Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Sep 2015
MAA

Maa mamta ki phool hai,
maa pyaar ka samundar hai,
badal de dhukh ko bhi sukh mein,
Maa ke andar karuna ka wo bhandar hai,

Maa duniya ki janani hai,
Maa surya ki raushani hai ,
jinke paas maa hai wo nirdhan nahi ,kyoki
maa wo khushio ki lakshmi hai,

Maa in othon ki muskurahat hai,
Maa baccho ki taqdeer hai ,
Maa hai hamare path nirmata ,
maa us devi ki tasveer hai ,

                PITA

Pita ghar ka anushashan hai,
pita maa ka sindoor hai,
baccho ko sahi galat ki siksha dene wale ,
pita Wo shikshak ki tasveer hai ,

pita ghar ka maan hai ,
Pita us devta saman hai ,
baccho ke bhavishya ujwal karne wala ,
Pita wo takatwar vartamaan hai,

Pita maa ki muskurahat hai ,
Pita maa ki bindiya hai ,
jahan  bashta baccho ka jahan,
Pita ghar ki wo khushia hai ,

maat pita jinke paas wo sabse dhani hai,
na ** kabhi inhe dukh ye pran hume karni hai,
inka Sahara bankar kare inka samman ,
yehi hamare pooja yahi hamare bhagwaan..
Dedicated to my parents
MAI BAHV SUCHI UN BHAVO KI
JO BIKE SADDA HI BIN TOLE
TANHAI HU HAR US KHAT KI  JO
JO PADHA GYA HAI BIN KHOLE

HAR AANSU KO HAR PATTHAR TAK
PAHUNCHANE KI LACHAR HUK
MAI SAHAJ ARTH  UN SABDO KA
JO SUNE GYE HAI BIN BOLE

JO KABI NAHI BARSA KHUL KAR
HAR US BADA L KA PANI HU
LAV-KUSH KI TEER BINA GAYE
SITA KIA RAM KAHANI HU

MAI BHAV SUCHI UN BHAVO KI.
............

KI JINKE SAPNO KE TAJ MAHAL
BAN NE  SE PAHLE TUT GAYE
JI HAATHO ME DO HAATH KABHI
AANE  SE PAHLE CHUT GYE
DHARTI  PAR JINKE KHONE AUR
PAANE KI AJAB KAHANI HAI
KISHMAT KI DEVI MAAN GYE
PAR PRANAY DEVETA RUTH GYE

MAI MAILI CHADAR WALE US
KABIRA KI AMRIT VANI HU
LAV-KUSH KI TEER BINA GAYE
SITA KKI RAM KAHANI HU

KUCH KAHTE HAI MAI SEEKHA HU
APNE JAKHMO KO KHUDSEE KAR
KUCH JAAN GYE MAI HASHTA HU
BHEETAR BHEETAR ANSU PEEKAR

KUCH KAHTE HAI MAI HU VIRODH SE
UPJI EK KHUDAAR VIJAY
KUCH KAHTE HAI  MAI MARTA HU
KHUD ME JEEKAR  KHUD ME MARKAR
LEKIN MAI HAR CHATURI KI
SOCHI SAMJHI NADANI HU
LAV-KUSH KI TEER  BINA GAYE
SITA KI RAM KAHANI HU...

WRITTEN BY   ::::::  SHASHANK KUMAR DWIVEDI
Mai bhav suchi un bhavo ki
jo bike sada hi bin tole
Tanhai hu har us khat ki
jo padha gya h bin khole..

Har aanshu ko har patthar tak
pahuchane ki laachar huk
Mai sahaj arth un sabdo ka
jo sune gye h bin bole..

Jo kabhi nahi barsha khul kar
har uss badal ka paani hu
Lav-Kush ki teer bina gaye
Sita ki Ram kahani hu..

Ki jinke sapno ke Taj -Mahal
ban ne se pahle tut gaye
Jin haatho me do haath kabhi
aane se pahle chut gaye
Dharti par jinke khone aur
paane ki ajab kahani h
Kishmat ki devi maan gye
par pranay devta ruth gaye..

Mai maili chadar wale uss
Kabira ki amrit vaani hu
Lav-Kush ki teer bina gaye
Sita ki raam kahani hu..

Kuch kahte hai mai sikha hu
apne jakhmo ko khud see kar
Kuch jaan gaye mai hashta hu
bhitar bhitar aanshu peekar..

Kuch kahte hai mai virodh se
uppji ek khuddar vijay
Kuch kahte hai mai marta hu
khud me jeekar khud me markar..

