Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Siddharth Ray Feb 2020
Bhaiyon aur behnon
Aao karein charcha unki
Jinki leh na bahe toh
Hojata hay ghanghor apraadh
Fir mehek achi ** ya buri
Dil mein bas reh jati hay baat
Zaika hai inka bhi anokha
Magar chonk ke bina kaisa swad
Aao karein charcha unki
Jisse hum khetey hain jasbaat
Apni marzi ke yeh hain maalik
Time par dikhate hain aukaat
Kabhi bina namak,
Aur kabhi cheeni *** ** toh
G par dil khol dete hain laath
Rohaniyat Feb 9
Pahadon Ke Piche Ki Duniya

Behti nadiyan, geet sunaye,
Lehron mein chandni angdai le aaye.
Sabz wadiyan baatein karein,
Hawaon ki palkon pe sapne dharein.

Chhupaa hai yahan ek jahaan naye rangon ka,
Jahan har manzar hai angan guliston ka.
Aasmaan bhi jhuk kar kare guftagu,
Badalon ki chadar tale khwab ** jaaye tu.

Kya yeh haqeeqat hai ya ek dastaan?
Ya hai mohabbat ka koi paighaam?
Milega wahan ja kar hi inka jawab,
Jahan har shai kare husn ka izhar.

Kehte hain, yeh jannat ka ek aaina hai,
Jahan jamal bhi hai aur kamal bhi shana hai.
Hawaon mein ghulay hain afsane kayi,
Har phool sunaye naghme naye hi sahi.

Barson se thi jis pal ki raah,
Aye rohaniyat! Dekh ab woh nigah.

— Rohaniyat

— The End —