Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"lagana" poems
Aa ab laut chalein apne ghar Aa ab laut chalein apne ghar Bht lamba hogaya yeh safar Jaha teri shetaniyon ka manzar tha Jaha pyar ka samndar tha Jaha thak kar sona ata tha Jaha har kona muskurata tha Jaha beeta har din yadgaar tha Jaha ka har pal suhana khwab tha Aa laut chalein apne ghar ab bht taay kar liya yeh safar jaha khul kar tu bhi hansti thi jaha muskura mein bhi leta tha jaha teri badmashiyo mein bacha me bhi bann leta tha jaha naachti tu thi aur jhumta me tha jaha bachon si ladhai aur dil ka mehal tha jaha na kabhi dur hone ka dar na adhuri koi aas thi jaha sath beshumar tha aur poori har saans thi jaha rote rote hans dete the hum na koi fikar ki bat thi jaha ghanton batein karte the hum ghadi ki sui na humare sath thi Aa laut chalein apne ghar Bht lamba hogaya yeh safar Jaha tera kam se ana tha Phr mujhko gale lagana tha Jaha teri bematlab ki baton me Mera kahn gum hojana tha jaha har sapna jee rahe the hum jaha nahi thi kisi ki koi sharam jaha dikhawa koso tak na tha har jagah tha bass pagal pan Aa laut chalein apne ghar Bht lamba hogaya yeh safar jaha jhagde bhi suljhe se the jaha ansun bhi uljhe se the jaha hothon pe muskan bhi thi jaha ankhein kuch naadan bhi thi jaha nanhe kadmon ki awaz bhi thi jaha lori ki chankar bhi thi jaha ghungru si tumari payal bhi thi jaha kangan ki awaz bhi thi jaha hansta hua tera chehra bhi tha jaha ghurti meri ankhein bhi thi jaha band woh darwaze bhi the jaha do **** ek jaan bhi the Aa laut chalein na apne ghar waqai bht lamba ** gaya yeh safar.... waqai bht lamba hogaya yeh safar..!!! ..
0
Oct 29, 2020
Oct 29, 2020 at 10:05 AM UTC
Aa ab Laut chalein apne ghar...!!

Continue reading...
52
Na amiro ki basti mein rhta hu Na hi gareebo ke aashiyane mein Middle class ka hua Middle mein rhta hu Na pahali pankti ki pehali seat pr baithta hu Na hi aakhar mein khada rhta hu Middle class ka hu Middle mein rhta hu Na croro ka kabaar  hai Na hi gulabi note hazar hai Middle class ka hu Meri jarurate saman hai Na luxury car hai Na nhi cycle apni bekar hai Middle class ka hu Auto,riksha, paddle chalna Apne liye aam hai Na meri girlfriends char hai Na hi single rhna izzat ka swaal hai Middle class ka hu Apne yaar,dost shandaar hai Na aasman chhuti imarto par likha apna naam hai Na hi sadak kinare bitati apni shaam hai Middle class ka hu In dono ke beech Kaat leta apni raat hu Na videsh ghoomnta hu Nahi sehar se bahar jaana muskil samjhta hu Middle class ka hu Apna desh pura ghoom lena bhi bahut samajhata hu Na sir jhukane wale log hai Na hi sir jhukane wale hum hai Middle class ka hu Sabko gale lagana hi Apna dharam hai Na hi ac mein kaam karta hu Na hi dhoop mein pasina sukhata hu Middle class ka hu Pankhe ke niche apna kaam karta hu Na suraksha karmi apne pass hai Na hi sarir apna lachar hai Middle class ka hu Apni jaan ki raksha apne hath hai Na chhapan pakwan banate apne maharaj hai Na hi khaali pet sota apna pariwaar hai Middle class ka hu Meri maa ke haath mein hi sara sawaad hai
0
Aug 5, 2018
Aug 5, 2018 at 2:59 AM UTC
Middle class ka hu
Phir teri mohabbat yaad aayi Phir mera bilagna yaad aaya… Phir teri naseehat yaad aayi Tera raub wa jalwa yaad aaya… Tune jitni jheli takleefein Us dard ka ehsaas yaad aaya… Tune zindagi bhar jo bhi kiya Tera jud o karam sab yaad aaya. .... Teri kaawishein teri koshishein Tera jaan lagana yaad aaya. ... Teri neikiyan tere khair amal.. Tera pyaar lutana yaad aaya... Teri hayaat se seekhe hain jo jo... Har ek sabaq woh yaad aaya. ... Tera muskata har dam chehra... Woh roshan nazara yaad aaya. .... Ba vaqaar jo jhele gham tune... Tera sabr se sehna yaad aaya…. Teri zinda dili teri saada dili... Deen' mein thos aqeedah yaad aaya. .... Beta, bhai, shohar, walid ** ya dost Har ek farz nibhana yaad aaya. .... “Ain" tum bhi amanat daari karo... Usne hi seekhaya......yaad aaya..??? Phir mera tadapna yaad aaya... Lamha rukhsat ka jo yaad aaya… Ae Firoz tu aisi misaal bana..... Jaane kitnon ko tu yaad aaya. ....
0
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 6:47 AM UTC
Yaad aaya...
Abhi toh aadhi raat hi hai, Din ka aana abhi baki hai Abhi toh unki aankhon mai khona suru hi kiye hai, unki yaadon mai khona abhi baki hai Abhi toh unke lafzo ko hi sun paa rhe hai, Unki saanson ko sunna abhi baki hai Abhi toh bas beete hue pal hi yaad aa rhe hai, aane wale kal ko samjhna abhi baki hai Abhi toh khuda se lad pare hai hum, Unhe manna ke tumhe pana abhi baki hai Abhi toh bas tum humse dur hue ** tumhra wapas aake hume gale se lagana abhi baki hai. Abhi toh aadhi raat hi hai, Din ka aana abhi baki hai
0
Mar 3, 2019
Mar 3, 2019 at 5:44 AM UTC
Untitled
Hai pratigya yh Ki bdlaao h Lana Sachchae ka hme h saath nibhana Sach k khatir apno ka v saath chor jana Hr paapiyo ko h hme sabak sikhana Gunaho ko jhr s h mitana Apne desh ki raksha k khatir Khudh k jaan ko v daao pe lagana Hai pratigya h Sch ka h saath nibhana Hr archano ko hra k bsh aage bdhte jana
0
Jun 26, 2021
Jun 26, 2021 at 12:46 PM UTC
Hai pratigya yh
Jindagi toh chal rahi hai aur chalti rahegi jab tkk wo chahe chalata rahega... Kitno ko bulaya hai usne aur Jab takk wo chahe bulata rahega... Na samajh iss khell kaa tu badshah hai... Ek din iss khell see wapes jane kaa tera bhi bulava ayega... Lagale jitnaa lagana hai dil aur dimag iss khell mee anntt mee sab kuch tere saath hee jana hai.... Ek dinn iss khell see bulavaa tera bhi aana hai... Lagale, jitnaa dil aur dimag lagana hai.
0
Oct 19, 2020
Oct 19, 2020 at 1:21 AM UTC
Jindagi kaa khell...