Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"kiya" poems
Zindagi ne, is kaddar, kiya hai, bas vaar Bina koi, churee, ya koi, talwaar Ghaayal; dil ye hua, baar, baar Zindagi ne, di, chotain hazaar Gaye thay, hum, is tarah se, bikhar jooda na, paye thay phirse ye jigar khaamoshi se, milta tha, bas, karaar tanhayeeon se , karte thay, iqraar Jhanke, hum jab, dil ke, jo andar Sach nikala, gehrayion se, baahar Shikayat hai, ab na, koi takraar karne lage hai, hum, khudse jo pyaar! Translation in English Self Love Life has waged on me many a war Without even a sword or a dagger so far The heart was wounded time and again Life hurt and caused me so much pain My life was but thrown helter skelter I could not piece my heart together Silence was but my solace Solitude was my only grace When I dug deep within me The truth I could clearly see I have no grievances or complaints now Having realized the importance of self-love
0
Jun 18, 2014
Jun 18, 2014 at 2:28 AM UTC
Hindi poem with English translation.
Kis gunah ki saja tumne mujhe diya...? Ban ke bewafa tumne pyaar ko badnam kyon kiya....? Mila tumse mohabbat karne ka sila mujhe, Jite ji tumne mujhe ye judai ka zahar kyon diya...? Na karte pyar kabhi bhi tumse agar pta hota mujhe judai ka gam, Karke mujhe akela, kahan chale gye wo bewafa sanam, Kya duniya ki yahi reet hain...? Pyar aur Judai me aksar kyon judai ka hi jeet hain....? Kis janam ka badla sanam tumne mujhse liya...? Karke ghayal dil ko, mujhe akela yu chhod diya, Ab to ye duniya mujhe tane mar rahi, Kabhi laila majnu to kabhi heer ranjha ki pyar ki kahaniya suna rahi, Ja bewafa ja khush raho uske sath jise tumne apna bna liya, Dard dekar mujhe jo mere dil ko DARD -E- DIL bna diya, DARD -E- DIL bna diya.....
0
Jun 13, 2015
Jun 13, 2015 at 11:20 AM UTC
DARD -E- DIL
Akela ** gya hoon tere bin jab se tune mujhe chhod diya, Tor ke mera DIL mere pyar se jo yu mu'h mor liya, Jab jab dekhi tujhe ye meri udas aankhen, Chalak gye aansoo Jab yaad aai wo purani batein, Kaise mitaoo sanam tera ye bharam, Tujhe chahenge hum har janam, Teri khusi me maine apni khusi ko dhundh liya, Tu khush rahe sad'a eske liye maine rab se dua kiya, Ab saare dard -e- gum bhula diye hum, Tujhe chahenge hum janam -janam, Ab har o pal tere bin main dard bhari yaado ke saath ji'h raha hoon, Ekbar dekh lo mujhe ai jalim, Tu kisi ke saath muskura rahi aur main akela ro'h raha hoon, Puchh rahi ye duniya sari bewafa tum ya bewafa ** gye hum, Tujhe chahenge hum janam janam, Na mili mujhe tere sath jine ki khushi es janam to kya hua, Tut gye hain hum, dil ko mere bahut dard hua , Khush ** jayengi zindagi meri jab es duniya ko chhod chale jayenge hum o bewafa sanam, Tujhe chahenge hum har janam....
0
Jun 11, 2015
Jun 11, 2015 at 7:11 AM UTC
TUJHE CHAHENGE HUM HAR JANAM.....
manzil humari hume pata nahi phir bhi chale ja rahe hai,kisi raah pe ajnabee kaun,kaun humsafar hai bhulte ja rahe hai is rah pe akele the akele hai akele hi chale ja rahe hai is raah pe kaha kisine kiya humne manzil mili nahi is raah pe manzil na sahi, koi thikana to ** jaha ruk kr samye bita sake is raah pe kathin hai pana is manzil ko mana par sabbra hi to hum kho rahe hai is raah pe chale ja rahe hai, chale ja rahe hai hum is ajnabee si raah pe dikhai di hume manzil humari chalte chalte is raah pe jab pahuche hum us manzil pe dikhai di ek aur raah is raah pe.........
