Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"khuli" poems
Jab aankh khuli to amma ki godi ka ek sahara tha uska nanha sa anchal mujhko bhumandal se v pyara tha..... uske chehre ki jhalak dekh chehra phulo sa khilta tha uske stan ki ek bund se mujhko jeevan milta tha haatho se baalo ko noocha pairo se khoob prahar kia phir v us maa ne puchkara humko jee bhar ke pyar kia Mai uska raja beta tha wo ankho ka tara kahti thi mai banu budhape me uska bas ek sahara kahti thi ungli ko pakad chalaya tha padhne vidlaya bheja tha meri naadani ko v neej antar me sadasaheja tha Mere saare prashno ka wo fauran jawab ban jaati thi meri raho ke kaante chun wo khud gulaab ban jaati thi mai bada hua to college se ek rog pyar ka le aaya jis dil me maa ki murat thi wo ramkali ko de aaya shaadi ki pati se papa bana apne rishto me jhul gya ab karwa chauth maanta hu maa ki mamta ko bhul gya hum bhul gye uski maamta mere jeevan ki thati thi hum bhul gye apana jeevan wo amrit wali chaati thi Hum bhul gye wo khud bhukhi rah karke hume khilati thi humko sukha bistar dekar khud geele me soo jaati thi hum bhul gye usne hi hotho ko bhasha sikhlayi thi meri neendo ke lie raat bhar uss maa ne lori gaayi thi hum bhul gye har galti par usne danta samjhaya tha bach jau buri najar se kala teeka sada lagaya tha hum bade hue to mamta wale saare bandhan tod aaye bangle me kutte paal laye maa ko vridhaashram chod aaye apano sapno ka mahal girakar kankar -kankar been laye khudgargi me uske suhag ke aabhushan tak cheen laye Hum maa ko ghar ke batware ki abhilasha tak le aaye usko paawan mandir se gaali ki bhasha tak le aaye to be continued ........(next part may be in next week)
0
Aug 3, 2015
Aug 3, 2015 at 3:04 PM UTC
Maa
Jab aankh khuli to amma ki godi ka ek sahara tha uska nanha sa anchal mujhko bhumandal se v pyara tha..... uske chehre ki jhalak dekh chehra phulo sa khilta tha uske stan ki ek bund se mujhko jeevan milta tha haatho se baalo ko noocha pairo se khoob prahar kia phir v us maa ne puchkara humko jee bhar ke pyar kia Mai uska raja beta tha wo ankho ka tara kahti thi mai banu budhape me uska bas ek sahara kahti thi ungli ko pakad chalaya tha padhne vidlaya bheja tha meri naadani ko v neej antar me sadasaheja tha Mere saare prashno ka wo fauran jawab ban jaati thi meri raho ke kaante chun wo khud gulaab ban jaati thi mai bada hua to college se ek rog pyar ka le aaya jis dil me maa ki murat thi wo ramkali ko de aaya shaadi ki pati se papa bana apne rishto me jhul gya ab karwa chauth maanta hu maa ki mamta ko bhul gya hum bhul gye uski maamta mere jeevan ki thati thi hum bhul gye apana jeevan wo amrit wali chaati thi Hum bhul gye wo khud bhukhi rah karke hume khilati thi humko sukha bistar dekar khud geele me soo jaati thi hum bhul gye usne hi hotho ko bhasha sikhlayi thi meri neendo ke lie raat bhar uss maa ne lori gaayi thi hum bhul gye har galti par usne danta samjhaya tha bach jau buri najar se kala teeka sada lagaya tha hum bade hue to mamta wale saare bandhan tod aaye bangle me kutte paal laye maa ko vridhaashram chod aaye apano sapno ka mahal girakar kankar -kankar been laye khudgargi me uske suhag ke aabhushan tak cheen laye Hum maa ko ghar ke batware ki abhilasha tak le aaye usko paawan mandir se gaali ki bhasha tak le aaye to be continued ........(next part may be in next week)
Continue reading...
