"jisne" poems
Meri aankho ka tara hi , mujhe aankhe dikhata hai
Jise har ek khushi de di , wo har gam se milata hai
Jubaa se kuch kahu , kaise kahu , kisse kahu maa hu
Sikhaya bolna jisko , wo chup rahna sikhata hai ||
Sula kar soti thi jisko
Wo ab shab bhar jagata hai
Sunai loria jisko , wo ab taane sunata hai ||
Sikhane me usse kya kuch kami meri rahi sochu
Jise ginti sikhayi galtiya meri ginata hai ||
Tu gahri chao hai gar zindgi ek dhoop hai Amma
Dhara pr kab kaha tujh sa koi swaroop hai Amma
Agar ishwar kahi par hai usse dekha kaha kisne
Dhaa par tu hi ishwar ka koi roop hai Amma ||
Naa ucchai sacchi hai naa ye aadhar saccha hai
Maa koi cheej sacchi hai naa ye sansaar saccha hai
Magar dharti se ambar tak yugo se log kahte hai
Agar saccha hai kuch jag me to Maa ka pyar saccha hai ||
Jara saa der hone par sabhi se puchti Amma
Palak jhapke bina darwaja ghar ka taakti Amma
Har ek aahat par uska chouk padna fir duaa dena
Mere ghar laut aane tak barabar jaagati Amma ||
**|| Puchta hai Koi Dunia me Mohabbat hai kaha
Muskura deta hu mai or yaad aa jati hai Maa ||**
Sulane ke lie mujhko to khud jaagi rahi amma
Sirrhane der tak aksar meri baithi rahi amma
Mere sapno me pariya phul titli bhi tabhi tak the
Mujhe aanchal me apne le ke jab leti rahi amma ||
Badi choti rakam se ghar chalana jaanti thi maa
Kami thi par badi khusiya lutana jaanti thi maa
Mai khushhaali me bhi rishto me bas duri bana paya
Garibi me bhi har rishta nibhana jaanti thi maa
Laga bachpan me yu andhera hi mukaddar hai
Magar maa hausala dekar yu boli tumko kya dar hai
Koi aage niklne ke lie rashta nahi dega
Mere baccho badho aage tumhare saath hai amma
Kisi ke jakhm ye dunia to ab silti nahi amma
Kali dil me ab to preet ki khilti nahi amma
Mai apanapan hi akshar dhundta rahta hu rishto me
Teri nischal si mamta to kahi milti nahi amma
Gamo ki bheed me jisne hume hasna sikhaya tha
Wo jiske dam se tufanoo ne apna sar jhukaya tha
Kisi v julm ke aage kabhi jhukna nahi bete
Sitam ki ummr choti hai mujhe maa ne sikhaya tha || ||
Feb 17, 2017
Feb 17, 2017 at 12:39 AM UTC
Payal ki chaan-chaan se chaanke
khanke ban kangan
oos ki bunde hai hum ladki
man hai ek darpan,
Humse hai ghar baar tumhara
humse hai aangan
oos ki bunde hai hum ladki
maan hai ek darpan,
Ladke hai wo prem ki jisme
hum tasweer sajaate
Haatho ki khalirekhao par
hum kishmat ban jaate
Humshe mahkata hai bachpan
aur sajta hai yowwan
oos ki bunde hai hum................
.........................................darpan
Kabhi geet hai kabhi gajal hai
aur kabhi angaar
Hum khubi se nibha rahe hai
apne sab kirdaar,
Chand sitare choo aaye hum
tood ke har bandhan
oos ki bunde..........
....................dhadkan
Hum hi wo maa hai jisne
iss dunia ko hai banaya
Patni Bhabhi Bahna Beti
ke rishto se hai sajaaya
Mat raundoo hum kalio ko
Mit jaayega Uppwan
oos ki bunde hai hum ladki
maan hai ek darpan....
(DEDICATED TO EVERY GIRL)
Feb 5, 2015
Feb 5, 2015 at 9:40 AM UTC
Darr lagta hai, ki Kahi Tumhe kho na de hum,
Shabdo Mein byaan Nahi kara ja sakta Yeh pyaar,
Aasuyo Mein behaya hua dukh,
Hasi Mein chupaya hua dard,
Zubaan par aane se darta hai, ki kahi tumhe kho na de hum.
Anjaani raaton mein jab mile tum, Toh Aisa laga,
Sansaar mil gaya, par yeh dil hai ki maanta Nahi,
Nikamma banakar dukh deta raha,
Kyunki darr hai tumhe kho na de hum.
