Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Maa ki mamta ko dekh maut v
aage se hat jati hai
gar  maa apmanit hoti
dharti ki chaati fat jaati hai
ghar ko pura jeevan dekar
bechari maa kya pati hai
rukha sukha kha leti hai
paani *** kar soo jati hai

Jo maa jaisi devi ghar ke
mandir me nahi rakh sakte hai
wo lakho punya bhale kar le
inshan nahi ban sakte hai
maa jisko v jal de-de
wo paudha sandal ban jata hai
maa ke charno ko chukar paani
Gangajal ban jata hai

Maa ke anchal ne yugo-yugo se
Bhagwano ko pala hai
maa ke charno me jannat hai
Girijaghar aur Shivala hai
Himgiri jaisi unchai hai
sagar jaisi gahrai hai
dunia me jitni khushboo hai
maa ke anchal se aaye hai

Maa kabira ki sakhi hai
maa tulsi ki chaupai hai
meerabai ki padawali
khusru ki amar rubai hai
maa angan ki tulsi jaisi
pawan bargad ki chaya hai
maa ved richao ki garima
maa mahakavya ki maya hai

Maa maansarovar mamta ka
maa gomukh ki unchai hai
maa parivaro ka sangam hai
maa rishto ki gahrai hai
maa hari dubh hai dharti ki
maa keshar wali kyari hai
maa ki upma kewal maa hai
maa har ghar ki phulwari hai

Saato sur nartan karte jab
koi maa lori gaati hai
maa jis roti ko chu leti hai
wo prasad ban jati hai
maa hasti hai to dharti ka
jarra-jarra muskata hai
dekho to dur kshtiz ambar
dharti ko sheesh jhukata hai

Mana mere ghar ki deewaro me
chanda si murat hai
par mere man ke mandir me
bas kewal maa ki murat hai
maa saraswati lakshmi durga
ansuya mariyam sita hai
maa pawanta me ramcharit
manas me bhagwat geeta hai

Amma teri har baat mujhe
vardaan se badhkar lagti hai
he Maa teri surat mujhko
bhagwan se badhkar lagti hai
saare teerath ke punya jaha
mai un charno me leta hu
jinke koi santan nahi
mai un maawo ka beta hu

Har ghar me Maa ki puja **
Aisa sankalp uthata hu
Mai dunia ki har maa ke
Charno me ye sheesh jhukata hu.....
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Ashna Alee Khan Sep 2016
Kabhe pucha hay apnay app say kay tumnay kitnay waday torhay hein?
kabhe pucha hay apnay app say kay kitnay logouin ka dill tora hay?
kabhe pucha hay apnay app say kay tumnay apne eik nazar say kis kis ko apne he
nazrouin mein gerayya hay?
- nae pucha nah? kese din pucho gay nah tou mrnay ka dill chahy ga, zindage kay
naam say chirnay lago gay.
Kabhe pucha hay kay tum Zindage kay naam per eik beyqaar zindage jee rahay
hou? aur phir kehthy hou ''yaar kya krien zindage he esse hay''. Kabhe Zindagi
ke kitaab ko khol kr tou dekho kya kya rakha hay uiss mein. Zindage bahot he
haseen hay sirf hum masroof hein apne duniya mein wou duniya jis mein kuch
nahe sawaye humaray. Ajj loug dusrouin ke mintein krtay hein kay ''ruk jau''
''na jau'' jb kay mery khayaal mein ye loug bhul chukay hein kay '' jis ko jana hay
uis ko jana hay chahy tum apne jaan kyun na deh dou''. Ajj tou logouin ke
zindage andhere hojaate heh jab koe uinka ''dost'' ya ''yaar'' chor jaye aur wo uis
khuda ko bhool jaatay hein jis nay uis ko usse ''dost'' ya ''yaar'' say milaya tha.
Hum loug tou apnay Khuda ko bhe bhul chukay hein. Wo Khuda jis kay pass
humnay waapis jana hay wo Khuda jis kay bagheir humare koe ukaat nae.
Barhay Unchay gharouin mein reh reh kr apnay app ko Khudha samjhna shuru krdeya hay humnay.
Ess zamaanay mein koe kese ka Dost nae hota barha Dost Dost krtay hou na jab doob rahay hou gay
kudhe dekhna kay sab DOST tamasha dekh rahay hogein aur tum zindage ke tarf aanay ke bher-poor
koshishein kr rahay hou gay, tab apnay app say puchna kay ye wo DOST thay jin kay leye tum apnay
maa-baap say laray? uin kay samnay uncha bolay? sharmindage hoi? Ajj hum itnay ''self-obssessd''
hein kay dusrouin ko dekh kay lagta hay chunte jitni ukaat hay uiss ke. Hum apne he Duniya mein
bahot dur nikal aayein hein, asal duniya say bekhabar, asal dostouin say hum la-taluq ** chukay hein.
Hum ajj apnay app mein he kho chukay hein. Apnay rab ko humnay kho deya. Rab ko kho deya matlab
Sub kuch kho deya  ! tou abb hamaray pass koe raasta hay?
-Haan wou rab 5 martaba bulaata hay tumhein apne taraf, jau uiss ke taraf aur apne ASAL ZINDAGE
ke taraf waapse aou.
Khuda ke dar ke siwa agar karni ** bandagi,
Mera sir jhuke mehboob ke aage jo hai meri zindagi.

Ibadat karti hu is sachhi mohabbat ki,
Mere humsafar ke bin ye jaan hai aduri si.

Chand roz chamakar intrane laga,
Mere chand ki tasveer dekh khomosh ** gaya.

Ajeeb si betaabi hai tere bina,
Tujh bin har ek pal ye dil ne gina.

