Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Jun 2015
Tujhe pane ki khushi gam me badal ***,
Tujhe dekh gairo ke saath
Teri yaad mujhe chhod chali ***,
Rula ke mujhko ai bewafa
Tum kaise un palo ko bhul ***,
Adhuri hain duniya pyar bina,
Adhure hain hum tumhare bina,
Bata ke roya "MANISH "bhi apne dil ka hal,
Chale gye wo chhodkar ek adhura sawal,
Kaise jiyenge hum tumhare bina,
Tere bina ye zindagi ko kya jina,
Udas hain har lamha yahi sochkar,
Kyon achanak chale gye mujhse mu'h morkar,
Ye dhai akshar pyar ka kitno ko rula diya,
Kisi ko kavi to kisi ko shayar bna diya,
Kaise sahun ye dard teri judai ka,
Kaise kate ye alam meri tanhai ka,
yaad aayenge hum tumhe har pal,
Tere bina ai zindagi kaise kate ye pal,
Ye pal
TRANSLATION POEM TITLE :- PAIN OF FRACTION

ABOUT POEM :-This poem related to fraction and all the word used in poem related pain of heart
Shrivastva MK Jun 2017
Maine paise ke liye insaan ko badalte dekha hai,
Maine paise ke liye insaan ko tadapate dekha hai,
Ye bhagwan to nahi par,
Iske liye insaan ko marte dekha hai,

Maine Paise ke liye kisi ko kadi dhup me jalte dekha hai,
Maine Paise ke liye kisi ko thand me tadapte dekha hai,
Ye grihdata to nahi par,
Iske liye kitno ke Ghar ujarte dekha hai,

Maine Paise ke liye riste badalte dekha hai,
Maine Paise ke liye kisi ko naak ragarte dekha hai,
Ye koi aahar to nahi par,
Iske bina kaiyo ko bin bhojan ke sote dekha hai,

Maine Paise ke liye insaan ko nazaro se girte dekha hai,
Maine Paise ke liye insaan ko aag par chalte dekha hai,
Ye koi Ann to nahi par,
Iske bina insaan to bhukh se marte dekha hai,

Maine paiso ke liye aurat ke kapade utarte dekha hai,
Maine paiso ke liye Ghar me bahu ko jalte dekha hai,
Ye koi vastra to nahi par,
Iske bina kaiyo ko bin kapade yu tahalte dekha hai,

Maine paiso ke liye Bhai Bhai ko ladte dekha hai,
Maine paise ke liye ladki ko sadak par thirkate dekha hai,
Ye koi bhagya to nahi par,
Esse kaiyo ke bhaag badlate dekha hai,
Bhag badlate dekha hai.....
Its my personal opinion about money,if any word or sentence hurts u sorry for that,
We have really seen the real figure of money,and have seen children working in company for money..
Translation available
Shrivastva MK Aug 2017
Humne bhi bahut kuchh es dil me daba rakhe hain,
Apna pyar es duniya se chhupa rakhe hain,
Na ** kisi ko bhi ehsaas mere dard Ka isliye,
Apni Mayushi ko bhi muskan bana rakhe hain,
Muskan bana rakhe hain,

Unki khubsurat tasveer apni bhingi aankho me basa rakhe hain,
Unki harek Baat apni hothon pe saza rakhe hain,
Labon pe ** sirf unka naam isliye,
Apne man ko bhi unki yaadon Ki duniya me bitha rakhe hain,
Bitha rakhe hain,

Najane ye pyar kitno ko parwane bana rakhe hain,
Kisi ko amar to kisi ko bas khwabo me basa rakhe hain,
Pyar ko bhi kabhi pyar Ki kami mahsoos hue honge,
Tabhi to pyar ne bhi Pyaar me Zudai bana rakhe hain,
Zudai bana rakhe hain....
Mayank Garg Jun 2020
-Dooriyon se koi fark nahi padhta
-Baat toh dilo ki nazdikiyon se hoti hai

-Dooriyon se koi fark nahi padhta hai
-Baat toh dilo ki nazdikiyon se hoti hai
-Dosti toh kuchh aap jaison se hai
-Varna mulakat toh jaane kitno se hoti hai
Anshika Oct 2020
Jindagi toh chal rahi hai aur chalti rahegi jab tkk wo chahe chalata rahega... Kitno ko bulaya hai usne aur Jab takk wo chahe bulata rahega...

Na samajh iss khell kaa tu badshah hai... Ek din iss khell see wapes jane kaa tera bhi bulava ayega...

Lagale jitnaa lagana hai dil aur dimag iss khell mee anntt mee sab kuch tere saath hee jana hai....

Ek dinn iss khell see bulavaa tera bhi aana hai... Lagale, jitnaa dil aur dimag lagana hai.

— The End —