Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
AR Sep 2019
"Khud ko thoda waqt do,
Agar Bikhra hua Dil,
Ek pal mei judh jaata,
Toh Kahaniyaan,
Apni ahmiyat kho deti!"
AR
Apne paraye hum bhul ke aaye
Naseeb se aankhein pherte hue
Jaan ke anjaan hote hue...
Khud se hi dur hote hue...
Ek nayi raah me doobe
par Dard e pagalpan me khud Ko
Tabaah kya khud Ko...
Bin piye maikhane me behek Gaye
Dooriyaan hue
Ankhon me boond
Wajah e tanhai
Dur dur tak phirte ...
Ghootan si bebasi
Jaise ki waqt
Shayad bahot Kam **
Aur..
Paani me behti
Bahot si
Bewaqt ki sachi kahaniyaan
...
Akta Agarwal Jun 2021
Sabke zindagi ki kuch aesi kahaniyaan hoti h jo logo s chupi hoti h
Jo bsh kuch anjaana sa hota h
Tik wese hi yh kahani h
Isha ki

Logo ka manna tha wo kathor dil wali amir ghamandi ladki h
Pr log kya jaane wo amir ** k v akeli h
Logo ko kya pta ki wo v bsh kuch waqt pehle khudh s mili h
Mohobbat tutne s jada dard apno k ruthne ya bharosha tutne pr hota h
Wo to ek maasum si thi
Ushe to pta hi nhi tha ki wo kabhi esh Isha s milegi jo ki kathor patthar ki trh sakt h
Pr jis waqt ushe fareb, dokha or bewafaae k dard ka ehesash hua
Uski sachchae s jo wo wakif hue to usne apni masumiyat ko khudh k saamne mrta paya
Usne uske dil ko gilli mitti s kathor patthar bnta paya
Usne apne bharoshe pe bharosha kr sb kuch tutta - bikhrta paya
Ush din apne ko hi nhi apno ko v khudh s dur jata paya
Or ush waqt khudh k maut pr khudh ko rota paya
Or fir bn k tayyar hue kathor patthar
Jisko puri trh smjhna aaj v aashan ** na paya
Siddharth Ray Jun 2019
Humse manga hota,
Itihas main kya rakha hay,
Shuruat kahaniyoon ki,
Hum se hi hui thi.

Kuch kahaniyaan shabdoon main kaid hui,
Aur kuch *** leheron main phass
Jab sagar bhi hum, kinara bhi hum
Unki mulkaat, hum se hi hui thi.

Humse na mile toh kya dekha,
Tum raahi **, hai raasta lamba,
Inn raston ki hadd ka andaza
Hum se shuru aur khattam bhi hum pe hui thi.

— The End —