"khub" poems
Jab jab teri yaad aai mujhe
mere dil ko bechain kar diya,
Lut ke us hasin pal ko
mere khushi ko gam me badal diya,
Ye pal najane kyon khafa hai mujhse
Bna ke tumhe zindagi meri
mujhe tumse dur kar diya,
mujhe tumse dur kar diya,
Tere bagair jine se achha hai ye maut sukun ka, Kash! laut aati wo khushi ke do pal, mit jatein dard teri judai ka,
Bhar ke aansoo mere aankhon me
Kya khub tune mohabbat ka sila diya,
Kar ke waadein sath nibhane ka
mujhe jo yu anjaan rahon me akela chhod diya,
akela chhod diya.....
Jun 18, 2015
Jun 18, 2015 at 12:48 PM UTC
Friday
12:22 pm
6 Nov 2015
Agar suraj ki keerne..
Tapti dhup mujh pe de,
Toh jhor se degiye ga…
Kisi ko ye naah toh pata chalegi .. ki hum naraz ya gusse hai bahut!
Agar baarish ** toh..
** jaane digiye ga,
Kisi ko ye na pata chal paaye … ki hum roh rahen hai!
Agar pathte zhareee,
Toh zhar jaane digiye ga..
Kisi toh naa pata kar paaye..
Ki hum aandarse bekhaare huye patho jaise bikhaa rahen h!
Agar thadi ki mausam me thaand de,
Toh bahut khub se digiye ga..
Kisi ko ye naah pata chale..
Ki hum saihum ya daar rahen h..
Andaar aandar se!
Ye mausam hai..
kuch mere zindagi ki tarah…
or humare zindagi ki tarah..
jo hum bayaan toh karte h..
par bahut kaam…
kyuki hume samaj ne wala koi nahi hota!
Ye jab hoti hai.. ya aati hai, jhoor se caati…
Or agar naah aate toh, na hi sahi,..
Par jab aati h…
toh puri zinadgi badal kar rakh deti hai.. !
trying to enjoying the life better :) :)
Mar 28, 2016
Mar 28, 2016 at 3:26 AM UTC
Maa teri meri yadein boht achi thi
Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi,
Yaad hai mujhe aaj bhi wo pal maa
Bimaar mai hoti thi taklif tujhe hua karti thi,
Tu kabhi na bhuli mere khane ka samey maa...
Qki maa tu hi toh khane ki plate mere aggey piche ghumaya karti thi,
Wo teri aloo, pyaz wali khaniya maa
Jisko sunn k sach mai maan liya karti thi,
Kya khub sundarta thi tere bhole se chehre pay maa...
Jo meri saheliya bhi gunn tera hi gaya karti thi,
Maa ...qki teri meri yadein boht achi thi
Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi,
Jab pehli baar un chote se hathon se chai bnayi thi maine
Yaad hai , tu sab rishtedaro mai yahi gaya karti thi,
Har baat k liye zidd bht ki Maine tujhse
Par aakhir mai meri khushi k liye haa tu hi bharrti thi,
Bht ladai ki sabne mere liye tujhse maa
Lekin har pal sath khadi tu hi mila karti thi,
Maa teri meri yadein boht achi thi
Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi,
Bht si horror movies bhi dekhi tere sath maa aur tu kahani ka pehlu phele hi bta diya karti thi,
Bht hase bhi sath mai roye bhi sath mai
Aaj jab dekhti hu toh ansu apne aap nikal k beh jate hai,
Bachpana samjho ya nadaniya samjho
Par tere hi aggey hua karti thi,
Tu Maa thi ya meri dost thi
Qki tu bhi toh bacho jaise harketin kiya karti thi,
Aaj bhi wahi tera chehra dikhta hai mujhe maa , teri wahi awaaz sunayi deti hai,
Lekin bevas tu hai ya mai hu aisa mnn mera kehta hai maa,
Qki maa teri meri yadein bht achi thi
Sach mai Tu jo bhi kehti thi bht sachi thi.
Wapas se wahi samhe jeena chahti hu tere sath maa..
Par sochti hu tu yaha ayegi ya mai waha au maa,
Sach Drr lagta hai duniya se maa ab
Jee paungi ya tut jaungi mai ab,
Kitni bholi thi maa tu humesha se
Qki jhuti ya sachi sab maan liya karti thi,
Yaad hai mujhe aaj bhi jab scooty meri band hoti thi
Toh kick tu hi mara karti thi,
Wah kya paranthe aur rajma banati thi maa tu
Jo saheliya hi sabse phele khaya karti thi,
Itni sachi aur achi maa thi tu
Warna mujh jaise nalayak bache ko tu hi sambhala karti thi,
Maa dubara se wo maa sabd tere aggey tujhe bolna chahti hu fir se
Kya tu dubara janam legi milne k liye mujhse,
Ek baar toh ake gale lga le maa mujhko
Fir se wahi pyara bacha bnke dikhaungi tujhko,
Yaad hai maa mumma's lil girl ka tattoo maine bnwaya tha tere liye
Lekin jab ghar pauchi toh dekhte hi dil baith gya tha mere liye
Maa tu sda zinda rahegi dil mai mere
Qki Sach keh rahi hu mera wajood hi hai tere liye,
Maa bharosa kar mera
bharosa nahi todungi tera
Ab aa hi jana maa bacha hu tera.