Leekin mai har chaturai ki
sochi samjhi  naadani hu
Lav-Kush ki teer bina gaye
Sita ki Ram kahani hu
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro
Maa ki mamta ko dekh maut v
aage se hat jati hai
gar  maa apmanit hoti
dharti ki chaati fat jaati hai
ghar ko pura jeevan dekar
bechari maa kya pati hai
rukha sukha kha leti hai
paani *** kar soo jati hai

Jo maa jaisi devi ghar ke
mandir me nahi rakh sakte hai
wo lakho punya bhale kar le
inshan nahi ban sakte hai
maa jisko v jal de-de
wo paudha sandal ban jata hai
maa ke charno ko chukar paani
Gangajal ban jata hai

Maa ke anchal ne yugo-yugo se
Bhagwano ko pala hai
maa ke charno me jannat hai
Girijaghar aur Shivala hai
Himgiri jaisi unchai hai
sagar jaisi gahrai hai
dunia me jitni khushboo hai
maa ke anchal se aaye hai

Maa kabira ki sakhi hai
maa tulsi ki chaupai hai
meerabai ki padawali
khusru ki amar rubai hai
maa angan ki tulsi jaisi
pawan bargad ki chaya hai
maa ved richao ki garima
maa mahakavya ki maya hai

Maa maansarovar mamta ka
maa gomukh ki unchai hai
maa parivaro ka sangam hai
maa rishto ki gahrai hai
maa hari dubh hai dharti ki
maa keshar wali kyari hai
maa ki upma kewal maa hai
maa har ghar ki phulwari hai

Saato sur nartan karte jab
koi maa lori gaati hai
maa jis roti ko chu leti hai
wo prasad ban jati hai
maa hasti hai to dharti ka
jarra-jarra muskata hai
dekho to dur kshtiz ambar
dharti ko sheesh jhukata hai

Mana mere ghar ki deewaro me
chanda si murat hai
par mere man ke mandir me
bas kewal maa ki murat hai
maa saraswati lakshmi durga
ansuya mariyam sita hai
maa pawanta me ramcharit
manas me bhagwat geeta hai

Amma teri har baat mujhe
vardaan se badhkar lagti hai
he Maa teri surat mujhko
bhagwan se badhkar lagti hai
saare teerath ke punya jaha
mai un charno me leta hu
jinke koi santan nahi
mai un maawo ka beta hu

Har ghar me Maa ki puja **
Aisa sankalp uthata hu
Mai dunia ki har maa ke
Charno me ye sheesh jhukata hu.....
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Hai naman unko ki jo iss deh ko amaratwa dekar...
Iss jagat me shaurya ki ziwit kahani ** gye hai...
Hai naman unko ki jinke saamne bauna haimalya...
Jo dhara par gir pade par aashmani ** gye hai...
hai naman unko....

Likh chuki hai vidhi tumhari veerta k punya leke...
Vijay k udhgosh geeta k kathan tumko naman hai...
Sindoordaano ki gathao desh hit pratipatth yaowank dapan
tumko naman hai...
Bahan k bishwas, bhai k sakha, kul k sahare, pita k vrat k falit
Maa k nayan tumko naman hai...
Ki hai naman unko ki jinko mrityu paakar hui paawan...
Sikhar jinke Charan chukar or maani ** gye hai...

Ki hai naman unko ki jinke saamne bauna himalaya...
Jo dhara par gir pade par aashmani ** gye hai...
hai naman unko....
Copyright© Shashank K Dwivedi

email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Shrivastva MK Sep 2017
Kash! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
Log sirf unse dosti karte,
Jinke dilo me sirf mohabbat ke raag hote,

Kash! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
Sirf unse hi pyaar hota,
Jinke dilo ke liye wo khaas hote,

Kash ! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
To Pet sirf unka bharta,
Jo sach me us roti ke mohtaaz hote,

Kash ! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
To Na padti zarurat en hothon ki,
Kyoki sirf dilon se hi baat hote,

Kash! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
Har ghar mandir ban jata,
Aur Maat-pita us mandir ke bhagwan hote,

Kash! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
To na koi dharm hota aur na koi mazahab ,
Hum sab ek hote aur sabhi se pyar hote,

Kash ! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
Na milta phir kisi ko bhi dard bhare pal,
Na kavi hote aur nahi sayari bhare andaaz hote,

Kash ! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
Kaun puchhta en banawati chehare ko,
Tab to **** se nahi sirf ru'h se pyaar hote,
Sirf ru'h se pyaar hote...
Asia ke hum parinde, Aasma hai had hmari,
Jante hai chand suraj, Jid hmari zad hmari,

Hum whi jisne samander ki, lehar par baandh sadha,
Hum whi jinke ke liye din, rat ki upji na badha,

Hum ki jo dharti ko mata, maan kar samman dete,
Hum ki wo jo chalne se pehle, manjile pehchan lete,

Hum whi jo sunya main bhi, sunya rachte hain nirantar,
Hum whi jo roshni rakhte, hai sabki chaukhto par,
Un ujalo ka wahi, paigam le aye hai hum,

Hum hai desi hum hai desi hum hai desi,
Ha magar har desh chaye hai hum.