Ashq behne lagte hain yaara,
Ek pal ki duri bhi nahi hai gavara.

Log jaate hain mandir masjid khuda ko talaashne,
Apna khuda ko khoj liya humsafar mein humne.

Jaam tou unke liye hai Jinhe nasha nahi hota,
Ishq ke rang is qadar hum par hai chadha.

Aapki yaadon ke nashe mein har lamha doobe rehte,
Is dil ki har dadhkan mein sirf mere mahadev baithe.

Mera khuda hai mere humsafar,
Humesha saath hai aapke chahe kaise ** manzar.

Karwate jitni marzi badal le aye zindagi,
Haskar dard chupane ki karigiri mashoor hai meri.

Par jab aap saamne aate,
Hum sudh budh ko baith te.

Har baat tumse hi befikra hokar aapse keh dete,
Ek aap hi tou hai duniya mein jo humein samajhte.

Dil ke har jazbaat ko bin kahe hi padh lete,
Aapse ek baat hum kehna chahte.

Kabhi udaas na hona aap humsesha aapke hain saath,
Majbooti se pakda hai humne aapka haath.

Saamne na sahi kahin aas-pass hi hu
Rooh se judi hai hamari aabru.

Kuch na kar payenge meelon dur ke faasle,
Palkein band kar dekhiye aapke dil mein baithe.

Aasmaan se farishta utarkar,
Dil mein sama gaye aakar.

Mohabbat hai hamari ibadat,
Aapke aane se mili dharti par jannat.
Ain Sep 2020
Phir teri mohabbat yaad aayi
Phir mera bilagna yaad aaya…
Phir teri naseehat yaad aayi
Tera raub wa jalwa yaad aaya…

Tune jitni jheli takleefein
Us dard ka ehsaas yaad aaya…
Tune zindagi bhar jo bhi kiya
Tera jud o karam sab yaad aaya. ....

Teri kaawishein teri koshishein?Tera jaan lagana yaad aaya. ...
Teri neikiyan tere khair amal..
Tera pyaar lutana yaad aaya...

Teri hayaat se seekhe hain jo jo...?Har ek sabaq woh yaad aaya. ...
Tera muskata har dam chehra...?Woh roshan nazara yaad aaya. ....

Ba vaqaar jo jhele gham tune...?Tera sabr se sehna yaad aaya….
Teri zinda dili teri saada dili...?Deen' mein thos aqeedah yaad aaya. ....

Beta, bhai, shohar, walid ** ya dost?Har ek farz nibhana yaad aaya. ....
“Ain" tum bhi amanat daari karo...?Usne hi seekhaya......yaad aaya..???

Phir mera tadapna yaad aaya...
Lamha rukhsat ka jo yaad aaya…
Ae Firoz tu aisi misaal bana.....?Jaane kitnon ko tu yaad aaya. ....
HUSBAND
1-Sabhi ki soch se jyada sabhi ki ummid se jyada mohabbat karenge hum

2-Lakh mushkilo ke baad bhi hum hamesha aapke sath rahenge

3-Hum humesha khud se jyada aap pr bharosha karenge

4-Zindagi ki harek mod pr hum aapka hath nhi chhodenge

5-Chahe hum pe kitni bhi vipatti aa jaye harek buri nazar aur sankat ke bachayenge aapko

6-Hum es janam ke saare waadein esi janam me pura karenge

7-Aur aakhiri Hum aapko apni patni maankar nhi jeevan saathi maankar aapse kadam milakr chalenge…Hamesha aapke sath  ye hai humare saat wachan


WIFE
1) jitni shiddat se sacchi mohabbat aap humse karte hain usse bhi jyda hum aapse krenge

2) chahe zindagi kitni bhi karwatein le par har kadam par aap apni is jeevan saathi ko humesha apne sang khada payenge

3) Khud se jyada kya khuda se bhi badhkar aap par sabse jyada bharosa karte hain aur humesha karte rahenge..vishwaas ka paudha humesha khilkhilata rahega…

4) Zindagi ki har saans hum sirf aapke sang lena chahte …har janam sirf aapko hi milenge ..hum par humse jyada haqq hai aapka..hum humesha sirf aapke hi rahenge mere mahadev

5) Har muhkil ghadi mein har sukh dukh mein aap humesha apni ardhangini ko apne saath payenge…jeevan ke har pal mein har takleef ko aap tak pahuchne se pehle humse guzarna hoga …aapke liye tou khuda se tak lad jayenge..

6) dil se dil ka ye jo rishta hai humesha barkaraar rahega..har ehsaas behad khubsurat hai ..hum khushnaseeb hain ki humein aap mile…saaton janam kya ishwar se dua krenge ki aise anginat janam mile humein jismein hamari zindagi mein sirf aapka haqq ** …

7) saatwa aur aakhiri vachan ye sirf vaade nahi jo kr diye ..dil se shiidat se ise har janam mein nibhayenge…hum aapke aur aap humare
I love you dear husband. I love you soooooooo muchhhhhhh
Diya soni Feb 2024
"Kese banu me woh jo me hu
Koi esa jis se me bhi mukhtalif ** saku,
Yeh bhi to meri hi khamoshi h
Jo mujhse mujhi tak ka fasla janti h..
Yeh bebasi bhi lazmi h
Jo utni hi haqeeqat h
Jitni is safar me meri talash"
Saumya Jan 2020
Jaana aaj bhi apko dekhkar
Dhadkane utni hi tez ** jati hai
Jitni ki tab hui thi
Jab apko pheli baar dedaar hua tha

Aaj bhi apke hamare kareeb hone ka ehsaas ** jata hai
Aaj bhi apke saamne se guzar jane par
Wohi khusbu mahekti hai jo
Hamare jismo ke milne par ubhri thi

— The End —