Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"kaala" poems
Ek metro, saanp si guzar rahi hai kuch duur Ek nabh faila hai uske upar - Neela sa kaala Ek chaand chamak raha hai uss nabh mein Kuch baadal sarak rahe hain paas mein uske Usi metro ki tarah par dheere zara Thandi hawayei hain. Usme goonjta mera aaj khada Kuch thandak hai inn hawaon mein Aur bohot sara sukoon bhara Aisi hi hoti hai wo chaand ki thandak? Jinhen sunte, apna bachpan beet gaya Kya sheetalta swarg ki aisi hai kahin? Jisey suna kayion ka jeevan guzar gaya Kya raambaan sukh yahi toh nahi Kya kamdhenu vriksha aisa tha kabhi Kya Ramcharitmanas mein hanumat Ka Rambhakti amrit lagta tha yun hi? Aisa hi amritmay bachpan mein, yaad hai mujhko lagta tha Zameen se shuru uss lambi khidki Se yahi chaand chamakta dikhta tha Mama sa ban chup shant bhav se Kuch baatein meri sunta tha Kyunki khud bhumi par bistar pe so Holi mujhe khilayi thi Khud bhookhe reh uss ke paiso Se mere bhai ko idli chakhayi thi Bohot pasand thi usko uski idli Aur rangbhari mujhe holi meri Kya kabhi unhen main unka wapas Ye rinn chukta kar paungi Kya kabhi unnsi balwaan main ban kar Unke liye itna kar paungi? Kya usi chaand ki thandak si khushiyan Unki jholi mein bhar paungi? Kya bhool maaf karne ki hadd Ko paar kar kar ke thake nahi wo? Kya raat bhar bhi jagkar subah Hans dawa banna bhoole nahi wo Kya insaani roop mein hain Bhagwan, "maa baap" kehlate jo?
0
Nov 29, 2019
Nov 29, 2019 at 10:16 AM UTC
Maa Baap
Raat meh jab aankh lage Dil ka raang kaala Khaboon mein tum aake Apna ehsaas dilake Hoonton ki pyaas bhujake Ek lafs bole...."Kyun?" Ab iis ek shabd  ka jhawab nahi Iis dil ki pyaas ka matlab nahi Do jismoon ki batoon ki samaj nahi Tho kab hum bas karen? Kab iis kyun ko dafnaden? Kab iss sawal ka jawab nah dhoonden? Kab samje ke hum "hum" nahi ** sakthe? s.q.
0
Jul 27, 2014
Jul 27, 2014 at 1:40 PM UTC
Sawal
Mausam bindaas hai Fir bhi dil udaas hai Sab kehte hain boondein khushiyaan lehraati hain.. Fir Kyun mujhko ye sisakte aanso lagte hain Na jaane kaise ye reet hai..? Shrishti ki khushi..meghon ke rone mein.. Dharti ka adhikaar ya aasmaan ka badappan.. Jaane kaun sahi hai kis roop mein..? Adhbhut anokha.. Be-missal pyaar.. Na dharti per ** sookha.. na aasmaan ** kaala..!!!
0
Apr 10, 2018
Apr 10, 2018 at 8:28 AM UTC
Na jaane kaise ye reet hai..?