Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"khoj" poems
Nai umangey nai tajgi, Laker aai subah aaj ki. Aaj subah kuch hoga khas Sab ko yeh hoga ehasah. Nai subah ki nai bauchhar Sabko mile khub sara pyar Yahi hamari dua hai rab se Sabko khusiaa mile ham sb se. Aai nai bouchhar, lekar khub sara pyar. Nai umange...... Har muskurahat hoti hai kimati Par log karte eski na ginti. Har din har roj Karte ham eski khoj. Sbki khusiaa rahe salamat, Ham sb ki yahi hai amanat. Jb khamosi chaye To hm sb muskuraye Ye duniaa ki rit ham sb nibhay, Agar chot lagti koi apno ko Bahot dukh hota mere es dill ko Magar mai na sochi kv aoro ki jo phirte hai dharti pe bina apno ke, Par muskil hai sb ko ye bat batana. Ye duniaa me apni aawaj uthana Ye bouchhar aai bahot pyar lai, Barsat ke sath nai subah aai. Nai umange nai tazgi, Lekar Aai subah aaj ki.......!!!!!! -ROHINI-
0
Jan 8, 2015
Jan 8, 2015 at 10:24 AM UTC
AAI NAI BAUCHHAR.
Khuda ke dar ke siwa agar karni ** bandagi, Mera sir jhuke mehboob ke aage jo hai meri zindagi. Ibadat karti hu is sachhi mohabbat ki, Mere humsafar ke bin ye jaan hai aduri si. Chand roz chamakar intrane laga, Mere chand ki tasveer dekh khomosh ** gaya. Ajeeb si betaabi hai tere bina, Tujh bin har ek pal ye dil ne gina. Ashq behne lagte hain yaara, Ek pal ki duri bhi nahi hai gavara. Log jaate hain mandir masjid khuda ko talaashne, Apna khuda ko khoj liya humsafar mein humne. Jaam tou unke liye hai Jinhe nasha nahi hota, Ishq ke rang is qadar hum par hai chadha. Aapki yaadon ke nashe mein har lamha doobe rehte, Is dil ki har dadhkan mein sirf mere mahadev baithe. Mera khuda hai mere humsafar, Humesha saath hai aapke chahe kaise ** manzar. Karwate jitni marzi badal le aye zindagi, Haskar dard chupane ki karigiri mashoor hai meri. Par jab aap saamne aate, Hum sudh budh ko baith te. Har baat tumse hi befikra hokar aapse keh dete, Ek aap hi tou hai duniya mein jo humein samajhte. Dil ke har jazbaat ko bin kahe hi padh lete, Aapse ek baat hum kehna chahte. Kabhi udaas na hona aap humsesha aapke hain saath, Majbooti se pakda hai humne aapka haath. Saamne na sahi kahin aas-pass hi hu Rooh se judi hai hamari aabru. Kuch na kar payenge meelon dur ke faasle, Palkein band kar dekhiye aapke dil mein baithe. Aasmaan se farishta utarkar, Dil mein sama gaye aakar. Mohabbat hai hamari ibadat, Aapke aane se mili dharti par jannat.
0
Nov 13, 2019
Nov 13, 2019 at 8:49 AM UTC
Khuda hai humsafar mera
Kabhi chale ** un raahon pe Jinse jude ** qisse kaafi tumhaare Jin raahon pe hasi mazaak ki thi doston ke sang Unnhi raahon mein tumne bhare the woh yaadon ke rang Kabhi socha na tha ki Akele bhi chalna padega kabhi Goonjti hai woh awaaz tumhaari Jab bhi chalta hu un raahon parr Peeche mudke dekh bhi leta hu kabhi Ke mehez dikh jaaye parchayi tumhari Parr dikhte toh woh adhoore waadein he hein Bebas karr rakhe hein mujhe jinhone Woh baarish..woh dhoop Sabka kiya tha saamna Jab haath tha tumne mera thaama Kya Yaad hai woh fool Jo tod laayi thi tum uss ped se Mere yaadon ke Gulshan mein Khila hai woh fool kabse Hasrat toh dekhiye Woh ped bhi na sambhal paaya Mujhe akela dekhkar Woh bhi murjhaaya Yahin chalte waqt kaha tha na Ki chodogi nahi yeh haath kabhi Chaahe fariyad ** jaaye humse harr koi Tumhaare usi saath ki khoj mein hu Jise laga liya tha apne rooh se kabhi Sahi kaha tha uss shaks ne ki Manzil nahi raahon mein junoon pao Kyunki manzil toh pahuche he nahi the ke Bewafa karr gayi mujhe uss raah pe akele Kabhi Chalke dekhna Inhi raahon pe akele Yaad karna woh beetein hue qisse Aur ** sake toh mudke dekhna Dikhunga mein usi mod parr Jaahan chod gayi thi mujhe..karke inkar Kyunki badal liye tumne apne raahein Jo kabhi samajh na paayi meri yeh fitoor nigaahein
0
May 19, 2020
May 19, 2020 at 12:21 PM UTC
Raahein
* *Dil tu kyun ro raha hai Jo hona tha, woh ** chuka hai Dil tu kyun ro raha hai Jo khona tha, woh tu kho chuka hai Ek kona hai bas ab tera Wahin pe raat, wahin tere din Wahin har saans ko aankhon se gin Jo hona tha, woh ** chuka hai Dil tu aakhir kyun ro raha hai Tera tha khula asmaan Teri hi thi naadi, teri vaadiyaan Tera hi toh tha yeh jahaan Tujhka tujhse hi tha imtihaan Aur tu na jaane kya khoj raha tha Tu kahin toh pahunch raha tha Ek kona hai bas ab tera Wahin ab teri har arz sunsaan Wahin ab dafan har karz, har toofaan Khud ko khud se hi bhool raha hai Ab toh veerane mein bhi tu doob raha hai Tab se ab tak khud se hi jhoojh raha hai Kya ab bas ek kona hi hai tera? Dekh, wahan ek phool khila hai Tere aansuon se seencha Woh tujhse pooch raha hai — Tu kyun ro raha hai? Jo hona tha, woh ** chuka hai Jo khona tha, woh kho chuka hai Ab bhi hai asmaan Ab bhi woh naadi, woh vaadiyaan Ab bhi hai yeh jahaan Tera hi tujhse imtihaan Tu kya soch raha hai Sunn zara murshid kya bol raha hai Kya bas ab ek kona hi hai tera? Tujhko toh tera Khuda khoj raha hai Ja, main hoon yahan — Teri zameer, tera armaan Teri kami, tera gunah Tera nazeer, teri panah Ja, main hoon yahan Main hoon yahan.* *
0
Jun 12, 2025
Jun 12, 2025 at 8:34 AM UTC
Dil tu kyu ro raha hai?