Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"kabse" poems
(Let them see the world) Dekho Manhooos Paida Hui Hai Sabke Chehere Pe Maatam Chaa Gaya Aur Betii Bojh Ban Gayi Bojh Shayad Kuch Kam Hua Tha Jab Iskaa Ek Chotaa Bhaii Hua Tha Par Shayad Kabse Sach Hua Tha Simaat Gayi Akelepan Mein Baith Baith Ke Sapne Bunti Raat Ko Voh Taare Gintii Gintii? Gintii Toh Mujko Aati Nahi Baabujii Ne School Nahi Bheja Mujko Betii Hoon Naah? !! Aaj Veera Aayega Toh Ussey Kahungi Gintii Sikhaa De. :') Taaare Ginne Hai Mujko Betii Honaaa Paap Hai Betii Toh Bojh Hotii Hai Naah Papa Bhi Yahii Kehete Hai Solaah (16) Saal Kii Umaar Me Voh Laal Jodaa Mujhpe Bojh Ban Gaya Aur Baabuji Kaa Bojh Shayad Kuch Halkaa ** Gaya Ispe Kayi Sitaare Lage The Aur Muje Abbhi Gintii Nai Aatii Thi Dekho Manhoos Paida Hui Hai Mai Manhoos Banke Reh Gayi Sabke Chehere Pe Muskaan Thi Aaj Aur Beti Bojh Banke Reh Gaayi.
0
Aug 17, 2016
Aug 17, 2016 at 4:46 AM UTC
Betii Bojh Ban Gayi !
Kabhi chale ** un raahon pe Jinse jude ** qisse kaafi tumhaare Jin raahon pe hasi mazaak ki thi doston ke sang Unnhi raahon mein tumne bhare the woh yaadon ke rang Kabhi socha na tha ki Akele bhi chalna padega kabhi Goonjti hai woh awaaz tumhaari Jab bhi chalta hu un raahon parr Peeche mudke dekh bhi leta hu kabhi Ke mehez dikh jaaye parchayi tumhari Parr dikhte toh woh adhoore waadein he hein Bebas karr rakhe hein mujhe jinhone Woh baarish..woh dhoop Sabka kiya tha saamna Jab haath tha tumne mera thaama Kya Yaad hai woh fool Jo tod laayi thi tum uss ped se Mere yaadon ke Gulshan mein Khila hai woh fool kabse Hasrat toh dekhiye Woh ped bhi na sambhal paaya Mujhe akela dekhkar Woh bhi murjhaaya Yahin chalte waqt kaha tha na Ki chodogi nahi yeh haath kabhi Chaahe fariyad ** jaaye humse harr koi Tumhaare usi saath ki khoj mein hu Jise laga liya tha apne rooh se kabhi Sahi kaha tha uss shaks ne ki Manzil nahi raahon mein junoon pao Kyunki manzil toh pahuche he nahi the ke Bewafa karr gayi mujhe uss raah pe akele Kabhi Chalke dekhna Inhi raahon pe akele Yaad karna woh beetein hue qisse Aur ** sake toh mudke dekhna Dikhunga mein usi mod parr Jaahan chod gayi thi mujhe..karke inkar Kyunki badal liye tumne apne raahein Jo kabhi samajh na paayi meri yeh fitoor nigaahein
0
May 19, 2020
May 19, 2020 at 12:21 PM UTC
Raahein
Kabhe toh voh din bhe aiga Jab sab kuch guzar jaiga Jab hum na akhae khole ge Na toh kuch bolege Voh din jald he aiga Us din ka intezaar kabse hai Zindagi mai kuch naya paane ka intezaar kabse hai Voh din jab aiga Har koi saath ** jaiga Roh kar shayad ek he baath bataiga Ke voh mere kitne paas the Ke voh mere kitne khaas the Shayad sabke akho mai aasu honge Shayad sabke yaado me mai Shayad koi roh raha hoga Zindagi mai kuch kho raha hoga Har ek jo merai paas the Aaj voh ek ahsaas hai Jo bhe merai khaas the Voh dil mai merai paas hai Jab tum roh rahe hoge Dukh mai kho rahe hoge Toh tumko dekh kar mai muskuraoge Dil mai chupe gam ko chupaoge Aur ek he baath kah kar jaoge YEH WAQT BHE JALD HE GUZAR JAIGA
0
Jun 17, 2019
Jun 17, 2019 at 11:10 AM UTC
Akhiri waqt