Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
BJ Oct 2022
Ek chand gumsum sa hai
Door desh rehta  hai.

Jab b puch lo kyu udas hai
Koi baat nahi kehta hai
Kya kho gya hai uska jo door desh me dhoondta hai
Sans is zami me hai
To vha ku ghumta hai.
Muje fark yun padta hai
Ku Maine is chand ko haste hasate dekha hai.
Ladte jhagadte roothte manate dekha hai.
Us chand Ka taqiya b uski ankho ki nami mehsus karta hai.
Bhai jan to hai par aapi ammi ki kami mehsus karta hai.

Vo vha aasman ki talash me gya hai
Apne sapno k jahan ki talash me gya hai.

Ab use is shehar ki chamak b raas ni aati
Kabhi bethkar sochta hai k is shehar kash na aati.

Maa ki panv ki jameen ko jannat hai janta hai.
Jo samne se jhagdta tha phone pe ammi Ka Sab kha manta hai.

Us chand Ka dil b toota hai kisi se keh ni paya
Sab kuch saha Akele
Bas Roye bina reh na paya

Ab Dard kam hai Bas kasak baki hai
Khalish baqi  hai jakhm pe thoda namak Baqi hai.

Or Hume intezar hai k vo chand Jane ab Kab hasega

Kab utha k tasveer zindagi ki usme rang bharega

Chudi bindi mehndi libaz Sab shaunk thode kam ** gye hai
Ye Sab dekh k hairan hum ** gye hai

** skta hai ye likha b use na pasand aye
** skta hai nazarandaz kare ya nazarband kar jaye

Hume yakin hai vo Khud k  Masle hal kar legi
Sabr or dua dono mile h use aj ni to kal kar legi

Dhal jayega jald vo saya jo chand pe aj betha hai.
Ek chand gumsum sa hai
Door desh rehta  hai.
Ek chand gumsum sa hai
Door desh rehta  hai.
#bj
Jaya Sep 2020
Woh din bhi kya din the,
Jb hum sab saath hua krte the.
Ladate the jhagadte the,
Par har museebat me saath hua krte the.
Jab bhi koi udaas hota tha,
Mazak me hi ****, par koi to aa ke kaaran puch jaata tha.
Aaj bhale hi hamari najdikiya khatam ** gayi **,
Par hmari yaade nhi.
Marte dam tak yaad rhega vo saath bitaya hua pal.
Kyuki woh din bhi kya din the,
Jb hum sab saath hua krte the.....
                         — Jaya Upadhyay

— The End —