0
Jan 14, 2012
Jan 14, 2012 at 11:49 AM UTC
ajnabee raahen
Kagaz ki kashtiyon mein kai bar safar kar liya, ab ek lambi udan bhar lene do. Aj in bandhe hue pankhon ko khuli hava mein sans le lene do, kyunki ab girne ka khauff nahin raha. Daudne mein ab koi maza nahin hai, kyunki yahan to hava jaise tham si gayi ** Ab rukne ka bilkul man nahin raha, aj to toofanon mein sair karne lene do. Dayron mein rehte hue adhi zindagi guzar gayi, aj to un hadon ko par kar lene do. Dar dar ke kab tak khamosh rahoge dost, zameen par jeet jane mein kuch nahin rakha , aj to uchaiyon par jashn mana lene do. Unke chale hue raston ko kai bar nap liya, aj mujhe bhi apni pehchan bana lene do. Kismat ka rona to sabhi rote hain, aj mujhe bhi apne naseeb ka kora kagaz rang lene do. Kabhi kabhi to man karta hai ki un azad parindon ki tarah hava mein bas tairta hi reh jaoon. Asan to kuch nahin par sochta *** ki aj namumkin ko hi apna dost bana loon. Kitabon ke panne kafi palat liye, aj mujhe bhi do shabd likh lene do. Hans lene do jinhe hansna hai mere in mazboot iradon par. Kya samjhenege who is khuli udan ki masti ko, jinhe kabhi bharosa nahin hua khud par, aur hamesha rakha tha apne armanon ko pinjre mein kaid kar. Khule asman mein aj ek bar ud lene do, kya pata kal wahan bhi zaroorat se jyada bheed ** Kai dinon ke bad aj ek bar fir azad hone ka man kiya hai Tod do in bediyon ko, kyunki aj ek lambi udaan bharne ka iraada hai
0
Mar 23, 2011
Mar 23, 2011 at 9:20 AM UTC
Udaan
Kash tum meri zindagi me aae hi na hote, To shayad aaj ye akelapan mujhe mehsus hi na hota..... Mai akeli thi aur akelapan meri aadat ban chuki thi, Zindagi se koi ummeed bhi ni thi mujhe... Par jab tumne mera saath dene ka wada kiya, Man hi man mujhe apni zindagi se lagaav sa ** gya... Jine lagi thi mai, Zindagi se ummeedein rakhne lagi thi mai... Jo barish ki bunde mujhe kaaton ki tarah chubhti thi, Jiski awaaj mujhme ek bechaini si paida karti thi... Wo barish ki bunde mujhpe ab phulon ki tarah barasne lgi thi, Uski awaaj me mai saat suro ko mehsus krne lgi thi..... Kash tum meri zindagi me aae hi na hote, To is akelepan se koi shikayat hi na hoti.... Kash tm meri zindagi me aae hi na hote to is akelepan se koi ummeed hi na hoti.. Kash tum meri zindagi me aae hi na hote... Kash tum meri zindagi me aae hi na hote.....!!!!!!!
0
Mar 18, 2015
Mar 18, 2015 at 7:15 AM UTC
Akelapan
Tere Paas Hone Se Kuchh Na Hua, Tere Baad Shayad Kuchh Achchha **  Tere Saath Hokar Bhi Hum Khush Na The, Tere Baad Shayad Kuchh Achchha ** Teri Maujudgi Ka Ehsaas Kabhi Na Hua, Tere Baad Shayad Kuchh Achchha ** Tune Kabhi Humse Pyaar Na Kiya, Tere Baad Shayad Kuchh Achchha **
0
Apr 24, 2011
Apr 24, 2011 at 5:27 AM UTC
Tere Baad...