Iss aakaash ke soonepan se tanha hai Yeh Dil,
Ki kabhi tumse duuriya na badh jaaye,
Jag ne cheena mujhse, Mujhe ** bhi laga pyaara,
Hoontho se chuloo tum, Mera geet Amar kar lo.
Na ruthne ka dava kiya tha, par wafa Toh Hona hi tha,
Kya hua tera vaada, voh Kasam, voh irada,
Voh kehne vaale, Mujhe 'fareebi' , Kon farebi hai Yeh bata,
Voh jisme gam liya pyaar ke khatir, Ya jisne pyaar ko bech diya?
Shama chahte hai, kyunki darr se darr te hai.
Mar 22, 2015
Mar 22, 2015 at 2:47 PM UTC
Ek muskaan sa ek saath sa
Bhai hai wo is naadan ka
Har pal har ek pal jisne haathon ko thame rakha
Durr hokar bhi jisne zindagi bhar ka saath rakha
Naa chahte hue bhi jisne
Humari har ek jarurat ka khayal rakha..
Wahi toh h ek muskan sa ek armaan sa
Pyaara bhai h wo is nadaan ka
Baaton ki gudgudi se hasana
Ruthne par haskar manana
Pal pal ki khushi se
Naa jaane kitne ka din banana
Haa muskan sa, nahe khawaab sa
Bhai h wo is naadan ka
Is naadan ne bhi socha na tha ki aisa bhi hota hai
Koi itna durr hokar bhi itni saralta se apnata hai
Chand baaton se
Kisi anjaan ko apna bananta hai
Ek muskan sa, hamesha rahe muskan sa
pyaara pyaara bhai h wo is naadan ka.....
Aug 30, 2018
Aug 30, 2018 at 2:28 AM UTC
Asia ke hum parinde, Aasma hai had hmari,
Jante hai chand suraj, Jid hmari zad hmari,
Hum whi jisne samander ki, lehar par baandh sadha,
Hum whi jinke ke liye din, rat ki upji na badha,
Hum ki jo dharti ko mata, maan kar samman dete,
Hum ki wo jo chalne se pehle, manjile pehchan lete,
Hum whi jo sunya main bhi, sunya rachte hain nirantar,
Hum whi jo roshni rakhte, hai sabki chaukhto par,
Un ujalo ka wahi, paigam le aye hai hum,
Hum hai desi hum hai desi hum hai desi,
Ha magar har desh chaye hai hum.
Zinda rehne ka asal andaz, Sikhlaye hai humne,
Zindgi hai zindgi ke, Baad samjhaya hai humne,
Humne batlaya ki, Kudrat ka asal andaz kya hai,
Rang kya hai roop kya hai, Mehak kya hai swad kya hai,
Humne duniya mohbat, Ka asar zinda kiya hai,
Hmne nafart ko gale mil, Mil ke sharminda kiya hai,
In tarrki ke khudao, Ne to ghar ko dar bnaya,
In pde khali makano, Ko hmi ne ghar bnaya,
Hum na aate to taraki, Is kadar na bol pati,
Hum na aate to ye duniya, Khidkiya na khol pati,
Hai yasoda ke yha par, devki jaye hai hum,
Hum hai desi hum hai desi hum hai desi,
Ha magar har desh chaye hai hum.
Mar 10, 2015
Mar 10, 2015 at 3:53 PM UTC
Duniya ko janam dene wali maa
Teri mamta kaha kho ***
insan insan ko mar raha
Aadmi ki niyat haiwan si ** ***
Roh pare wo bhi
Jisne banaya ye jahan,
Dekh es duniya ki surat usne bhi kaha,
Badal raha insan,
Ab badal raha insan......
Tumhare sikhaye hua raste se
bhatak raha insan,
Lut ke ejjat ek aurat ki
Mita di mamta ki pahchan,
Kar ke dhuli aanchal teri
Badal raha insan,
Ab badal raha insan.......
Kash! na hoti duniya
Na rahta insan,
Bata ke roya "Manish" bhi
Kalyugi insan ki pahchan,
Badal raha insan,
Ab badal raha insan.....
Jun 7, 2015
Jun 7, 2015 at 6:02 AM UTC
Waqt bhi kitna khubhsurat hai ,
Aate jaate logon ki duniya ujaad deta hai .
Kehte hain waqt saare ghav bhar deta hai ,
Asliyat tou ye hai waqt dard ke saath jeena sikha deta hai .
