Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Amrit Feb 2020
Adhuri si hai shaamein
Adhuri si hai barish
Adhuri si hai aarzoo, adhuri hai har khwaish
Karne ko toh hai baatein hazaron
Phir bhi kyun hai har baat adhuri
Chahte hai shayad, mere apne
Phir bhi lagti hai har chahat adhuri
Bhini si hai barish mein yeh mitti ki khushboo
Kahin reh gayi hai uski mehek adhuri
Raat gunguna rahi hai khubsoorti ki dastaan
Karvat mein hai ek ummeed
Reh gayi woh ummeed adhuri
Kuch pal me pal do pal ka safar
Jaise ki ghungroo bhari nadiyon me
Chham chham ek awwaaz e junoon
Mein chala gaya nadiyon ke bahaav me
Waqt ne karvat liya....
Aur mein doob gaya pyaar me
Pura ka pura...

— The End —