Darr lagta hai, ki Kahi Tumhe kho na de hum, Shabdo Mein byaan Nahi kara ja sakta Yeh pyaar, Aasuyo Mein behaya hua dukh, Hasi Mein chupaya hua dard, Zubaan par aane se darta hai, ki kahi tumhe kho na de hum. Anjaani raaton mein jab mile tum, Toh Aisa laga, Sansaar mil gaya, par yeh dil hai ki maanta Nahi, Nikamma banakar dukh deta raha, Kyunki darr hai tumhe kho na de hum. Iss aakaash ke soonepan se tanha hai Yeh Dil, Ki kabhi tumse duuriya na badh jaaye, Jag ne cheena mujhse, Mujhe ** bhi laga pyaara, Hoontho se chuloo tum, Mera geet Amar kar lo. Na ruthne ka dava kiya tha, par wafa Toh Hona hi tha, Kya hua tera vaada, voh Kasam, voh irada, Voh kehne vaale, Mujhe 'fareebi' , Kon farebi hai Yeh bata, Voh jisme gam liya pyaar ke khatir, Ya jisne pyaar ko bech diya? Shama chahte hai, kyunki darr se darr te hai.
0
Mar 22, 2015
Mar 22, 2015 at 2:47 PM UTC
Darr.
Tujhe dekhe huye kitne din, ab raha nahi ja raha tere bin , kas wo pal phir wapas aa jate, tere saath tujhe dekh man hi man muskurate, tujhse batein kiye huye kitne din, ab raha nahi ja raha tere bin.. har lamha teri yaadon me khoya hoon, yaad kar tujhe akele me roya hoon, duniya suni- suni lag rahi tere bin, ab raha nahi ja raha tere bin.. teri ek jhalak ke liye beqarar hain aankhen, tere saath baith kar karni pyar ki do batein, laut ke aaja sanam beet gye judai ke din, ab raha nahi ja raha tere bin.... tujhse pyar kar maine kaun sa khata kiya, Jo tune mere sapno ko jala diya, Usi intejar me baithe hai ki milenge ek din, ab raha nahi ja raha tere bin.....
0
May 21, 2015
May 21, 2015 at 9:20 AM UTC
TUJHE DEKHE HUYE KITNE DIN
Aapka saath humein har janam mein mile, Dua hai hamari aapke jivan mein phul khile. Sabse khushnaseeb hai hum mere humsafar, Jo aapka saath hai hamare saath har dagar. Meri rooh ka rishta hai gehra us rooh se, Chehra basa hai sirf aapka dil ki tasveer mein. Sagar ki gehrayi bhi kam hai is mohabbat ke saamne, Beinteha mohabbat hai tumse kehti hai dadhkane. Ruke na zindagi me hamare pyaar ki hawa, Hum tumhare hain tum hamare oo humnawa. Sukoon milta hai sun khud ka naam aapke saath, Jaise koi subah judi ** shaam ke saath. Meri haathon ki lakeere, mehandi sirf aap ** Har pal aapka hi rehta hai khayal humko. Qubool ** gayi har dua tumhari, Jab se mili hain saanse hamari. Dil ki gehrayi se chand ki roshni se, Kehna chahte hain hum kuch aapse. Phulo ke kagaz par likhte hain kuch labz, Beinteha mohabbat hai har lamha har nabz. Jaati nahi aankhon se surat aapki, Aapki zindagi mein rang bharne ki kasam khayi. Mil gaye humein hamare bholenaath, Jab se mila is khaas dost ka saath . Aapko dekhte hi ** jaata hai dil bekaraar, Aapko mile khushiyan beshumaar. Jab saath hai aapka dil mein dadhkan ki jagah, Fir zindagi ko saanso ki jaroorat kahan. Rabb se yhi ibadat mein karte hain fariyaad, Ye jodi yu hi banaye rakhna kr tumhe yaad. Kabhi ruth na jaana humse piya, Saath rehne ka vaada hai kiya . Jabse mehsoos kiya is dil ne aapko, Milne gayi zameen par jannat humko. Pyaar saccha ** tou waqt bhi Ruk hai jaata, Is pavitra rishtey ke liye aasman bhi jukh jaata. Aapse shuru hote hain hum aapke saath hi khatam, Saath rahenge aapke har janam mere sanam.
