Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Jiski dhun par dunia naache dil aisa ek tara hai
jo humko v pyara hai aur jo tumko v pyara hai
jhoom rahi hai saari dunia jabki humare geeto par
tab kahti ** pyar hua hai kya ehshaan tumhara hai

jo dharti se ambar jode uska naam mohabbat hai
jo sheeshe se patthar tode uska naam mohabbat hai
katra katra saagar tak ** jaati hai har umr magar
bahta dariya wapas mode uska naam mohabbat hai

to be continued......
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro
Tariq Khan Dec 2012
Toote se ek gharondey mein
kuch daraar si hai
jahan se ek awara dhoop ka katra
ek parindey ko uske khwaabon se jagata hai
thoda alsata sa wo kuch ghabrata sa wo
darwaze ke paas jaake har baar palat jaata hai
Use dekh ke na jaane main kyun bechain hota ***
Fikr-e-akhirat mein apni shaksiyat ko khota ***

Uski udaan ki mayoosi se waakif meri pehchan bhi hai
thoda adhura wo khud hai
thoda adhura mera aasmaan bhi hai

Band hai is shahar ki hawa,
Jeene ka kuch asar nahin mujhpe,
Kuch duur se ati koi awaaz, kahin yun hi kho jati hai,
Deewaron se takrakar,mere paas yun ati hai
Kis aur jaun, har simt se nawakif main aksar kho jaata ***
Andheri raaton mein akela khud ko pata ***

khud ke ehd ki zanjeeron mein, darakht si meri jaan bhi hai
thoda adhura main khud ***
thoda adhura mera aasmaan bhi hai

- طارق
Bin aapke ek pal raha nahi jaata,

Dil ki dadhkano ko khuda hai jaanta.



Is janam mein khushnaseeb hain aapko paakar,

Khuda se duaein karte har janam aapko maangkar.



Aapke liye agar taqdeer se bhi ladna pada,

Khushi khushi ladegi aapki mahiya.



Dukh ne sataya aapko tou saamne milegi aaapki sangini,

Aapki rooh ko chhukar is rooh tak hawaein aapki khabar batati.



Aapka naam lekar hi chalti hain ye saansein,

Beintehha mohabbat hai humein aapse.



Fikar nahi kariye,

Jaan aye meriye.



Jeet lenge apni mohabbat se sabko,

Ek kharoch bhi nahi aane denge aapko.



Ye dadhkane chalti hain sun un dadhkano ko,

Aapki muskurahat dekhkar hi sukoon milta humko.



Aapki aankho mein ashq ka ek katra tak nahi aane denge,

Har janam hum sirf aur sirf aapke hi rahenge.



Dur jaane ki baat nahi kara kijiye,

Meri zindagi meri rooh aap hi ** jaan aye meriye.

Aapke bin ye dil kahin lagta nahi,

Jahan aap honge milenge aapko hum bhi wahi.



Nazar na lag jaye kabhi tabeez bankar raksha karenge,

Jis haal mein rakhoge aapke sang humesha khush rhenge.



Aapse hi judi hain humari saari khushiyan,

Duniya badi hai par mere liye aap hi ** meri duniya.

— The End —