Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Tum bin
Mein kohre ki Dhoop dhoondta
Ek shikhar aashiqui sapne liye
Mann hi Mann ghumta
Wajeeb noor e rooshwayi
Dhoobta mein jalta khud hi khud me
Ek bebasi
ek dariyaan
Ek muhabbat e muskurahat
Teri woh jhilmil si jheel si Nazar
Aur nazaro nazaro me dhoondta dil pyaar ke sukun ke woh Lamhe!!!
...
..
.
Teri talaash e nazar
Ghumsum si ek hasi
Chand ka mukhra
Dil e tanhaiyaan
Rooh ko mat tadpa o janiya
Dheere dheere se aa
Aur Naja Naja kanhi dur
Mere dil e dooriyon
Khud se khafa itna
Ki dard ko pi liya gulmohar ki tarah
Rang rang me pyaar ko dhoondta
Mein pagal deewana
Kabhi ish sadak kabhi os sadak
Jalti dhoop me chalta yeh mann...
Thandi kohre ki tamanaah liye...
Zindagi us khuda ki banai bisaat hai jis k hum sab mohre hai..
Uske dar tak k raaste me.. Nashukro k liye kohre hi kohre hai

Jo behtar khel jayega wohi jeet jayega..
Par ye hoga tabhi Jab woh behatreen akhlakh apnayega


Khelte khelte kai to fanah ** gaye..
Kai Sikandar..****** jaise tabah ** gaye..
Maiyyat se khali haath bahar le kar is duniya se wida ** gaye

Rubaru apne kafan se jo jeete ji ** gaye..
Mukammal jahan unhi ko mila..jo khuda ki panah me ** gaye

Zindagi me jinhone ilm rakha us khuda ko Yaad karna..
Namaze adda kari..Gurbani paddi.. Granth padde..Hukumname diye..
khuda ne hosle itne buland kr diye..Apne noor se sabhi manzilo..Jannat k raaste unhi k liye Roshan kar diye

Zindagi me Naam..Shoharat unhe bahut mili..jinme alfazo se khelne ha hunar aa gaya..
Sir chad k jinke ye inayat na boli..woh us khuda ko tah umra bha gaya😊

— The End —