61
Kagaz ki kashtiyon mein kai bar safar kar liya, ab ek lambi udan bhar lene do. Aj in bandhe hue pankhon ko khuli hava mein sans le lene do, kyunki ab girne ka khauff nahin raha. Daudne mein ab koi maza nahin hai, kyunki yahan to hava jaise tham si gayi ** Ab rukne ka bilkul man nahin raha, aj to toofanon mein sair karne lene do. Dayron mein rehte hue adhi zindagi guzar gayi, aj to un hadon ko par kar lene do. Dar dar ke kab tak khamosh rahoge dost, zameen par jeet jane mein kuch nahin rakha , aj to uchaiyon par jashn mana lene do. Unke chale hue raston ko kai bar nap liya, aj mujhe bhi apni pehchan bana lene do. Kismat ka rona to sabhi rote hain, aj mujhe bhi apne naseeb ka kora kagaz rang lene do. Kabhi kabhi to man karta hai ki un azad parindon ki tarah hava mein bas tairta hi reh jaoon. Asan to kuch nahin par sochta *** ki aj namumkin ko hi apna dost bana loon. Kitabon ke panne kafi palat liye, aj mujhe bhi do shabd likh lene do. Hans lene do jinhe hansna hai mere in mazboot iradon par. Kya samjhenege who is khuli udan ki masti ko, jinhe kabhi bharosa nahin hua khud par, aur hamesha rakha tha apne armanon ko pinjre mein kaid kar. Khule asman mein aj ek bar ud lene do, kya pata kal wahan bhi zaroorat se jyada bheed ** Kai dinon ke bad aj ek bar fir azad hone ka man kiya hai Tod do in bediyon ko, kyunki aj ek lambi udaan bharne ka iraada hai
0
Mar 23, 2011
Mar 23, 2011 at 9:20 AM UTC
Udaan
Teri mohabbat ki khusboo me Hum es kadar rang jayenge, Hasin hoga mausam bhi Jab teri yadon me hum kho jayenge, Nind se khulegi jab ye palaken meri Apne samne tujhe hi payenge, Tujhe hi payenge.... Khuli khuli ye julafen teri Madahosh kar deti mujhe, Ankhon ki ye kali kali kajal Teri Apni or khich leti mujhe, Teri  othon ki ye gulabi rang jaise gulab ki pankhuriyan, Kaise sahun tere bin ekpal ki bhi ye duriyan, Jiyenge hum tere sath tere sath hi mar jayenge, Teri mohabbat ki khusboo me sanam hum eskadar rang jayenge, Eskadar rang jayenge...
0
Jun 3, 2015
Jun 3, 2015 at 6:31 AM UTC
MOHABBAT KI KHUSBOO
Junoon Kanha Ab pehle ki tarah Abhi na hosh raha Aur wajah bhi jeene ki jaise Dheere dheere khatam Hoti ja Rahi hai Bewajah ya phir wajah Daru Pita hu nukkad nukkad me Aur dhoondta hu ek theekana Janha Noor Bhari pyaar hi pyaar ** . .. Aur na Milne par Phir se Sharaab e gulab Me Nazar Aur... Sharaab Ko hi Humsafar ki tarah ghulta doobta ...ek yaad me Chun Liya ** jaise... Har waqt Har lamha Khyaal e khwaab me Aur chamakta Sitara Ko tootte hue dekha Toh phir ek mehfil Aur khyaal wohi puraane din ke Aur aaj bhi yaad karu Toh Lage naye jaise taaza gulaab e nasha ... Aur Ishq Bhari woh aankhein Kudrat ka karishma ** jaise .. Aankh khuli Par Raha toh mein bas ek sharaabi Yaadein aur woh neele neele amber Aur oska Chand ki taraf  dekhna . Aur mein niharta ose Chandni raaton me Chand se bhi jaida khubsurat Ose dekhta mein Haqeeqat me ... ... ... Aur phir ek kaanch ki bottle tooti mere haathon me Khyaal aaya Ki Ab mein osse bahot dur ** Chuka hu ...bahot dur... Aur Ishq jaise... Najane aankhon me kaed Aaskhq e beedi Khud Ko jalata aur . . . Kitni bhi koshish Karu Par oska chehra Nazar aa hi jata .. ... . .
0
Mar 17, 2018
Mar 17, 2018 at 6:14 PM UTC
Deewangi e rang e sharaab ...pita hu mein, Haan mein sharaab!!!