0
Nov 13, 2019
Nov 13, 2019 at 8:52 AM UTC
Humsafar ka saath

Continue reading...
38
Bewafa ** *** tum Tor denge sare rishtey tumse, Bhul jayenge tumhe Nikal denge apne dil se, Kyon kiya mohabbat jab sath nibhana na tha, tor ke ye dil mera mujhe jab rulana hi tha, Ab meri zindagi dard se bhar *** hain, Judai ka nam sunkar Meri aakhen nam ** *** hain, Ishq na karunga main ab kisi se, Chhut gya sath tumhara tut gya hoon jab se, Kaise kaise ye rishtey Tut ke ye rula deti kisi ko, Suru ** jata jina Jab bante hain kisi ke saath Naye rishtey, Ye naye rishtey......
0
Jun 2, 2015
Jun 2, 2015 at 6:31 AM UTC
RISHTEY
Asia ke hum parinde, Aasma hai had hmari, Jante hai chand suraj, Jid hmari zad hmari, Hum whi jisne samander ki, lehar par baandh sadha, Hum whi jinke ke liye din, rat ki upji na badha, Hum ki jo dharti ko mata, maan kar samman dete, Hum ki wo jo chalne se pehle, manjile pehchan lete, Hum whi jo sunya main bhi, sunya rachte hain nirantar, Hum whi jo roshni rakhte, hai sabki chaukhto par, Un ujalo ka wahi, paigam le aye hai hum, Hum hai desi hum hai desi hum hai desi, Ha magar har desh chaye hai hum. Zinda rehne ka asal andaz, Sikhlaye hai humne, Zindgi hai zindgi ke, Baad samjhaya hai humne, Humne batlaya ki, Kudrat ka asal andaz kya hai, Rang kya hai roop kya hai, Mehak kya hai swad kya hai, Humne duniya mohbat, Ka asar zinda kiya hai, Hmne nafart ko gale mil, Mil ke sharminda kiya hai, In tarrki ke khudao, Ne to ghar ko dar bnaya, In pde khali makano, Ko hmi ne ghar bnaya, Hum na aate to taraki, Is kadar na bol pati, Hum na aate to ye duniya, Khidkiya na khol pati, Hai yasoda ke yha par, devki jaye hai hum, Hum hai desi hum hai desi hum hai desi, Ha magar har desh chaye hai hum.
0
Mar 10, 2015
Mar 10, 2015 at 3:53 PM UTC
HUM HAI DESHI
Hum us desh ke vashi hain..... Jaha sabhi ka samman kiya jata hain, Hum us desh ke vashi hain.... Jaha sabhi logo me ekta hain, Hum us desh ke vashi hain.... Jaha atithi ko bhagwan ka darja diya jata hain, Hum us desh ke vashi hain.... Jaha aurato ko devi kaha jata hain, Hum us desh ke vashi hain.... Jaha hindu muslim sikh esai sabhi bhai bhai hain, Hum us desh ke vashi hain..... Jaha mata pita ko dharti ke bhagwan mana jata hain, Hum us desh ke vashi hain..... Jaha sabhi log desh ke liye marte hain, Hum us desh ke vashi hain.... Jaha mahatma gandhi, Bhagat singh, Subash chandra bose jaise beero ne janam liya tha, Hum us desh ke vashi hain..... Jaha par sanchai aur ekta mishal hain, Hum us desh ke vashi hain.... Jaha ki nadiya sudha jal deti hain, Hum us desh ke vashi hain..... Jise log bharat ya india kahte hain...       JAY HIND                JAY BHARAT
0
May 20, 2015
May 20, 2015 at 4:34 AM UTC
HUM US DESH KE VASHI HAIN......
