Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
AWAIS HABIB Sep 2019
XVI
Mn kis rasty peh chala mj ko ilm na huwa
Kis makaam peh ja poncha mj ko andaza na tha

Phr b ik umeed hai nazro mai baki
K daiku ga zrur, mn kirno ka aruj

Ye dunya or is k kissy khatm hony waly to nahe
Pr jo khatm hona hai wo hai wajud apna

Ab ye b nahe k haar gaya *** zamany sy mn
Bs na jany kb sy khamoshi ka mn pasnd bn gaya

Ye kahani hai ik ujrhy huwy gulshan ki
Jis ki bahar ko ik zamana beet gaya

Khair hoti rahy gi ye baaty b sath sath
Kabi tum hmko yaad krna tamasha e rozgaar mai....
SmArTy Jan 2018
Ky ** tum,.
Princess ** tum meri.
Jaan ** tum meri.
Har khushi ki bajah ** tum.
Meri har har baat tumse shuru hoti hai or tum pe khatam.
Mera har morng tumse start hoti hai.
Or har raat tum pr khatm.
Tumhare bin to main apni lyf imagine bhi ni kr pata.
Main to humesha k lye Sone ko bhi ready hu.
Kyoki jo(Aap) sapne me mera apna hai.
Wahi aankh khulte hi srf ek supna hai.
.
.
.
#SmArTy...
I love you
Ain Sep 2020
"Mohabbat" lafz hi aisa hai
Aghaaz hurf e meem iska..
Aur Tey se khatm hota hai. ...
Gar maiƱ jo meem hoti ***...
To tum phir ta se hote **.....
Mohabbat lafz hi aisa hai. ...
Shuru jab maiƱ se hota hai
To phir tum par hi rukta hai
Humari is mohabbat mein
Main thi hi kab tum hi tum the...
Parasti khud ki tum ne ki
Meri awaaz suni kab thi...
To phir kaisi mohabbat thi
To phir kaisa fasana tha
Yeh ishq "hum" se begana tha
Ise to Mar hi jaana tha
Ise to Mar hi jaana tha.....
Manvee Chauhan May 2020
Khushi Ka ek Naya daurr sa shuru hua tha....
Jo shayad mukammal hone se pehele hi khatm hone ki raah chun chuka tha!!!
Ye Zindagi hi badi ajeeb hai....
Shayad ise jeene k liye Chahiye ek behtar naseeb hai!!!!
Or naseeb k to kya hi kehne..
Hamari Zindagi mein to Hain sirf dukh - dardd na hi Khushi k khoobsurat gehne !!!
Sochte Hain ki ab nayi Zindagi ki shuruwaat kr hi lein....
Lekin hum kya jaanein ki Safar mein to iske Bhi khoonkhaar kaante biche Hain!!!
Lekin kab tk jakde rakhenge khud ko in darr ki bediyon mein ...
Sochte Hain ki ab jee hi lein in khubsurat Himachal ki vaadiyon mein!!
Shayad sb is baat se anjaan Hain ki hum Bhi Kabhi Kuch likhne ki himaakat kr lete Hain.....
Chalo Acha hi h, jee Lene dete Hain unhe is bhram mein ki hum har cheez mein nakkamyab rehte Hain!!!
                                              @HeartlyxPoems
AWAIS HABIB Mar 2019
Tum kis apnayat ki baat krty **
Yahan to hr koe paraya sa lgta hai

Wo or zamana tha jb gulshan mai bahaar hoti thi
Ab to hr mosam khizaa sa lgta hai

Iss mai hamari ghaulti nahe k badal gy ham
Rukh badal lyta hai dill jb na ashnaa sa lgta hai

Roty huwy dil ko akhir kon pehchaan pyga
Bahir sy jo chehra, muskurata huwa sa lgta hai

Bughaz, gheebat k maary yahan log
Wajud andr sy khatm hota huwa sa lgta hai

Ary! Ye dukrhy han iss jahan k ay awais
Jahan sy tu ab rukhsatt hota huwa sa lgta hai

— The End —