Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"kaante" poems
Jo puraani yaadon mein zindagi dhundha kartey hai unhe sirf do pal ki muskurahat naseeb hoti hai aur phir umar bhar ki tanhai ek aisi tanhai jaha hum bhari mehfil mein bhi akele ** jaate hai aur adhura pan bhi hamein pura lagne lagta hai ek aisi manhoosiyat dil pe cha jaati hai Jo chahe bhi mit nhi paati aur vo yaadein bhulaaye bhi bhula nhi paate reh reh k **** mein gade kaante ki tarah dard diye jaata hai aur hum hans hans kar ise taal diya karte hai kyun ki shaayad mukaddar ko yahi manzur tha kya shikva hum kisi aur se kare jab manzil hi humse Ruth gayi Jo naayab tohfa khuda se mili haatho se yun choot gayi vo toot k bikhri aur kinare par jaa Giri aur kashti humari doob gayi
0
Jun 18, 2015
Jun 18, 2015 at 5:21 PM UTC
Nostalgia (Hindi)
Jab aankh khuli to amma ki godi ka ek sahara tha uska nanha sa anchal mujhko bhumandal se v pyara tha..... uske chehre ki jhalak dekh chehra phulo sa khilta tha uske stan ki ek bund se mujhko jeevan milta tha haatho se baalo ko noocha pairo se khoob prahar kia phir v us maa ne puchkara humko jee bhar ke pyar kia Mai uska raja beta tha wo ankho ka tara kahti thi mai banu budhape me uska bas ek sahara kahti thi ungli ko pakad chalaya tha padhne vidlaya bheja tha meri naadani ko v neej antar me sadasaheja tha Mere saare prashno ka wo fauran jawab ban jaati thi meri raho ke kaante chun wo khud gulaab ban jaati thi mai bada hua to college se ek rog pyar ka le aaya jis dil me maa ki murat thi wo ramkali ko de aaya shaadi ki pati se papa bana apne rishto me jhul gya ab karwa chauth maanta hu maa ki mamta ko bhul gya hum bhul gye uski maamta mere jeevan ki thati thi hum bhul gye apana jeevan wo amrit wali chaati thi Hum bhul gye wo khud bhukhi rah karke hume khilati thi humko sukha bistar dekar khud geele me soo jaati thi hum bhul gye usne hi hotho ko bhasha sikhlayi thi meri neendo ke lie raat bhar uss maa ne lori gaayi thi hum bhul gye har galti par usne danta samjhaya tha bach jau buri najar se kala teeka sada lagaya tha hum bade hue to mamta wale saare bandhan tod aaye bangle me kutte paal laye maa ko vridhaashram chod aaye apano sapno ka mahal girakar kankar -kankar been laye khudgargi me uske suhag ke aabhushan tak cheen laye Hum maa ko ghar ke batware ki abhilasha tak le aaye usko paawan mandir se gaali ki bhasha tak le aaye to be continued ........(next part may be in next week)
0
Aug 3, 2015
Aug 3, 2015 at 3:04 PM UTC
Maa

Continue reading...
61
Khushi Ka ek Naya daurr sa shuru hua tha.... Jo shayad mukammal hone se pehele hi khatm hone ki raah chun chuka tha!!! Ye Zindagi hi badi ajeeb hai.... Shayad ise jeene k liye Chahiye ek behtar naseeb hai!!!! Or naseeb k to kya hi kehne.. Hamari Zindagi mein to Hain sirf dukh - dardd na hi Khushi k khoobsurat gehne !!! Sochte Hain ki ab nayi Zindagi ki shuruwaat kr hi lein.... Lekin hum kya jaanein ki Safar mein to iske Bhi khoonkhaar kaante biche Hain!!! Lekin kab tk jakde rakhenge khud ko in darr ki bediyon mein ... Sochte Hain ki ab jee hi lein in khubsurat Himachal ki vaadiyon mein!! Shayad sb is baat se anjaan Hain ki hum Bhi Kabhi Kuch likhne ki himaakat kr lete Hain..... Chalo Acha hi h, jee Lene dete Hain unhe is bhram mein ki hum har cheez mein nakkamyab rehte Hain!!! @HeartlyxPoems
0
May 30, 2020
May 30, 2020 at 2:43 AM UTC
Untitled