Susulatan kita ngayon at wala kang iisipin lamang kundi ngayon Kahit bukas ay basahin mo ito isipin **** ito'y ngayon Kahit basahin mo ito pagkaraan ng mga linggo, buwan at taon pagkatandaang ito'y ngayon Ngayon at walang bukas, dahil ang bukas ay ngayon Ngayon lamang, ngayon lang, ngayon. Ikaw ay mamahalin hanggang ngayon na lamang Patawad aking mahal dahil mahal kita ngayon Ako'y nalulumbay dahil ang pagmamahal mo'y hindi matanaw kahit sa bukas Dahil ito'y pinalasap mo na at pinapalasap pa sa ibang tao sa iyong kahapon Sa kahapon lamang, kahapon lang, kahapon. Wag sana mahal sa aking sulat ika'y maguluhan Dahil mahal ng isinulat ko itong damdamin para sayo'y di naguluhan Intindihin mo na lang gaya ng pag intindi ko, Pag intindi ko sa nararamdaman ko sayo na hanggang ngayon na lamang Ngayon lamang, ngayon lang, ngayon. Habang isinusulat ko ito ngayon ako'y umiiyak hindi upang iyong kaawan Umiiyak ako dahil mahal kita ngayon Dahil una pa lamang kitang masilayan Sinambit na agad ng puso ko na mamahalin kiya ngayon Ngayon lamang, ngayon lang, ngayon. Wag sana ang sulat ko ay iyong itapon Itapon na para bang ito'y sulat ko kahapon Sapagkat ito'y sulat ko ngayon Basahin kapag naiisip na pagmamahal ni isa sayo'y wala at isipin ang ngayon Ngayon lamang, ngayon lang, ngayon. Kailangang tapusin na ang sulat ko sayo aking sinta Dahil ako'y hindi na makahinga Ako'y magpapaalam na ngunit nais pang magkatha ng mga kataga Kataga na hanggang ngayon ko na lamang kayang ikatha Mahal na mhal kita, mahal kita, o mahal aking sinta. Sana'y iyong tandaan na walang hangganan Ang tanging mayroon ay ngayon lamang. Ang pagmamahal ko sayo'y walang wakas Dahil walang wakas kundi ngayon lamang Paalam mahal, hanggang sa ngayon.
0
Jan 29, 2017
Jan 29, 2017 at 2:09 AM UTC
"Ngayon"

35
Ayea aap bhi dosti nibhayein hum bhi dosti Nibhayein Bade pyar se wo humko apni mefil me Bulayein Mehfil me bulakar mehfil ke kaide sikhayein Ayea aap bhi dosti nibhayein hum bhi dosti Nibhayein Pad pad kar kaide hum zehan mein basayein tabhi humare Mezban khud kaidon ko thakh per rakh ayein Ayea aap bhi dosti nibhayein hum bhi dosti Nibhayein Jab Mezbaan ki is harkat per hum narazgi jatayein Pyar se woh humein Naee kaide ki kitabe thamayein. Ayea aap bhi dosti nibhayein hum bhi dosti Nibhayein Bade laad se wo Bheege joothon ke nakshe humare galon per banayein Meethe khanjar si chubhti hain ye unki zalim adayein Ayea aap bhi dosti nibhayein hum bhi dosti Nibhayein Zalil O ruswa hokar jab unki mehfil se jayein. Dosti ki Bediyan wo humare paon mein pehnayein. Ayea aap bhi dosti nibhayein hum bhi dosti Nibhayein Kiya hai humne bhi pukka irada chod kar na mehfil ko ab Jayein Humare mezbaan chahe hume zalil ker kitni bhi khushiyaan manaayein Ayea aap bhi dosti nibhayein hum bhi dosti Nibhayein
0
Dec 10, 2014
Dec 10, 2014 at 9:33 PM UTC
Urdu - Dosti