abhi- abhi ek geet racha hai tumko jeetey jeetey abhi abhi amrit jhalka hai amrit peetey peetey abhi abhi saaso me utri hai saaso ki maaya abhi abhi hoto ne jaan aapna aur paraya abhi abhi essas hua jeevan jeevan botta hai kudh ko shunney banana bhi kita virat hota hai toh abhi abhi, ji abhi abhi, haan abhi abhi, bus abhi abhi abhi abhi bhar diye madhukalash saary reete reete abhi abhi amrit jhalka hai amrit peetey peetey abhi-abhi ek geet racha hai tumko jeetey jeetey abhi abhi amrit jhalka hai amrit peetey peetey toh abhi abhi, ji abhi abhi, haan abhi abhi, bus abhi abhi abhi abhi samvaad hue hai chaho me aaho me abhi abhi chandni khuli hai amber ki baaho me abhi abhi peeda ne khoja sukh ka raen basera abhi abhi hum hokar peegla sabkuch tera mera toh abhi abhi, ji abhi abhi, haan abhi abhi, bus abhi abhi abhi abhi bhar gaya samandar nadiya peetey peetey abhi-abhi ek geet racha hai tumko jeetey jeetey abhi-abhi ek geet racha hai tumko jeetey jeetey abhi abhi amrit jhalka hai amrit peetey peetey
0
Dec 6, 2017
Dec 6, 2017 at 2:00 AM UTC
Abhi-Abhi ek geet racha hai tumko jeetey jeetey
Khwaab dekho. Khuli aankhon se ya band, fark nahin. Khwaab humein kahan se kahan leja chhodti hai. Jo kabhi dekha nahin woh dikha deti hai. Jis cheez ko kabhi chhua na ** use bhi mehsoos karwa deti hai. Kabhi paseene mein bheega jagaati hai, toh kabhi apni ulfat se gaalon ko laal kar deti hai. Cheekh kar uthaa hai koi toh koi muskuraate. Koi toh khatam hone ka naam nahin leta. Kisi ke beech mein kat jaane ka gila hai rehta. Mujhe toh hamesha khatam hone ka intezaar hi raha ------ uske aane tak. Bura dekha, bura jaana, bure ne ghere rakha ab tak. Mein ne seene par sar rakha, phir usne mere haath par apna bada magar narm haath rakha. Usko meri nazuk lambi ungliyon se khelna achha laga. Mujhe mohabbat jatane ka yeh tareeqa uska achha laga. Aankh khuli. Pehli dafa kaanp kar nahin sharmakar jagi. Sukoon toh tha. Par gila bhi raha. Phir socha, khwaab itne bhi bure nahin. Toh khwaab dekho. Kuch rehne do. Kuch poore karo.
0
Sep 11, 2021
Sep 11, 2021 at 12:36 PM UTC
Khwaab
Botal Khuli Hai Raqs Mein Jam-e-Sharab Hai Woh To Khaliq Hai Banda Parwar Hai The bottle is open and dancing is the glass of wine He is the Creator and the Benefactor so divine Sari Duniya Ka Rab-e-Akbar Hai Mera Sarmaya-e-Hayat Na Pooch Ek Saqi Hai, Ek Sagar Hai God of entire creation He is so Great On source of my life, what can I state? Cup-bearer is One & Sole, and so is the bowl ✒ Translated by ℐamil Hussain , Sung by Nusrat Fateh Ali Khan
0
Sep 27, 2017
Sep 27, 2017 at 11:30 AM UTC
TheBOTTLE
Nahh ainkh khuli ,nahhh mai sunn paya... Maa ke pait mai rehker bhi maina apna parivar ka pyaar paya... Jab ainkh khuli ,toh roker pura hospital sirr per uthaya .... Phir Papa ki godi mai sirr rakhker hee mujha thoda chain aaya.... Pheli baar ghar aake , thoda mann dagmagaya.... Dada dadi ko paas dekhker,firrr maii zorr se khilkhilaya.... Jab naam sochne ki baari aayi.... Toh bua ne kaan mai naam pyaar se fusfusaya .... Bade hokar bhi chota ke sath khelna... Aisa charitra maina apna hee parivaar mai h paaya... School jane ki umar mai bhi... Har parivaar ke sadasye ko hai maina satya... Kabhi woh dila do, yaa kabhi yeh dilado hee harr baar hai chilaya... Harr divas ko hamne pura harsh aur ullas ke sath banya.... Pyaar se sath rehna ka hee humna hamesha se wachan h khaya.... Sabke dhurr jana ke baad bhi.... Maine apna parivaar ko hee paas paya... Harrr sukh dukh mai unhona hee mujha sabke sath rehna sikhaya... Apna parivaar se dhurr jake bhi... Maina uhna harrr jagah h paaya... Voice call aur video call ne hee unka pyaar h mujh tak pahuchaya.... Maa ki mamta ne hee maano jaisa mujha iss kadar banaya... Jo maina apna parivaar ka itna pyaar h paaya... Maarte wakt bhi mera parivaar ne hee mujha kahnde per uthaya... Ainshu aur apni yaadeino ko bhula krr hee mujha mera parivaar ne jalaya....
0
Mar 29, 2020
Mar 29, 2020 at 6:34 AM UTC
MERA PARIVAAR
Aaj fir wo bachpan ki yaadein khuli dhup ki kiran si yaad aa *** hoton pe pyaari si muskaan khila *** ek bchpn ki maasum chali dikhla *** wo yaadon hamare befikre pn ki h jb ersha se koe nataa naa tha jb hamare muskano m chupa koe dokha na tha jb khilkhila k hsne s waqt ne hme roka na tha nahi koe bndhn ki beriyon ne jhkra tha ab to bndhn ki beriya h or rok tok ki jangire wo bchpn ki yaadon ke aate hi ek masum - schchi si muskaan chere ko khila jaati h pr ush bchpn k chale jaane ki maeusi aankhon pe lata andhera sa h.