Zinda rehne ka asal andaz, Sikhlaye hai humne,
Zindgi hai zindgi ke, Baad samjhaya hai humne,

Humne batlaya ki, Kudrat ka asal andaz kya hai,
Rang kya hai roop kya hai, Mehak kya hai swad kya hai,

Humne duniya mohbat, Ka asar zinda kiya hai,
Hmne nafart ko gale mil, Mil ke sharminda kiya hai,

In tarrki ke khudao, Ne to ghar ko dar bnaya,
In pde khali makano, Ko hmi ne ghar bnaya,

Hum na aate to taraki, Is kadar na bol pati,
Hum na aate to ye duniya, Khidkiya na khol pati,
Hai yasoda ke yha par, devki jaye hai hum,

Hum hai desi hum hai desi hum hai desi,
Ha magar har desh chaye hai hum.
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro
Pta nahi kyu rukta nahi ashqon ka behna,

Jab bhi yaad aati hai aapki aankho se hain kehna.

Hoth kuch keh nahi paate,

Dil aur rooh bhi seham se jaate.

Chaha hai aapko chahat se bhi badhkar,

Khade hain khuda ke ghar jholi failakar.

Hey uparwale agar kabhi zindagi mein koi accha karam kiya **,

Toh jeevan ki saari khushiyan meri unke daaman mein bhar do.

Wo har us mukaam ko haasil kar le,

Jiske liye unhone khwaab dekhe.

Maa ji papa ji ko wo har khushi de paaye,

Jinke liye unhone sane sajaye.

Har gum seh jayenge hum khushi khushi,

Unke chehre par kabhi na aane dena koi mayusi.

Meri jaan basti hai unmein,

Unki dadhkano se chalti hain meri saansein.

Unke kadmo ki aahat ko ye dil dhundhta hai hardum,

Zindagi se bhi pyaare ** aap sanam.

Itne imtehaano ki ghadi se kyu guzarna padta hai khuda,

Pal pal ki duri bhi sahi nahi jaati kyu krte ** juda.

Haath jodkar fariyaad karte hain hum aapse ishwar,

Koi aanch na aane dena kabhi unpar.

Jab tak thoda dur hain hum,

Khayal rakhna unka tum.

Unke siva hai hi kaun humara,

Jodi humari humesha salamat rakhna.

Mehfooz rakhna unhe,

Bhut yaad aati hai kasam se.

Meri rooh mera dil meri jaan hain vo,

Hum khush hain khush dekh unko.
Main hoon dasi
Kisi ki naukrani nahin
Na koi kaharin
Main hoon devadasi
Devalayon ki shobha
Sada saanjh ko
Kanak deep jala
Devstuti kar
Khud ko bhagyawati samajhti
Main hoon devadasi
Yahi to hai mera garv
Wah din yaad hai aaj bhi
Raja ne jis din meri pratibha
Ko samjha
Mujhe devadasi ka pad saunpa
Mere premi mere devta
Prabhu
Sada raat ko jinke liye
Ghunghroo pehen naachti main
Lekin garima meri hai aisi
Aashiq mere anek
Naachti jab main
Mujhe dekh
Woh kya maza lootte
Mere punya ko chhente!
He prabhu
Jeeti hoon ab
Roz shoshan ke dar mein
Uddhar Karo naath
Tumhari patni nahin
Aakul bhagat ki to guhar suno
Uddhar Karo prabhu
Kehlaun mein
Punya devadasi!
Zindagi us khuda ki banai bisaat hai jis k hum sab mohre hai..
Uske dar tak k raaste me.. Nashukro k liye kohre hi kohre hai

Jo behtar khel jayega wohi jeet jayega..
Par ye hoga tabhi Jab woh behatreen akhlakh apnayega


Khelte khelte kai to fanah ** gaye..
Kai Sikandar..****** jaise tabah ** gaye..
Maiyyat se khali haath bahar le kar is duniya se wida ** gaye

Rubaru apne kafan se jo jeete ji ** gaye..
Mukammal jahan unhi ko mila..jo khuda ki panah me ** gaye

