Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Jun 2015
Teri mohabbat ki khusboo me
Hum es kadar rang jayenge,
Hasin hoga mausam bhi
Jab teri yadon me hum kho jayenge,
Nind se khulegi jab ye palaken meri
Apne samne tujhe hi payenge,
Tujhe hi payenge....


Khuli khuli ye julafen teri
Madahosh kar deti mujhe,
Ankhon ki ye kali kali kajal Teri
Apni or khich leti mujhe,


Teri  othon ki ye gulabi rang
jaise gulab ki pankhuriyan,
Kaise sahun tere bin
ekpal ki bhi ye duriyan,


Jiyenge hum tere sath
tere sath hi mar jayenge,
Teri mohabbat ki khusboo
me sanam hum
eskadar rang jayenge,
Eskadar rang jayenge...
Shrivastva MK Jun 2015
Yaad aata mujhe
tera ye Khubsurat chehra,
Kab tak rahogi yu dur mujhse,
Laga ke mere Dil pe apne pyaar ka pahera,
Baitha hoon esi intezar me,
Dekhlu tujhe ji'h bhar ke main,
Kho jau es kadar tere pyaar me,
Tera **** hain khusboo,
Teri mohabbat hain lahera,
Yaad aata mujhe
Tera ye khubsurat chehra,
Ye khubsurat chehra.......


Kaun sulajhaye es paheli ko,
Jab roti hain aankhen,
Tab dard hota hain es dil ko,
Mere dil-o-dimag pe ab teri yaadon ka pahera,
Yaad aata mujhe
tera ye khubsurat chehra,
Ye khubsurat chehra.........
Real feelings
Nidhi Jaiswal Feb 2021
Samaj ke bandisho se azad
Bin pankho se urna chahti hu
Pankh tute hai to kya
Khawo se aashaman sajana chahti hu

Hoshlo ki urran hu main
kisi ki muskan hu main
bharat ki anokhi shan hu main
band pare khawbo ki arman hu main

manti hu zindgi ke safar me
Me mil jate hai kuch humsafar
naa hote hue apne
Phir ban jate band aankho ke sapne

Haa main uarna chahti hu
Oos ke bund ki tarah dhara ko susobhit karna chahti hu
khilkhilana chahti hu
Hasna chahti hu
Apne pankho ko failye dhara ko napna chahti hu
apni khusboo se sbko mekhkana chahti hu
apne gunjan se nabh ko gunjit karna chahti hu
kali se ful ki tarah khilna chahti hu

kya thi galti meri
kis bat ki milli mujhe  ye saja
ye Samaj ki bandishe
Pairo m jakri ye janjiro se niklna hahti hu
kuch kehna chahti hai
Khud ko khud se milana chahti hu
kyuki jaise main dikhti hu waise hu nai
Mere hai kuch azad sapne
Pinjre m band panchi nahi hu
aazad bharat ki ek shakti ka rup hu
Ek larki hu mai
Haan ek larki
jo khud apna itishah bnana chati hai
Auro se alag khud ki duniya basana chahti hai
kUch karna chati hai
Apne liye
apno ke liye
Iss jahan ke liye.
Myself...😇
Hira malik Jan 2018
Guzar gay kaey din , kiay gham-e-jaanaan main hijrat
Aik wohi tou umeed thee apni, ikk wohi thee muhabbat!!

Tmhain maaloom hai meray ghar kay darwazay muqaffal hain paray
Jahan ikk arsay hawa chalti thee, jahan bastii thee chahat!!

Ab tou yun kharay hain shahrahon pay, kay faqeer ka sa gumaan hota hai
Jiss rastay say khusboo aati thee, tere gul-e-rafaqat!!

Aur phir yun hoa kay raat ki parchai gahri say gahri hoti chali ***
Aur hum dobtay chalay gay, madham saanson say taraf, tere rughbat!!

— The End —