usne pucha tha meri udasi ka sabab, mene kaha wo aaine me tasvir ubharti he fir fanna kyu ** jati he, usne pucha tasvir kiski dikhai deti he tumhe, mene kaha na uska naam he na pata fir bhi apna sa lagta he, usne kaha kuch guftagu bhi kar ti he tasvir aapse, mene kaha ha magar alfaz nahi hote uske ankho se baat karti he. usne kaha kya kehti he uski ankhe mujhe bhi to kaho mene kaha uski ankho me mujhe pyar nazar ata he unkahi baato ka izhaar nazar ata he. usne pucha kya ikrar kiya he tum ne usse mene kaha me to karta hu koshish-e-ikarar karne ki magar inkar hi ajata he usne kaha bade hi wo ** tum ikraar se darte ** mene kaha ikrar se bhala kon darta he me to bas pyar se darta hu me to bas pyar se darta hu nk
0
Dec 17, 2014
Dec 17, 2014 at 2:43 PM UTC
udasi ka sabab
Maa teri meri yadein boht achi thi Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi, Yaad hai mujhe aaj bhi wo pal maa Bimaar mai hoti thi taklif tujhe hua karti thi, Tu kabhi na bhuli mere khane ka samey maa... Qki maa tu hi toh khane ki plate mere aggey piche ghumaya karti thi, Wo teri aloo, pyaz wali khaniya maa Jisko sunn k sach mai maan liya karti thi, Kya khub sundarta thi tere bhole se chehre pay maa... Jo meri saheliya bhi gunn tera hi gaya karti thi, Maa ...qki teri meri yadein boht achi thi Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi, Jab pehli baar un chote se hathon se chai bnayi thi maine Yaad hai , tu sab rishtedaro mai yahi gaya karti thi, Har baat k liye zidd bht ki Maine tujhse Par aakhir mai meri khushi k liye haa tu hi bharrti thi, Bht ladai ki sabne mere liye tujhse maa Lekin har pal sath khadi tu hi mila karti thi, Maa teri meri yadein boht achi thi Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi, Bht si horror movies bhi dekhi tere sath maa aur tu kahani ka pehlu phele hi bta diya karti thi, Bht hase bhi sath mai roye bhi sath mai Aaj jab dekhti hu toh ansu apne aap nikal k beh jate hai, Bachpana samjho ya nadaniya samjho Par tere hi aggey hua karti thi, Tu Maa thi ya meri dost thi Qki tu bhi toh bacho jaise harketin kiya karti thi, Aaj bhi wahi tera chehra dikhta hai mujhe maa , teri wahi awaaz sunayi deti hai, Lekin bevas tu hai ya mai hu aisa mnn mera kehta hai maa, Qki maa teri meri yadein bht achi thi Sach mai Tu jo bhi kehti thi bht sachi thi. Wapas se wahi samhe jeena chahti hu tere sath maa.. Par sochti hu tu yaha ayegi ya mai waha au maa, Sach Drr lagta hai duniya se maa ab Jee paungi ya tut jaungi mai ab, Kitni bholi thi maa tu humesha se Qki jhuti ya sachi sab maan liya karti thi, Yaad hai mujhe aaj bhi jab scooty meri band hoti thi Toh kick tu hi mara karti thi, Wah kya paranthe aur rajma banati thi maa tu Jo saheliya hi sabse phele khaya karti thi, Itni sachi aur achi maa thi tu Warna mujh jaise nalayak bache ko tu hi sambhala karti thi, Maa dubara se wo maa sabd tere aggey tujhe bolna chahti hu fir se Kya tu dubara janam legi milne k liye mujhse, Ek baar toh ake gale lga le maa mujhko Fir se wahi pyara bacha bnke dikhaungi tujhko, Yaad hai maa mumma's lil girl ka tattoo maine bnwaya tha tere liye Lekin jab ghar pauchi toh dekhte hi dil baith gya tha mere liye Maa tu sda zinda rahegi dil mai mere Qki Sach keh rahi hu mera wajood hi hai tere liye, Maa bharosa kar mera bharosa nahi todungi tera Ab aa hi jana maa bacha hu tera.
0
May 14, 2020
May 14, 2020 at 12:18 PM UTC
Maa teri yadein....

