Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Vineeta rai Apr 2019
Ek ldki apne pure jeevan Me kya kya sehti hai ish kavita ke madhyam se batana cahti hu....

Waise to Laxmi, durga, saraswati kaha jata hai ladkiyo ko..
To kyu uske janm par mara jata hai ush masum ko....
Ladka hai to hamara chirag hamara vans aur ladki hai to sir ka bojh...
Jara yaad kro aise soch walo ladki na rahe to kahan se laao tum apna vans apna chirag...
Jo tmhe har khusiya De uski jra izzat ni krte....
Samjhte pair ki jutti **...
Are suno bewakufo...
Bina aurat aage ni badh sakte **....

Ladki ka to pura jeevan hi aisa hota hai... Ladki kabhi apna nahi soch sakti suru se maa baap Ka kaha manana aur fhir pati aur saas sasur ka... Apni khusiyo se jada pariwar ka sochna khud ki khwahiso ka Gala ghot sabki baat Manana....girls don't have life of there own... Chaliy aage dekhte hai.... Jb ldki ki saadi ** jati hai...

Ladki ko to suru se paraya dhan samjha jata hai....
Kyuki ushe vida hokr dusre ka ghar swarana hota hai...
Apni maa ka anchal chod...
Kai nae rista nibhana hota hai...
Kisi ki bahu kisi ki biwi kisi ki cachi 1000 riste bn jate hai...
Un sbko pyar se nibhana hota hai...
Ladki ka to naam hi tyag hai...
Kyuki suru se usne apni khusiyo ko tyagna sikha hai...
Kabhi maa baap ke majburi ke karan..
Kabhi society ke karan...
Aur fhir apne maa baap ko chod sasural jana hota hai...

Jara puchna cahti hu un ldko se... Kya tum apne maa ka saya chod reh skte **... Nahi na... To socho ek ldki kaise rehti hogi.... Wo tumhare liy apna har kuch chod skti hai... To kya tumhara farz ni ki uske khusiyo ka khyal rkho... Itna hi to ek ldki mangti hai.. Aur afsos tum log ushe wo bhi Ni de skte... Ldke bus apni jimmedari saupte hai apne faisle thopte hai... Ldki ke saadi ke baad to ushe apne mayke tk jane ka haq ni hota jbtk pati raazi na **... Kya ldki ki koi life hi  nahi...
Hum niyam to nahi badal sakte par itna to kar sakte hai na ki uske khusiyo ka bhi dhyan rakh ske...Kabhi socha hai ek ldki ke andar kitna kuch chlta hai par itne risto Me wo bandh kar kuch nahi keh pati.... Jara samjho ushe jo tumhe ache se samjh jati hai...
Tum kya khate **... Kya pasand hai... Kya kaam kb krte **... Tumhare kapde se lekar jutte tk har cheez ka khyal rkhti hai... Aur tum uska bhi khyal nahi rakh Pate...

Waqt chlta hai ldki maa banti hai....
9 mahine kya kuch seh ke ek bache ko janam deti hai....
Ush 9 mahine wo kis daur se gujarti hai wo wahi janti hai...
Sb kuch Sehti hai par chu tk ki aawaz nahi nikalti...
Aur ladki ka dard koi samjh ni pata...
Ek bache ko achi parwaris deti hai ushe Bada karti hai...
Ek ladki ki puri lyf ek battle field se kam nahi hoti...
Ladki janam se maut tak bahut kuch jhelti hai...
To apka bhi farz banta hai ushe samjhna....
Uski khusiyo ka khyal rkhna...
Ajj jada nahi ek baar Akele baith kr socha what a Girl do for uhh...
As a mother, sister, wife even ur girlfriend...just think ND try to understand her....
Ek khusi ushe bhi dekr dekhiy... Sach Me ldki ishse jada kuch nahi cahti...

Last Me itna hi kahungi...ladki dusro ke liy jeete jeete apna antim saans leti hai....
Pls I request to all boys and men.... Stop to hurt ur wife sister mother or gf just respect what they do for you.... And app bhi kuch krna sikho... Unke liy...
Vineeta rai Nov 2018
Meri pyari dost hai meri maa..
Meri jagat janani hai meri maa...
Meri dukho ko harne wali hai meri maa...
Meri khusiyo me apni khusi dhundhne wali hai meri maa..
Duniya ke najaro se bachane wali hai meri maa...
Khud takleef me reh k meri khwahiso ko pura karne wali hai meri maa...
Kya btaun kaisi hai meri maa...
Lafzo me nahi bayan kar sakte aisi hai meri maa....
Mere liy to meri bhagwan hai meri maa..  
Love u maa...  
I love my mother those who love too and like this poem then pls comment nd say m new here...
Vineeta rai Mar 2019
Pyar me ek ldki ki khwahish apne partner se... Ldke thoda samjhe...meri feelings in kuch lines K jariy...

Ladkiyan krti hai pyar dil-o-jaan Se..
Ldkiyan nibhati h riste ko bade aaram se...
Ladkiyan sanjoti hai apni khwahishe ko seese ki kaanch me....
Bikhrte hai wo khwahishe riste ke naam pe...
Ladkiyan nahi karti apni khusiyo ki parwah relationship me....
Isiliy bali cadhti hai unki khusiyo ki sare aam pyar ke naam pe...
Ladkiyan sab karti hai rista nibhane ko....
Par.... Par..
Gaur kriyga unki ldko se expectations v/s reality...
Ladki Cahti hai ldke ka pyar...
Ushe milta h bus ldke ka gussa yrr...
Ldki cahti hai ldke ka waqt...
Ushe milta hai bus intezaar...
Ldki cahti hai ldke ki understanding...
Milta h ushe bus misunderstanding...
Ldki cahti hai unka trust...
Milta kya hai frustration ke balloon ka brust...
Ldki cahti hai bus apka sath...
Aur app krte ** unke har khwahiso ka kaam tamam...
Kaam Tamam..
Not for all boys.. But all who do unko samjh aa jae to achi baat hai... Ldkiyo ki khwahish jada ni h bhut simple si demand h jb wo apke liy sb kr skti h to kya app unki khusiyo ka khyal v ni rkh skte...
Vineeta rai Nov 2018
Dost to nahi par mere takleef ko samjhne wale hai mere papa...
Meri khwahiso ko apni khwahish samjh kr pura krne wale hai mere papa....
Dard to kv nahi dikhate apna par mere takleef me man hi man rone wale hai mere papa...
Dhub thand barsaat bina dekhe usme khatne wale hai mere papa...
Mere liy duniya se ladne wale hai papa...
Waqt padne par kathor banane wale hai mere papa...
Duniya kaisi hai ye samjhane wale hai mere papa...
Kya khu kaise hai mere papa...
Meri muskurahat aur mere hero hai mere papa...
Love u papa  
Those who love their father nd also my poem then pls like and comment...pls support  

— The End —