Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shruti Dadhich Aug 2019
Kitne din hue,
Khud se nhi mulakat hui;
Khamoshi ki chader odhe pta hi nhi chala,
Kb subha se raat hui;
In ulzi ulzi julfo ko sulzaye,
Kitne din beete;
In aankho ki kahaniyo me dube,
Jaane kitne hafte beete;
Kitne din hue,
In tute sapno ko seete!
Arsa hua,
Khud k haal chal puche,
Uf! Kitne din hue,
Is duniya me kho se hye hai hum,
Khud ko kahi bhula sa diya,
Bs zindagi me ye hi h ek gam...
- $D
I won't regret for loosing anything or anyone in my life, but the thing I regret the most is loosing myself in the crowd of this fake world!
Sachin jeengar Dec 2017
Aao sathiyo Mai tumhe thoda sa vyapar sikha du
Machino ki is duniya Mai bikta Ye insan dikha du
Suraj se Brahmand tak fir Prithvi se Ye chand tak
Kahaniyo k Mai aj hazaro gulistan bicha dun
Aao sathiyo Mai....
Badal raha h waqt Ye Yaro badal rahi h duniya
Badalti is duniya Mai sambhalta Mai insan dikha du
Aao sathiyo Mai...
Hai daud yaha par paise ki paise ka mayajaal h
Hota ik pal Mai idhar udhar kaisa bedhangi kamal h
Kamaal ki is sajish ka Mai tumhe sartaaj bata du
Aao sathiyo Mai...
Tum dhund rahe the aj jise kal Mai kese mil jaega
Jo kho chuka vo ** chuka tu khud ko kese batlaega...
Mai batlata hu tumhe ab tum ko bhi Ye chaal sikha du
Aao sathiyo Mai...
Neeraj katta Jan 2019
Ab to bas kisse, kahaniyo or yaado ki jagir baki hai.
Ab to bas aaeno me dikhte aks ki tasveer baki hai.
mazile yahi hai, raste yahi hai socha mil kar aa jau
Ab to bas pairo se tuti bikhari waqt ki zanjeer baki hai.
Nk

— The End —