Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shibu zs Mar 2015
EK BHEED SI LAGI THI SHAYAD MAR GAYA THA KOI,

ZANAZA UTHANE KO KI TAIYAR NA THA ,
KYONKI US MASUM KA PARIWAR NA THA,

DEKHA THA MAINE USE KAI DOSTO KE SATH,
SOCHA THA ZANAZA TO UTHAYENGE WE HI HATH,

JAB KOI NA AAYA TO YAH AAWAZ AAYI,

CHALO NIKAL CHALO KE KANHI UTHANA NA PADE,
WO DOST THWE JO CHUPE SE BAHAR NIKAL PADE,

KAFAN GEELA HUA AANKHO SE MURDA RO RAKA THA,

MURDA KHADA HUA KAFAN ME LIPTE HUE ,
PANHUCHA DOSTO TAK JO JA RAHE THE SIMTE HUE,

KANDHE PER RAKHA HATH TO YARO KA DIL DOLA,
KAFAN HATA DIYA MURDE NE WO RO ROKAR BOLA,

"MARNE PAR NA DOGE KANDHA YE DEKH SARMINDA HU,
MAINE TO NATAK KIYA THA YARO ABHI TO MAIN ZINDA HU"...
Hira malik Dec 2019
Angaray, Shamma-n kay aagay
Yun dikhtay hain,
Jaisay shola bujh sa jayy kissi udaas shaam main
Aur kuch nahin
Yay ehsaas ki maut hai
Jiss Kay Kafan main paiwasta  chaid
Najanay kuen sakoot orhay baithay hain.....

Insaan ka wajood itna aarzi kuen hai
Kay jab roay tou bulbulay ki manind phatt jay
Aur jab ** saakan, tou kainaat naan chalay.....
Kia karna aisay but-t ka
Jo khud ko jaga naan sakay
Har simt hai bass hoo
Haq hoo
Ya hoo ka alam
Har lafz main bass hoo....

Anbaar hai kay uthaya nahin jata
Har baar sulaya nahin jata
Bass chain aur roh ki ikk jang hai
Aur uss jung ka haara ikk thakka insaan......
Its in Urdu language. I am hating this forum for not expressing urdu in its form but in roman english
Hira malik Sep 2019
Muhabbat chaiay, lazim hai kay
Saans aay aur jay
Jahan muhabbat chalay, hawa ki manind
Kay buhat tapash hai
Aur dil ki zameen mun kholay haanp rahi hai
Aur nazar kaheen poshida hai
Dil aur bahar
Har taraf
Ikk hi hawa hai
Loo ki manind
Larazti, sansanati ***
Jaisay haddion ko murjha day
Aur thara day saans ki simt ko!!

Kaheen bhe nhn, kuch bhe nhn
Jahan jaon, jahan tharon
Wahan kuch bhe nhn, kabhi bhe nhn.
Ehsaas kahan hai? Yay dil tou ab ikk pinjra hai
Jahan ka makeen bolay tou maut, saans bhe maut, harkat bhe kafan, lafz bhe khatam!

Kuch hai, in dinon, kay shaam ka ilhaam
Meray dil kay darwazon pay
Khafeef ahat say bhe
Maut paida karta hai
Aur iska paida hona
Meray wajood main
Ikk Ah ban kar raqs karta hai.
Kuch hai
Kuch tou hai
Iss shaam main , aaj kal!

Rung-o- boo ki nami, uss ehsaas ka sarood
Kaheen ab samandar paar sakoot ki chadar orhay baitha hai
Aur idhar mera wajood
Bass akhri saans ikk umeed ki aas pay laita thahar sa gya hai...
Zindagi us khuda ki banai bisaat hai jis k hum sab mohre hai..
Uske dar tak k raaste me.. Nashukro k liye kohre hi kohre hai

Jo behtar khel jayega wohi jeet jayega..
Par ye hoga tabhi Jab woh behatreen akhlakh apnayega


Khelte khelte kai to fanah ** gaye..
Kai Sikandar..****** jaise tabah ** gaye..
Maiyyat se khali haath bahar le kar is duniya se wida ** gaye

Rubaru apne kafan se jo jeete ji ** gaye..
Mukammal jahan unhi ko mila..jo khuda ki panah me ** gaye

Zindagi me jinhone ilm rakha us khuda ko Yaad karna..
Namaze adda kari..Gurbani paddi.. Granth padde..Hukumname diye..
khuda ne hosle itne buland kr diye..Apne noor se sabhi manzilo..Jannat k raaste unhi k liye Roshan kar diye

Zindagi me Naam..Shoharat unhe bahut mili..jinme alfazo se khelne ha hunar aa gaya..
Sir chad k jinke ye inayat na boli..woh us khuda ko tah umra bha gaya😊
Ain Sep 2020
Shikwa to bas ek bahana tha...
Tujhe mera dil hi jalana tha...
Kashish ranjish yun banti gayi...
Kehne ko to ek fasana tha. ...

Pal Pal tujh par hi lutana tha
Meri zeest se yeh hi karana tha
Meri rooh par chaya hua tha jo
Saanson ka wohi tarana tha

Teri chaah ko apna banana tha
Meri koshish ka woh nishana tha
Teri zid ka zarb magar mujh par
Jo pada to bas qatilana tha...

Nibha lo rasm e kafan ki ab
Anjaam e wafa yun sikhana tha....
Bejaan sa **** yun pada hai ab.....
Ke "Ain" e arz hi ab thikana tha....
Ain Sep 2020
Tum se yeh mohabbat ka jo shewa Maine pehna hai
Ab kya kahun ke kafan ka kapda Maine pehna hai

Har shai mein teri yaadon ka sehra maine pehna hai
Kaanton se jo bana hai woh zewar Maine pehna hai

pal bhar ka wasl phir wada e hijr maine pehna hai
Anjaam e ishq ka yeh naya tamgha Maine pehna hai

Wafa ke ghar jafa ka yeh keechad maine pehna hai
Ilzaamon ke rangon ka ek saaya maine pehna hai...

Kya kahun Ae Ain ishq mein kya kya Maine pehna hai
Haya ko karke tark libaas e behaya pehna hai...

— The End —