Do pal ki hai ye zindagani ,
Na do kisi ki ankhiyon mein paani.
Jo lamhein hain chaliye muskurakar bita le,
Jaane kal zindagi kaun se mod par lakar khada kar de .
Kya pta kal saanse hi tham gayi ** ,
Kitna bhi pakad lo .
Fisalta jaroor hai ,
Ye waqt ki fitrat hai yaaro badalta jaroor hai.
Band ghadi bhi din mein do baar sahi samay btati hai,
Man se na haarna aye dost meri tumse gujarish hai .
Maidan se haara dubara jeet sakta hai ,
Man ke haare haar hai man ke jeete jeet hai .
Waqt kahega har baar main lautkar na aaunga,
Khuda Jaane wo hasayega ya rulayega.
Waqt har chiz ki parakh sikha hai jaata ,
Kisi ke khatir ek pal bhi nahi hai theharta.
Waqt ne kisi ko jina sikhaya hai,
Waqt ne sach ka aaina dikhaya hai,
Waqt ka azuba dekho yaaro,
Kisi ko raja tou kisi ko rank banaya hai,
Waqt ne hamara ahamiyat btaya hai,
Waqt ne hume kaanto pr chlna sikhaya hai,
Jisne bhi waqt ko gale lagaya hai,
Use waqt ne us aasmaa jaisi uchai pr pahuchaya hai,
Kitni azeeb baat hai,
Waqt se din waqt se raat hai,
Aaj shaam hai tou kal savera bhi hoga,
Success bhi milegi aur danka bhi bajega,
Waqt ki ahamiyat ko jo log bhul jate hai,
Ant me sirf whi log aansoo bahate hai,
Rote hua es duniya me aate hai,
Vyarth jivan jikar rote hue chale jate hai....✍
Collaboration by Manish Shrivastva and Sonia Paruthi
Apr 9, 2018
Apr 9, 2018 at 8:10 AM UTC
Maa tere aanchal me humne Sara sansaar dekha hai,
Maa tere aankhon me humne khushiyo ka bahar dekha hai,
Maa tere charano me humne swarg ka dwar dekha hai,
Maa tere dil me humne baccho ke liye pyar dekha hai,
Maa tune Hume sabse pyaar aur samman karna sikhaya hai,
Maa tune srishti Ki rachna kar Ghar ko jannat banaya hai,
Najane bhagwan ne Maa ko kis mitti se banaya hai,
Khud sabhi dard chhupa kar Hume hasaya hai,
Maa tune Hume nau mahine kokh me rakhkar najane kitne dard uthaya hai,
Janm ke baad apna dudh pilakar Hume buddhimaan aur takatwar banaya hai,
Khud roya zindagi bhar jisne Maa ko rulaya hai,
Bhojan ke liye khud bhatakta rha jisne Maa ko bhukhe sulaya hai,
Maa ki sewa karo kyoki esne Duniya bnaya hai,
Khud bhukhe rahkar bhi hume khilaya hai,
Duniya ka sabse sachha Gyan Maa Papa me hi sikhaya hai,
Khud bhale hi padhe likhe na ** lekin aapko padhakar ek safal insaan banaya hai....
Jun 17, 2017
Jun 17, 2017 at 12:51 AM UTC
Iss daur ka jamana
jane kaha manana
Ek daur aisa tha bhi
Jo sapne the dikhaye
Pura kisi ussi ne
Jisne wo sapne laye ||
Ek daur aaj ka hai
Jo galtiya ginaye
Khud ki nigah me wo
Kabhi khud ko dhundh paye
Kahta hai waqt ab ye
Thoda carrier banaye||
Wo juthe-muthe waade
Kyu usko hai dikhaye
Jite ji mar rahi wo
Leke teri aadaye
Chahat ko bhul baithi
Dene lagi duhayee||
Jo kaash jaan pati
Waade jo tune ki thi
Jo puchti kisi se
Aankhe naa aaj roti
Baat waqt ki hai pyare
Sab aaj hai tumhare
Ek waqt aayega jab
Tum jaljala uthoge
Mai aaj roo rahi hu
Leke teri aadaye
Ek waqt aayega jab
Tujhe denge sab duhayee
Phir puchnaa kisi se
Teri galtiya ginaye
Jo khud pe roo pada tu
Khud ko hi maaf karna
Naa bolna kisi ko
Kiski lagi lagi duhayee||
Iss daur ka jamana
Jane kaha manana ||
||||
Aug 22, 2018
Aug 22, 2018 at 12:54 PM UTC
andheri thi jo raat wo,
us raat ki kya baat kahun.