54
EK BHEED SI LAGI THI SHAYAD MAR GAYA THA KOI, ZANAZA UTHANE KO KI TAIYAR NA THA , KYONKI US MASUM KA PARIWAR NA THA, DEKHA THA MAINE USE KAI DOSTO KE SATH, SOCHA THA ZANAZA TO UTHAYENGE WE HI HATH, JAB KOI NA AAYA TO YAH AAWAZ AAYI, CHALO NIKAL CHALO KE KANHI UTHANA NA PADE, WO DOST THWE JO CHUPE SE BAHAR NIKAL PADE, KAFAN GEELA HUA AANKHO SE MURDA RO RAKA THA, MURDA KHADA HUA KAFAN ME LIPTE HUE , PANHUCHA DOSTO TAK JO JA RAHE THE SIMTE HUE, KANDHE PER RAKHA HATH TO YARO KA DIL DOLA, KAFAN HATA DIYA MURDE NE WO RO ROKAR BOLA, "MARNE PAR NA DOGE KANDHA YE DEKH SARMINDA HU, MAINE TO NATAK KIYA THA YARO ABHI TO MAIN ZINDA HU"...
0
Mar 28, 2015
Mar 28, 2015 at 9:20 AM UTC
MY FAV- MUST READ.
Ek cup chai le kar baitha aur Ravivar tha aur yunhi waqt Beetta hi chala gaya… Phir khuch panne ultaye… Ankahi kahani ke… Khuch Paheli Ko dekha… Mann hi mann Socha kal suljaunga Woh wali purani Paheli… Jo aaine ki tarah Samne toh kabhi ojhal ** jaati hai… Kyuki aaj Ravivar tha… Aur waqt… Thodi Dhoop Ko aane diya Thodi thand se baatein Kiya Phir ek cup chai Liya kal Somvar hai Toh Aaj waqt… Yunhi yunnhi… Beetta chala Gaya… Yunnhi yunhi waqt aaj… Toh.. Kya phir chai… Mein pita hi chala gaya… ……… …… …. .. . .. … ….. ……… …………..
0
Feb 10, 2019
Feb 10, 2019 at 2:18 AM UTC
EK CUP CHAI AUR RAVIVAR E SOCH ME MEIN...KYA PURA DIN PINE ME HI CHALA JAYEGA WAQT ?YA PHIR KAB JAGUNGA MEIN? YA YUNHI YUNHI YE NEELA SAMUNDAR ME DOOB JAUNGA...BIN KAHE?
Intezar K Liye Baitha Hu Ya Mit Jane K Liye Baitha Hu Me Apni Tkdir Ko Azmane K Liye Baitha Hu Nhi Aaenge Vo, Fir Is Dil Ko Itna Ykeen Q Hai Bs Isi Soch Me, 1 Arman Liye Baitha Hu ** Nhi Skte Vo Bewafa Itne Yhi Soch Kr Dil Me Ummid Ka Chirag Liye Baitha Hu Pr Aane Ka Wada Bhi To Nhi Kiya Usne Isliye Apni Sanso Ko Khnjr Ki Nok Pe Liye Baitha Hu Me Zindgi Or Mout Ki Kasmkas Liye Baitha Hu Intejar K Liye Baitha Hu Ya Mit Jane K Liye Baitha Hu Me Apni Tkdir Ko Azmane K Liye...