Zindagi me jinhone ilm rakha us khuda ko Yaad karna..
Namaze adda kari..Gurbani paddi.. Granth padde..Hukumname diye..
khuda ne hosle itne buland kr diye..Apne noor se sabhi manzilo..Jannat k raaste unhi k liye Roshan kar diye

Zindagi me Naam..Shoharat unhe bahut mili..jinme alfazo se khelne ha hunar aa gaya..
Sir chad k jinke ye inayat na boli..woh us khuda ko tah umra bha gaya😊
Recently I thought of writing about the topic because whenever I used to achieve something.. it keeps me grounded thinking that I m here just to play a specific role sent by that almighty n should do it quitely.
I always used to think.. n do so.. ma doings in this world r so pitty in front of the magnitude of this Bramhaand
Mujhe lagta hai k main is Nirakar Qaynat k beech me kahi lakta hua hoon.. Means to say dat me being on this planet is lyk hanging smwhr in the middle with no strings attached..Ma planet being part of a galaxy constituting of millions n millions of planets n stars like mine n dat galaxy is a part of a universe dat consists of millions of galaxies like our own..Milky Way
I think the above description cn help..keep us ol grounded n realise k ek zarra bhi nahi hai hum is adbhut aur vishalkaye system me

Thinking of the universe.. it comes to me like this.. inspite of ol the definitions available..

SHIVA..THE NIRAKAR AS WE DEFINE GOD..THE MOST ANCIENT & THE MOST POWERFUL FORCE OF THE UNIVERSE SITTING IN DHYAAN POSTURE N OL DESE PLANETS..STARS..GALAXIES BEING PART OF HIM
JUST IMAGINE..TRUST ME U WILL GET D PICTURE INSTANTLY

INSPITE OF THE FACT TO WHICH RELIGION I BELONG..M BEING HONEST HERE.. ACCORDING TO MA KNOWLEDGE.."GOD VISHNU".."GOD SHIVA" & THE SOUND "OM" R THE MOST ANCIENT & POWERFUL FORCES PRESENT IN THIS UNIVERSE

MERI YA MERE SHABDO KI ITNI AUKAT TOH NAHI.. K KHUDA KI QAYNAT PE KUCH LIKH SAKU
HAATH JUD RAHE HAI BAAR BAAR USKE SAJDE ME..
KOI ANJANE ME TERE MUREED SE GUNAH ** JAYE TOH BAKSH DIYO

LOG BHUL GAYE SAB KUCH ROZI ROTI KAMANE ME..
KOI BEMISAAL TAQAT LAGI HUI HAI TERE HAR KARAM KO TOLNE APNE PAIMANE PE
JIS DAULAT AUR JINKE LIYE TU AMBAAR LAGA RAHA HAI..
AAKHIR SAB MITTI K DHER HAI.. JIS SAB K LIYE TU APNA WAJOOD MITA RAHA HAI

KUDRAT KI TAQAT KA KOI TOD NAHI..
BRAMHAAND K BRAM KA BHI KOI JOD NAHI..
KYA KYA ISNE APNE BHITAR SAMAYA HAI..
KABHI KISSI NE ISKA ANTH BHI TO NAHI SUJHAYA HAI

PRITHVI PE HAR EK JEEV IS BRAMHAAND KA HI ANSH HAI..
KHASKAR INSANI DIMAAG USSI KA VANSH HAI..
JISSE KOI SAMAJH NA SAKA..750 GMS KI ITEM..QAYNAT KI SABSE WICHITRA CHEEZ HAI
MERA EXPERIENCE..YE JAB TAK CHALA..SABHI RISHTO KO TAAK PE RAKH KAR KOI KISSI KA ** NA SAKA..MERE DIL ME YEHI TEASE HAI😊
Veena Iyer Aug 2020
Zindagi bas yuhi chalti jaarahi
Jaise ** kisi shaayar ka tassavur
Jo kabhi rokey na rukey ,
Jiske anjaam se wo ** bekhabar
Jo Zara si hawa se behek jaaye
Jismein chehre lage kuch jaane se
Magar jinke iraade ** anjaaney

Jahaan har koi hai apne hi dhun mein diwaana
Koi Kare  kisi aur ka parwaa na
Bade bade ** imaaratein jahaan
Par jinke dil ** bas itna hi wahaan

Jahaan hoti hai itni aawaaz
Ki kisi ko na ** dhadkano ka aaghaas
Har koi Uss makaam ko pohachna chaahe
Jo aasmano tak ko bhi paar kar jaaye

Yeh dil bechaara Kare bhi to kya
Kisi ke armaan adhurey rehgaye bhi tho kya
Dil ki aawaaz koi na sune bhi tho kya
Koi hame wahin chod jaaye bhi tho kya

— The End —