jis raat se wo mila nahin,
us raat ki kya subah kahun.
har raat ki h subah mgr,
us raat ki bhi subah hui.
charcha hui to khabar mili,
us shaqs ki toh maut hui.
shaqs to tha wo dost mera,
us shaqs ki kya baat karun.
ladka tha wo bigda magar,
uske dil ki kya taarief karun.
maut nahi thi tha wo khoon,
un kaatilon ki kya baat karun.
jese tadpaya un sbko,
Isse bhattar maut unko m ada krun.
galti kya thi un maasumo ki,
jo aisi bhynkr maut mili.
khuda tu hi jawab dega,
kynki tune thi wo maut likhi.
sbko jisne khush tha rkha,
uski shanti k m dua krun.
Yaad rkhnge use hmesha,
uski yaadon ki kya baat karun.
@riya
Oct 12, 2018
Oct 12, 2018 at 5:35 AM UTC
Chahe aaye aandhi ya fir koi tufaan ,
Kamzor nahi padegi hamari udaan .
Chhaon ** ya kadakti dhoop ,
Nikhrega hamara naya roop .
Lakh mushibat aaye nahi rukenge hum,
Badhte jayenge yuhi hum kadam dar kadam,
Rastey chahe kitni bhi mushkil kyon na **
Har mushkilo ko chirte hue ek din manzil tk pahuch jayenge hum
Bheedh hamesha us raastey par hai chalti ,
Jahan ** na koi mushkil khadi .
Par humne chuna hai raasta alag ,
Kyunki karna hai humne kuch alag .
Itihaas rachna hai tou bhid se alag hona sikho,
Paristithio se daro nhi paristithio ko badalna shikho,
Ek din wo mukaam tumhe mil hi jayega,
Dekh tumhari safalta ko ek din kismat bhi muskurayega,
Mehnat ke bal par likhenge khud ki takdeer,
Takleef ke hain hum mahaveer.
Na chahat hai sitaron ki ,
Na tamanna hai nazaron ki.
Sirf wahi log itihaas rach ke dikhaya hai,
Jisne apne taklifon ko gale lagaya hai,
whi log asafal rah jate hai,
Jo mushkilo se darr tut jate hai,
Har mushkil ka saamna kar ,
Pahuchna hai apni manzil ke shikhar par .
Khamoshiyan sabra ka imtehaan ban gayi ,
Apne man mein Umeed ki jyot jag gayi .
Hum wo hai jo Kismat par rote nahi
Jo rote hai unke kuchh hote nahi,
Mandabuddhi wala einstein tou paper wala kalaam kahlaya,
Apne kaarnamo se hai vishwa me ek alag pahchaan banaya,
Laakhon kasht aa jaye saamne ,
Hamara ishwar bada hai us har takleef ke aage .
Musibaton se baghna na humne kabhi seekha ,
Hamari nanhi akhiyon ne bahut kuch hai dekha.
Milkar humne ye thana hai,
Naam nahi hume etihaas banana hai,
Ab kisi bhi mushkil se na darna hai,
Kyuki Hume kuchh alag karna hai,
Kuchh alag karna hai..
