"jeewan" poems
Maa Yashoda ke tum dulaare
Tujhe tere bhakt pukare
Chale aao mere makhan chor
Tujhse bandhi hai preet ki dor
Mohini muskaan, chanchal ye maan
Teri pooja karoon mei jeewan bhar
Aayi hai teri madhur janam diwas
Meri hirdaye mei basay rahena, bas
Shama karna, har bhool ko mere Kanha
Kabhi mujhe bhool se bhool na jaana
Haath jhod kar, tujhe sumiroon
Yaad tujhe har pal karoon
Poori kar doh apne bhakto ki kami
Aap ko shubh ** ye janmastami...
©sim
Aug 14, 2017
Aug 14, 2017 at 2:45 AM UTC
Tu Chaahe, Tu Chaahe, Ya Na,
(Whether you wish or don’t,)
Main Jiyunga, Haan Main, Jiyunga.
(I will live, yes I will.)
Jeewan Ka Har Maza,
(Each fun of life,)
Main Ji Bhar Ke Lutaunga,
(I will enjoy wholly,)
Tune Diya Hai Jo Dand,
(The punishment which you have given,)
Main Karunga Ise Bhang.
(I will dismiss it.)
Tu Chaahe, Tu Chaahe, Ya Na,
(Whether you wish or don’t,)
Main Jiyunga, Haan Main, Jiyunga.
(I will live, yes I will.)
Tu Chaahe, Tu Chaahe, Ya Na,
(Whether you wish or don’t,)
Main Kab Jiyunga, Kab Main Jiyunga.
(When will I live, When will I live.)
Jeewan Mein Kya Maza,
(What fun life would be,)
Bin Tere Jo Bitaunga.
(If at all I stop believing in you.)
Woh Jeena Kya Jeena,
(Would that be a life at all,)
Har Pal ** Jab Saza!
(When each moment I spend is a punishment!)
To Tu Chhaaja, Haan Tu Chhaaja,
(So be the shade over me, yes please,)
Main Phir Jiyunga, Haan Main Jiyunga.
(I will live again, yes I will.)
Tu Chhaaja, Haan Tu Chhaaja,
(Be the shade over me, yes please,)
Phir Main Jiyunga, Haan Main, Jiyunga. (And then I’ll live again.)
Oct 30, 2016
Oct 30, 2016 at 3:28 AM UTC
Tu Chaahe, Tu Chaahe, Ya Na, (Whether you wish or don’t,)
Main Jiyunga, Haan Main, Jiyunga. (I will live, yes I will.)
Jeewan Ka Har Maza, (Each fun of life,)
Main Ji Bhar Ke Lutaunga, (I will enjoy wholly,)
Tune Diya Hai Jo Dand, (The punishment which you have given,)
Main Karunga Ise Bhang. (I will dismiss it.)
Tu Chaahe, Tu Chaahe, Ya Na, (Whether you wish or don’t,)
Main Jiyunga, Haan Main, Jiyunga. (I will live, yes I will.)
Tu Chaahe, Tu Chaahe, Ya Na, (Whether you wish or don’t,)
Main Kab Jiyunga, Kab Main Jiyunga. (When I'll live, When will I live.)
Jeewan Mein Kya Maza, (What sense is there in life,)
Bin Tere Jo Bitaunga. (If I stop believing in you.)
Woh Jeena Kya Jeena, (Would that be a life at all,)
Har Pal ** Jab Saza! (When each moment I spend is a punishment!)
To Tu Chhaaja, Haan Tu Chhaaja, (So be the shade over me, yes please,)
Main Phir Jiyunga, Haan Main Jiyunga. (I will live again, yes I will.)
To Tu Chhaaja, Ab Tu Chhaaja, (You spread over me, now please,)
Phir Main Jiyunga, Haan Main, Jiyunga. (And I will live again.)
Jul 13, 2016
Jul 13, 2016 at 6:48 AM UTC
Fasana bayan kr raha hoon apni rooh k hoslo ka..
Mujh gareeb..nacheez ko manzilo ka nishan mila..ye karam tha mere kuch azeez doston ka
Apne hoslo k dum pe.. Jhoojhta raha Zindagi se.. Main subah shaam.. din raat..
Hunar ki kalam se hi likhoonga apni taqdeer..Jigar me dhaan li thi ye baat
Zakhm khata raha Dil par bahut waqt tak.. Walid ka kaha maan kar..
K baccha bana rahega toh bacha rahega..saare sabak zeher ki tarah peeta raha..sabhi ko apna maan kar
Seekhne ki koi umra nahi yaaro.. Har pal ye zindagi naya sabak seekhayegi..
Dil khol k jholi bhar lena..jeewan roopi kashti yehi paar lagayegi
Mushqil daur me kai martaba mehsoos ki.. Maine khuda ki maujoodgi apni bagal me..
Uska sehlana..mere sir aur meri kamar me..
Kandha numa sirhana diya kai dafa usne sisakti rooh ko..
Dilasa diya..Tujhe mazboot banane ko imtihan le raha hoon tera intaha tak..Tu hosla rakh..Main hoon toh!
Waqt ne bhar diya sabhi zakhmo ko marham bankar..
Namak jo baha tha aakhon se..woh mere pairo ki zameen..sir ki chat ban gaya hai chankar
Har pal shukrana karta hu khuda teri rehmat ka..
Dua kubul krta hai tu sabhi ki apne dar pe..karz hum adaa kr nahi sakte..teri is zehmat ka
Meri sabhi doston ko ek maskeen hidayat hai..
Kissi bhi cheez se Insaani zindagi ki kimat kam hai..kyu issi ki bahutayat hai..
Manzilo ka nasha hai toh chamkao apne hunar ko is kadar..
Jhuka do un sabhi namurado ko..lage honge jo hosle **** karne tumhare..zindagi ki har dagar par😊
Apr 25, 2020
Apr 25, 2020 at 4:58 AM UTC
Meri ankahi amaanat, meri eklauti ibaadat,
Meri jarurat, tu hi to hai meri zindagi,
Jakhmo ka marham, mera naadaan bachpan,
Meri hasi, tu hi to hai meri amaadgi.
Meri pahli ummid, mera akhiri kadam,
Meri parchhai, tu hi to hai meri baarish,
Har sawaal ka jawaab, mera har khwaab,
Meri neend, tu hi to hai meri khwahish.
Tu hi to hai jiske liye
Main bejaan ab saanse leta hoon,
Rukhi zindagi ki jameen mein
Tere hi to waqt ke beej bota hoon.
Tu hi to hai jiske liye
Duniya mein apni baat rakhta hoon,
Begairat duniya ki baaraat mein
Khushiyo ki sougaat rakhta hoon.
En bejaar chaar deewaaro ko
Tu hi to hai jo ghar banaati hai,
Tu hi to hai mera aaj, aane waala kal
Tu hi to meri jeewan saathi hai.
~abhs
Apr 19, 2020
Apr 19, 2020 at 3:14 PM UTC