May 14, 2020
May 14, 2020 at 12:18 PM UTC
Nai umangey nai tajgi,
Laker aai subah aaj ki.
Aaj subah kuch hoga khas
Sab ko yeh hoga ehasah.
Nai subah ki nai bauchhar
Sabko mile khub sara pyar
Yahi hamari dua hai rab se
Sabko khusiaa mile ham sb se.
Aai nai bouchhar,
lekar khub sara pyar.
Nai umange......
Har muskurahat hoti hai kimati
Par log karte eski na ginti.
Har din har roj
Karte ham eski khoj.
Sbki khusiaa rahe salamat,
Ham sb ki yahi hai amanat.
Jb khamosi chaye
To hm sb muskuraye
Ye duniaa ki rit ham sb nibhay,
Agar chot lagti koi apno ko
Bahot dukh hota mere es dill ko
Magar mai na sochi kv aoro ki
jo phirte hai dharti pe bina apno ke,
Par muskil hai sb ko ye bat batana.
Ye duniaa me apni aawaj uthana
Ye bouchhar aai bahot pyar lai,
Barsat ke sath nai subah aai.
Nai umange nai tazgi,
Lekar Aai subah aaj ki.......!!!!!!
-ROHINI-
Jan 8, 2015
Jan 8, 2015 at 10:24 AM UTC
Bachpan ka samay kabhi na lautkar aata ,
Har waqt bus yaadon ka aasma reh jaata ,
Khelte the hum bhi khub dhul ko udel ko,
Maaf kr diye jate hamare sabhi galtiya aur bhul ko,
Jab chaha has lete they ,
Aur jab chaha ro dete they ,
Chhote chhote aankhon me sapne bade hote the,
Na kisi se bair,sare log apne hote the,
Par ab tou aansuo ko chahiye tanhayi ,
Chehre par sirf jhoothi muskaan hai chhayi ,
Zindagi ki tapish mein kab bachpan guzar gaya ,
Kab bachhe se bade ** gye zindagi ki daur mein nazar hi nahi aaya ,
Kya din they chalate they baarish mein nao
Ab khud ko chupane ke liye sochtey hain kha jao,
Na kuch paane ki aasha thi or na kuch khone ka drrrr,
Mast rehte they jaha apni hi dhun idhar udhar,
Koi lauta de bachpan ka sawan
Fir se mehak jayega mere dil ka aangan ,
Khelte they khilone se aaj khud khilona ban gaye ,
Bachpan ke sunhere pal na jaane kha kho gaye,
Maa se lipatne ke bahane bnate,
Maa ke aanchal ke chav me hi so jate,
Chhote se kadam se saitaniya bde karte the,
Papa Ki pyari daat pr bhi ro dete the,
Jab bhi rota mai,Maa apne sine se laga leti thi,
Sahlake haath sar pr mere muskura deti thi,
Maa ka dudh jaise amrit ka pyala tha,
Sach me hamara bachpan bahut hi nirala tha,
Amrit ka Ek ghut pi kar bhi khush ** jate the,
Duniya ka sabse bda sukh maa ke aanchal me hi pate the,
Yaad hai hume wo khubsurat bachpan ke pal,
Muskura dete hum jab bhi yaad aate wo sunhare bite kal........
4th collab. Poem composed by
Sonia Paruthi & Manish Shrivastva
Mar 26, 2018
Mar 26, 2018 at 8:42 AM UTC
Khubsurat sa desh tha pehle hamara,
Khub tareef karta tha yeh zamana,
Baat thi kuch uss desh meh nirali,
Kyuki Charo aur thi bas hariyali,
Badal chuki hai mere desh ki laali,
Tut chuki hai bhaichare ki daali,
Apne de rahe hai ek doosre ko gaali,
Aaj koi saath nahi manata holi ya diwali,
Kaha gayi mere desh ki voh hariyali,
Bandha hua hai desh dhaago se kaali,
Kaat dena hai voh dhage hume saari,
Banate hai desh ko jaise ek madhur kawaali,
Vapas aayegi mere desh meh voh laali,
Tareef karegi hamare desh ki duniya saari,
Saath milkar raho mere desh vaasi,
Door rahehi bhedbhav ki voh saaya kaali.
Jul 3, 2019
Jul 3, 2019 at 1:00 PM UTC
Mein Teri manzil e nazar
Bikhra hua sa manzil e ghulsan
Udta panchi yaad liye ghum raha tha
Teri galiyaan mein yunhi likh raha tha
Khub khubsurati me rang me ghul raha tha
Aur ek shant mann me laga mausam ko dekhta mastana
Dhoop me shanti ko dhoondta
Phirta awarapan dilse...
Feb 15, 2018
Feb 15, 2018 at 1:05 AM UTC