-dil ab sunau kissse, Apni khoi khushi ko lau kaise, Ai khuda ab ye khubsurat Duniya bhi badi ajeeb lag rhi hai, "Mai unse bahut pyaar karta hu" ye sandesh pahuchau kisse, Ye jhuthi muskan to ek bahana hai dard chhupane ka, Wo bhi roh rahe honge soch haal diwane ka, Ai chand kyun ** gya tu badalon me ojhal, Najane kyon rutha rutha hai ye pal...
0
Jun 7, 2017
Jun 7, 2017 at 4:29 AM UTC
Najane kyon rutha-rutha hai ye pal
Dard bhi kya sikandar hai. Is ko na kisi ki fikar, na dar hai. Jab yeh aata hai toh sab bhula deta hai. Jo fateh karle toh kya ummeed kya khwahish hai. Bas dard hi dard hai. Dard se bachna hai. Khushiyaan aati hai toh kisi na kisi dar ke saath. Chhin jaane ka dar, Nazar lag jaane ka dar, Zyaada khush ** liye toh phir baad mein rone ka dar. Lekin dard ko kis cheez ka dar? Jis ka dar tha jab wohi aakar hum se lipat jaaye, toh phir kis baat ka dar? Kitni ajeeb baat hai, aur yeh kaisa mazedaar rishta hai dard aur khushiyon ka. Khushiyaan dard ka veham lekar aati hai, toh dard ki inteha ek dhundla sa daawa khushiyon ka. Lagta toh har kisi ko yahi hai, ke ab is dard se azaadi na mumkin hai. Magar dard hi toh azaadi hai. Yeh khaathma nahin. Yeh toh khaatme ki shakal mein shuruwaat hai ----- ek nayi khushi ki, ek nayi tumhari.
0
Sep 11, 2021
Sep 11, 2021 at 7:01 AM UTC
Dard