Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Jun 2015
Kis gunah ki saja tumne mujhe diya...?
Ban ke bewafa tumne pyaar ko badnam kyon kiya....?
Mila tumse mohabbat karne ka sila mujhe,
Jite ji tumne mujhe ye judai ka zahar kyon diya...?

Na karte pyar kabhi bhi tumse agar pta hota mujhe judai ka gam,
Karke mujhe akela, kahan chale gye wo bewafa sanam,
Kya duniya ki yahi reet hain...?
Pyar aur Judai me aksar kyon judai ka hi jeet hain....?
Kis janam ka badla sanam tumne mujhse liya...?
Karke ghayal dil ko, mujhe akela yu chhod diya,

Ab to ye duniya mujhe tane mar rahi,
Kabhi laila majnu to kabhi heer ranjha ki pyar ki kahaniya suna rahi,
Ja bewafa ja khush raho uske sath jise tumne apna bna liya,
Dard dekar mujhe jo mere dil ko
DARD -E- DIL bna diya,
DARD -E- DIL bna diya.....
BROKEN HEART & BROKEN DREEMS
Shrivastva MK Jun 2015
Yeh bharat hai
     un veer jawano ka,
Jahan samman hota aurato ka
    Atithi aur kisaano ka,

Yeha bahati hai Ganga ki suddh dhara,
Rahenge sda hum ek hamara yahi nara,

Manaye jate hain id yaha harsho-ullas se,
Khele jate holiya bhi rango aur gulal se,

Kheto ki hariyali hi bharat ki pahchan,
Ugate hai sona bhi mitti se yahan ke kisaan,

Yeh bharat hai
     un naujawano ka,
Jo tay karte desh ka bhavishya, vishav me pahchan hain enke ek alag karnamo ka,

Yehan ke log jite hain sirf es watan ke liye,
Kadi dhup ** ya kadkdati thand karte hain mehnat dinbhar do roti aur us pet ke liye,

Yahan thirakati hain nariya kathak ke dhuno par,
Barsate hain phul yahan us thinranga jhande par,

Likh do sabd  MANISH  bhi bataya apni desh ki pahchan,
Jiski sabheyata aur sanskriti hain sarvopari
Jahan sabhi log ek saman...
ABOUT INDIA IN HINDI
Shrivastva MK Jun 2015
Tune mujhe rula diya,
Waadein kar pyar ke,
Ek pal me bhula diya,
Yu to hum bhula dete tumhen,
Lekin ye Kambakhat dil hain,
Jo Tujhe yaad kar harbar
Mujhe rula diya......


Dekho mujhe sanam
Kitna udas hoon main,
Jite hua bhi tere bina
Ban gya ek zinda lash hoon main,
Tor kar mere sare sapne tune,
mere dil ko jakhmi bna diya,
Tune mujhe rula diya.....

Rota hain Manish dekh kar
Apni tuti kalame,
Kaise bhula di ai bewafa
Wo bite lamahen,
wo bite lamahen....


Gum aur Pyar ki ye kaisi Dosti,
Koi kisi ko rula diya to
Koi kisi ko hansa diya,
Aajtak pura na ** saka kisi ka pyaar,
Kyoki kisi ne pyaar ko hi
adhura bna diya,
tune mujhe rula diya,
Tune mujhe rula diya.....
Shrivastva MK Feb 2017
Nam ** jati Hai aankhey
Ye baat soch kar,
Kyun chale jate Hai log
Aksar kisi ka dil tod Kar,
Jite Zindagi bhi ban jati maut us din
Jis din chale jate wo Pal kisi ki saans ban Kar,

Khele jate Hai es duniya me
Dil ka zajbat ban Kar,
Dete Hai dhokha yaha log aksar
Kisi ka khaas ban Kar,
Sabko pta hota Hai anjaam pyar ka
Phir kyon rote log kisi se pyaar Kar,

Pyar andha hota Hai phir
Kyon pyar karte log surat dekh Kar,
Jinka pyar sachha Hai wo
Amar ** jate Hai Mar Kar,
Ghut Ghut ke Ji rha hu
Mai ab zinda lash ban Kar...
Ek zinda lash ban Kar...
Feelings of love and life
Iss daur ka jamana
jane kaha manana
Ek daur aisa tha bhi
Jo sapne the dikhaye
Pura kisi ussi ne
Jisne wo sapne laye ||

Ek daur aaj ka hai
Jo galtiya ginaye
Khud ki nigah me wo
Kabhi khud ko dhundh paye
Kahta hai waqt ab ye
Thoda carrier banaye||

Wo juthe-muthe waade
Kyu usko hai dikhaye
Jite ji mar rahi wo
Leke teri aadaye
Chahat ko bhul baithi
Dene lagi duhayee||

Jo kaash jaan pati
Waade jo tune ki thi
Jo puchti kisi se
Aankhe naa aaj roti
Baat waqt ki hai pyare
Sab aaj hai tumhare
Ek waqt aayega jab
Tum jaljala uthoge
Mai aaj roo rahi hu
Leke teri aadaye
Ek waqt aayega jab
Tujhe denge sab  duhayee
Phir puchnaa kisi se
Teri galtiya ginaye
Jo khud pe roo pada tu
Khud ko hi maaf karna
Naa bolna kisi ko
Kiski lagi lagi duhayee||

Iss daur ka jamana
Jane kaha manana ||

||||
Copyright© Shashank K Dwivedi

email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Abutorab dyer Aug 2020
Ae zindagi kya hassin naam tera
Hazaaron Mein Hai chehra tera
Aj beparda hai husno jamal tera
Sabhi ko hoti hai chinta teri
Kya ** agar na ** chinta teri
Chalo jite hai tuje aaj mein
Chohd chinta kal ki teri
Sochta *** kya hai zindagi
Fir dehk kar paani Ganga ka
Sabhi jawab milgae
Jese Ganga aati hai or
Samundar mai miljaati hai
Fir se baarish ke roop Mein wo
Himalaya me chali jaati hai
Ae zindagi tubhi waise lagti mujhe
Haasti hai rulati hai or kabhi udas
Kar jati hai tu
Fir es aatma ko us ek se ja milati hai
Ae zindagi maaza tera maut Mein Bhi aata hai
Ae zindagi kya hassin naam tera
Hazaaron Mein Hai chehra tera
Hazaaron Mein Hai chehra tera
                                

                                          By Abutorab dyer

— The End —