Collab Poem by
Sonia Paruthi & Shrivastva MK.....…....✍
Apr 8, 2018
Apr 8, 2018 at 12:35 AM UTC
Me bhi tumhari tarah 1 aam insaan hu
Pareshaniya mene bhi dekhi hai, takleefe mene bhi sahi h
Kuch waqt k liye khud Ko kamzor bhi paya hai
Mera bhi man mushkilo ko dekhkar ghbraya hai,
Par inhi sab chizo se 1 tajurba paaya hai
Jisne Zindagi ko jeena ka 1 naya rang sikhaya hai
Sangharsh aur musibatein to jivan ka ek hissa hai
Aage bhi badna hai sangharsh bhi nahi krna hai ye to galat kissa hai
Sangharsh ke bina tajurba kaha se laoge
Aur tajurbe ke bina kya sikhoge aur sikhaoge
Ab waqt aa gaya hai tumhe himmat dikhani hogi,
Apni kathinaiyo par apni asfaltao par tumko Vijay Pani hogi
Apne irado ko or majbut banana hoga
Kuch karna hai kuch karna hai in jazbato ko dil me utarna hoga
Ye zindagi ki ladai hai tumhe khud hi ladni hogi
Apni kamiyo ko taqat banane ki kala tumhe sikhni hogi
Tum chaho to duniya jeet skte **
Apne har sapne ko haqueeqat me badal skte ** !!! :)
Dec 27, 2017
Dec 27, 2017 at 7:26 AM UTC
MANDIR-GHANTO SE GULAJAR HAI TAT TERA ANNA KA BHANDAR HAI MELO KE SAMAY AACHAR HAI SANSKRITIK EKATA KA VISTAR HAI. JISNE SIKHA DENA HI DENA USKO HAMASE KYA HAI LENA. MAN JITANA LAHULUHAN KAR DENA
BHIKH PRANO KI MANGE NA
Jun 28, 2014
Jun 28, 2014 at 9:23 AM UTC
Raatein katt gyi intezaar me tere
Han manta hu hum hai gunegaar tere
Tu he thi jisne mohabbat kri humse
Umar bezar jaegi intezaar me tere
Tere hoth kissi ko chu le aur mai zinda bhi rhu
Galat femi hai abhi dimaag me tere
intiha-e- ishq mujhko nadamat me mila
Raegaan he jaegi zindagi intezaar me tere
Jan 3, 2025
Jan 3, 2025 at 11:36 AM UTC
Tera naa hona utni takleef nehi deta jitna tera hoke naa hona takleef deta hai, Tuu door hii sahi thi phir kyon paas hone kaa ehsaas dila diya..
Teri majboriyon nee hume is kabil bana diya, anjaani mehafilon mai muskurana sikha diya..
Jate jate kuch haseen pal chod gye ** tum, in palon ne hume akele mai rona sikha diya..
Chaahate to rok lete tujhko, magar Zindagi kuch is kadar intehaan le rehe thi, kii sab kuch tha, magar phir bhi hume fakeer hone ka ehsaas dila rahi thi...
Majbooriyan humari bhi kuch aise thi, jinhone hume tumhare bina jeena sikha diya..
Kaun ** tum jisne hume pathar see phir insaan bana diya...
Oct 3, 2018
Oct 3, 2018 at 10:57 PM UTC
Mere is dil ki har dadhkan mein hai aapka basera,
Mere sajan jaldi se aajao baandh ke sehra.
Aapki dulhan ko hain zindagi bhar sirf aapka intezaar,
Is sacchi shiddat ka andaaza khuda bhi nahi laga sakta itni h beshumaar.
Itni pavitra aatma hai aapki ki dil karta niharti rahun,
Aapke bin ek pal bhi raha nahi jaata kya karun?
Ye dil sirf aapko talaashta,
Nahi hai koi khwaiysh ya abhilasha,
Nahi chahiye kuch sirf aap chahiye,
Nazar na lage kisi ki aapko jaan aye meriye.
Mehandi aapke naam ki mere haathon mein saje,
Maathe par sindoor humesha aapke haathon se lage.
Khushnaseeb hai ye bandi jisne aapko paaya,
Aap mile tou poora ** gya meri rooh ka saaya.
Mai mai na rahi hum bn gayi,
Aapki dadhkano se ye saanse chal rahi.
Le jao apni sangani ko apne sang,
Basi hai rooh aap mein mast malang.
Nov 13, 2019
Nov 13, 2019 at 2:04 AM UTC
Pehli baar jab tujhe dekha
To hairaan hi reh gaya
Ki khuda ne kuchh itna khubsurat bhi banaya tha ,
Ha, main toh bas dekhta hi reh gaya .
Tab tak zindagi bas kat rahi thi
Kabhi zindagi ke baare mein socha na tha,
Par uss din ek ek pal ,ek ek lamha
Kai saalo sa lag raha tha.
Vo teri do pal ki muskurahat
Mere liye saari zindagi ban gayi thi
Tune jo apna munh fera toh meri saanse Ruk gayi thi .
Kehte hain , ki pyaar usse kiya jaata hai jiski tum izzat kar sako ,
Jisne apne aap ko saabit kiya ** ,
Jo tumhari barabri ka ** .
Main uss waqt pehle number pe hua karta tha ,
Meri izzat aur rutba hua karta tha .
Uss waqt mauka tha fir bhi keh na paaya ,
Aaj keh raha hoon kyunki fir pata nahi mauka mile ya na mile.
Apr 22, 2020
Apr 22, 2020 at 4:51 AM UTC
Is dil ka to bus itna hi fasana hai..
Jisne apna mana wahi apna hai
Baki sub begana hai.
Jan 11, 2020
Jan 11, 2020 at 7:29 AM UTC