0
May 2, 2021
May 2, 2021 at 8:41 AM UTC
Bachpan ki yaadein
_Bas hame malum naa tha kisi ke sath pane ki khawahish bhi na thi kisi se bicharne ka gam v nahi tha To kya tha jo tha bas hame malum naa tha. Jane anjane me hua tha hame v kuch kabhi The bekhabar hm bhi Khudse hii khabar the Til Til se sanjoya tha khaboo ka v mahal kabhi hhmne Tut gaye sare khawb par til v na dikhi Khawbo ki atishbaji dil me iss qudar ** rhi thi Jaise khuli aashaman me tare nazae aane lage the Uss hasin shaam ko main Dulhan ki tarah saji uss saksh e oo aam ka main Talab e intazar kar rhi thi Par wo nahi aaya Wo pal tham si gyi Meri sanse ruk hii gye Mano Bin mausam ki bijliya barasne lage Aachank tufan sa utne laga Mere dil ke har kone me Brishsh v hui khuli ragistan m yado ka silsila mitne laga kuch is quadar jaise Reet pani me tairne lagi Bas hame malum naa tha._
0
Nov 8, 2020
Nov 8, 2020 at 10:58 AM UTC
Bas hame Malum naa tha💓
Naye Dashak ki shuruat thi Ek hichak mere sath thi Kuch acha hone wala hai Ek sapna sach krwana hai Nayi ye shuruat hai Thame sab mera hath hai.. Par kuch or hi ghatne wala hai Saya ek kala ana hai Na khabar mujhe na duniya ko Ab sb kuch thamne wala hai... Tum rok lo Isko hone se Tum rok lo khud ko khone se.. Parlay ka alam ban gya re Tufan ghanna ye chaaya re... Insaan kaide mein band hoga Panchi khuli hawao mein Anjana sa dar hoga Bekhauf khuli in raahon mein... Prakriti fir naya rang legi Dukh apne sab har legi Jo jakham die insano ne Ab kalam nahi un hatho mein Prakriti ka lekh nirala hai Naya khel wo rachne wala hai..!!
0
Jun 10, 2020
Jun 10, 2020 at 8:19 AM UTC
Trying to pen down my feelings from the Initial days of lockdown..!!
Mare Hayaat Ka Hasil Ha Tare Dar Ki Zeaarat Gungashat Se Lafzoun Mein Khuli Mehdhat Ki Besharat Nukta Bhi Gawara Nai Tare Naam Ke Sahat Khalik Ne Ajab Rakhi ha Tujh Mein Taharat Ranjash Mein Dooba Ha Mera Khoof e Dil Ab Dil Pe Bhi ** Jaaye AAQA Ki Enayaat Dil_o_Jigar Kiyoun Lafaz Kushan Hain Mare Amjid Ko Bhi Hasil ** Tare Dar Ki Sahadat.. Mare Hayaat Ka Hasil ha Tare Dar Ki Zearaat.... . Share mare hi the..
0
Nov 18, 2017
Nov 18, 2017 at 1:43 PM UTC
Mare Hayat Ka Hasil ha
Aaj phir se uski yaad ayi thi, Socha ke bhool jaun use. teergi me takhliyon me shoreeda sa baitha tha, ke us ahl-e-wafa ki awaaz kano se takrayi thi, Shadab Agar bhoolna hi tha to ye ishq ki tabeez kiu pehnayi thi, tu to hum-nafs tha mera to bhoolna kaisa, kal khwaab me deedar huwa tera aankhe khuli to sirf tanhayi thi
0
Dec 24, 2019
Dec 24, 2019 at 11:19 PM UTC
Ishq Ki Tabeez
Jeene ke laayak bana mujhe ae khuda Teri kayanaat ko mein dekh sakoon Tere karishmon ko kar sakoon nihar Mere haath hamesha tujhe kar sake salaam Mere honth hamesh tujhse kar sake duwa Iss Kaabil mein rahoo ae khudha Jeene laayak bana mujhe ae khudha Narm baton se apno ko mein sehlaa sakoon Andhere mein shamaa banker raah dikha sakoon Mere aanchal ko banaa iss laayak tu Mere dilbar ko wo banjaye ibaadat ka makaam Jeene ke laayak bana mujhe ae khudha Ki le sakkon teri khush mausamon ka mazaa Saawan ki ghataa se jab ubharne lage fizaa Tho daudke usse lipat sakoon Zara Mere dil ki galiyaan khuli rahe hamesha Muhabbat ka raahi ban, rehjaau mein sada...
0
Aug 11, 2020
Aug 11, 2020 at 6:47 AM UTC
Mannath