Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Juwayriya Sep 2021
Khwaab dekho.
Khuli aankhon se ya band, fark nahin.

Khwaab humein kahan se kahan leja chhodti hai.
Jo kabhi dekha nahin woh dikha deti hai.
Jis cheez ko kabhi chhua na **, use bhi mehsoos karwa deti hai.

Kabhi paseene mein bheega jagaati hai,
toh kabhi apni ulfat se gaalon ko laal kar deti hai.

Cheekh kar uthaa hai koi toh koi muskuraate.

Koi toh khatam hone ka naam nahin leta.
Kisi ke beech mein kat jaane ka gila hai rehta.

Mujhe toh hamesha khatam hone ka intezaar hi raha ------ uske aane tak.
Bura dekha, bura jaana, bure ne ghere rakha ab tak.

Mein ne seene par sar rakha,
phir usne mere haath par apna bada magar narm haath rakha.

Usko meri nazuk lambi ungliyon se khelna achha laga.
Mujhe mohabbat jatane ka yeh tareeqa uska achha laga.

Aankh khuli.

Pehli dafa kaanp kar nahin sharmakar jagi.
Sukoon toh tha.
Par gila bhi raha.
Phir socha,
khwaab itne bhi bure nahin.

Toh khwaab dekho.
Kuch rehne do.
Kuch poore karo.
Aslam M Jun 2018
Yeh samaa woh waqt ka hai
Jab hum jawaan thai tum bhi jawaan thai.  

Uss shadi mai aap ka aaana.
Aur mujhe bar bar dekhnaa.

Aap ka andaaz ke kya khanai.  
Jau hum kau bebaaz kar deeya.  

Woh aap ka nazuk natnaai  phulaanaa
Woh aap ka sharm sai thar tharanaaa

Woh aap ki kali saree sai naaf ka
Meri aaukhai sai chupa chupi khelna

Woh aap ki halki se musqurahat
Woh aap ki thodi se sharahaat.  

Aap ka andaaz ke kya khanai.  
Jau hum kau bebaaz kar deeya.

Phir woh mera pass sai guzri.  
Merai dil pai raiham na karkai.  

Aur phir paas woh jab aaayi.  
Aur yu muskurayee.

Uski sassai merai cheharai par halki halki baraas rahi thi.  

Yeh samaa woh waqt ka hai
Jab hum jawaan thai tum bhi jawaan thai.
Yeh
Nahh ainkh khuli ,nahhh mai sunn paya...
Maa ke pait mai rehker bhi maina apna parivar ka pyaar paya...
Jab ainkh khuli ,toh roker pura hospital sirr per uthaya ....
Phir Papa ki godi mai sirr rakhker hee mujha thoda chain aaya....
Pheli baar ghar aake , thoda mann dagmagaya....
Dada dadi ko paas dekhker,firrr maii zorr se khilkhilaya....
Jab naam sochne ki baari aayi....
Toh bua ne kaan mai naam pyaar se fusfusaya ....
Bade hokar bhi chota ke sath khelna...
Aisa charitra maina apna hee parivaar mai h paaya...
School jane ki umar mai bhi...
Har parivaar ke sadasye ko hai maina satya...
Kabhi woh dila do, yaa kabhi yeh dilado hee harr baar hai chilaya...
Harr divas ko hamne pura harsh aur ullas ke sath banya....
Pyaar se sath rehna ka hee humna hamesha se wachan h khaya....
Sabke dhurr jana ke baad bhi....
Maine apna parivaar ko hee paas paya...
Harrr sukh dukh mai unhona hee mujha  sabke sath rehna sikhaya...
Apna parivaar se dhurr jake bhi...
Maina uhna harrr jagah h paaya...
Voice call aur video call ne hee unka pyaar h mujh tak pahuchaya....
Maa ki mamta ne hee maano jaisa mujha iss kadar banaya...
Jo maina apna parivaar ka itna pyaar h paaya...
Maarte wakt bhi mera parivaar ne hee mujha kahnde per uthaya...
Ainshu aur apni yaadeino ko bhula krr hee mujha mera parivaar ne jalaya....

— The End —