Aakhir kyu
Beti puchhe babulse , " mei kyu parayi?"
Uski ye haalat dekh ke kayanath bhi sharmayi.
Na mei pihar ki, na sasural ki.
Babul bata mohe, mei aakhir kahaki?
Vidai ke waqt; tune kar di mohe parayi;
Kisine ne jaani mere dukh ki gehrayi.
Aaj tere jaane ke baad to, ne ghar ki , ne ghat ki.
Bas khed hei mujhe is baat ki .
Sasuralwale kahe," tera pihar;"
Yeh soonte hi jau mei sihar.
Sochu manhi man mei; kaunsa pihar !
Jaha aaj apna koi nahi hei; woh pihar !
Niyati ka khel hei yah kaisa?
Pihar **, ya sasural; dekhe harkoi paisa.
Kis se kahu mei dil ki peed ?
Akeli hu; bhale ** chahu aur bheed.
Paav mere tune baandh di janjeer.
Aakhir kyu, aisi meri taqdeer ?
Armin Dutia Motashaw