0
Jul 7, 2014
Jul 7, 2014 at 12:33 PM UTC
TAKDEER KO AAZMANE KE LIYE
Kya kabhi patharo ne siskiyan li hai? Kato ne chubna chor diya? Dil ne dhadakna; Aur ankho ne barasna chor diya? Kya kabhi kadi dhoop mei, Indradhanus ko haste huwe dekha hai? Iss duniya mei, Insaano ko ladtey aur marte dekha hai? Kya tumne kabhi socha hai, Jiwan mei dukh ziyada aur khushi kam kiyu hai? Rastey sabh seedhe nahi, Tedhe rastein bhi manzil ke kareeb le jati hai. Kya tumne kabhi rotey huwe buzurgh ko, Aur besahara bacho ko dekha hai? Apni unchi naak, neechi kar, Dharti mata ko dhanayvad diya hai? Nahi na! Ya sambhawna kuch toh kiya hoga. Ya tumhare dil mein daya hi nahi. Kya muskurana bhi bhool chuke ** Apne nahi toh dusroh ke liye kuch kiya karo. Zindagi ke akhari pal mei, yaad karo ge. Ek ek din ankho ke samne daud ke jayengi, Tabh tum yaad karte, muskhurate iss duniya se, Hamesha ke liye alvida kahe jaoge... ©sim
0
Aug 21, 2017
Aug 21, 2017 at 3:22 AM UTC
Kuch Acha Kiya Karo (Hindi)
Chalo ! Chalo aaj kuch esa kiya jae, Apne Sapno ko Haqeeqat se Joda jae, Ye dono 1 dusre se bilkul alag hai, par dono hi apni kabiliyat ke liye mashoor hai, Sapne, Sapne to Aasman hai, Jinki koi seema hi nahi, Par Haqeeeqat to Aag se Bhare angaare hai, Jin par chal pana itna aasan nahi. Sapne to woh raah hai, Jo hume kuch karne k liye prerit karti hai, par haqeeqat, haqeeqat to un sapno ko bhi tod deti hai. To kya ab haqeeqat ko dekhkr, sapne dekhna chod de, ya apni khwaisho ke rukh ko hi mod le, Agar Nahi, To fir chalo haqeeqat ko swikarte hai, Apne sapno ko haqeeqat banane me jutt jate hai, Mehnat kar apni kabiliyat ke rang sajate hai, Apne sapno ko apni Manjil tak lekar jate hai, Apne khwabo ke pankho ko or feltate hai, Thoda Haste hai, Thoda hasate hai, Chalo na !!! Apni zindagi ko thoda or kamyab banate hai !!!!.. Written By : SHIVAM PORWAL
0
Sep 13, 2017
Sep 13, 2017 at 7:55 AM UTC
Sapne Aur Haqeeqat
Hindi (in Roman script) Kyon maine tumse pyaar kiya, Ye to mujhe pata nahin... Maine tum mein kya dekha tha, Ye bhi mujhe pata nahin... Kyon maine tumse pyaar kiya, Ye to mujhe pata nahin... English Why I loved you I don't know that... What I liked in you I don't know that... What I had seen in you I don't know that... I don't know that, I don't know that... Why I loved you I don't know that... I liked in you I don't know what...
0
Dec 10, 2016
Dec 10, 2016 at 6:06 AM UTC
Kyon Maine Tumhe Pyaar Kiya|Why Did I Love You (Modified Symphony)
aur jab haath pakar ke tum bhole "Jungali, muje patha hai tum kya ** sab samaj mein aai tumhe tub bhi, aab bhi, matlab hi nahi koi kabhibi saai aiya ab kya se kya ker dala waqt, demaq, aur pyaar sab kala pyaar kiya tha mere se, hennah? per tumne humko such, much ker dala fanaa s.q.
0
May 3, 2015
May 3, 2015 at 2:51 AM UTC
Kabhibi?
Tujhe chhoone par hai lagta Tu jalti jwala re! Tujhe niharne par lagta Tu chaand ka tukda re! Aisa Kya jadoo Kiya Aisa Kya jadoo Kiya Ore Priya re! Tere sang Tere sang ishq hua re! Bana Dene jaisa lagti ** tum Ek chitra! Are munh tumhara ek Paan ka patta Bana Dee gayi lagti ** tum Ek moorti! Sach jaisi Konark ki kala kirti Tujhe padhne se lagti hai tu Sach mein  ek kahani re Tujhe gaane see lagta Tu ek geet re! Aisa Kya jadoo Kiya tune Aisa Kya jadoo Kiya toone Ore Priya re! **** bhar Teri Rajnigandha ki khushboo Teri chaal mein Raj hansini ka chhand! Barasne jaisa pyar tumhara Madhu ki varsha! Sabhi or hoti hai Bas teri hi charcha Tujhe tolne par Tu lagti Ek phool re! Tujhe dhaalne par lagti Tu kuchh rang re! Aisa Kya jadoo Kiya Aisa Kya jadoo Kiya toone Ore Priya re! Tere sang Tere sang ishq hua re!
0
Jan 27, 2018
Jan 27, 2018 at 11:16 PM UTC
Tere sang ishq hua re!