Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"jaungi" poems
Maa teri meri yadein boht achi thi Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi, Yaad hai mujhe aaj bhi wo pal maa Bimaar mai hoti thi taklif tujhe hua karti thi, Tu kabhi na bhuli mere khane ka samey maa... Qki maa tu hi toh khane ki plate mere aggey piche ghumaya karti thi, Wo teri aloo, pyaz wali khaniya maa Jisko sunn k sach mai maan liya karti thi, Kya khub sundarta thi tere bhole se chehre pay maa... Jo meri saheliya bhi gunn tera hi gaya karti thi, Maa ...qki teri meri yadein boht achi thi Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi, Jab pehli baar un chote se hathon se chai bnayi thi maine Yaad hai , tu sab rishtedaro mai yahi gaya karti thi, Har baat k liye zidd bht ki Maine tujhse Par aakhir mai meri khushi k liye haa tu hi bharrti thi, Bht ladai ki sabne mere liye tujhse maa Lekin har pal sath khadi tu hi mila karti thi, Maa teri meri yadein boht achi thi Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi, Bht si horror movies bhi dekhi tere sath maa aur tu kahani ka pehlu phele hi bta diya karti thi, Bht hase bhi sath mai roye bhi sath mai Aaj jab dekhti hu toh ansu apne aap nikal k beh jate hai, Bachpana samjho ya nadaniya samjho Par tere hi aggey hua karti thi, Tu Maa thi ya meri dost thi Qki tu bhi toh bacho jaise harketin kiya karti thi, Aaj bhi wahi tera chehra dikhta hai mujhe maa , teri wahi awaaz sunayi deti hai, Lekin bevas tu hai ya mai hu aisa mnn mera kehta hai maa, Qki maa teri meri yadein bht achi thi Sach mai Tu jo bhi kehti thi bht sachi thi. Wapas se wahi samhe jeena chahti hu tere sath maa.. Par sochti hu tu yaha ayegi ya mai waha au maa, Sach Drr lagta hai duniya se maa ab Jee paungi ya tut jaungi mai ab, Kitni bholi thi maa tu humesha se Qki jhuti ya sachi sab maan liya karti thi, Yaad hai mujhe aaj bhi jab scooty meri band hoti thi Toh kick tu hi mara karti thi, Wah kya paranthe aur rajma banati thi maa tu Jo saheliya hi sabse phele khaya karti thi, Itni sachi aur achi maa thi tu Warna mujh jaise nalayak bache ko tu hi sambhala karti thi, Maa dubara se wo maa sabd tere aggey tujhe bolna chahti hu fir se Kya tu dubara janam legi milne k liye mujhse, Ek baar toh ake gale lga le maa mujhko Fir se wahi pyara bacha bnke dikhaungi tujhko, Yaad hai maa mumma's lil girl ka tattoo maine bnwaya tha tere liye Lekin jab ghar pauchi toh dekhte hi dil baith gya tha mere liye Maa tu sda zinda rahegi dil mai mere Qki Sach keh rahi hu mera wajood hi hai tere liye, Maa bharosa kar mera bharosa nahi todungi tera Ab aa hi jana maa bacha hu tera.
0
May 14, 2020
May 14, 2020 at 12:18 PM UTC
Maa teri yadein....

Continue reading...
54
Meri zindgi ka hissa nhi hai mera pyaar.. Whi hai mere jeevan ka adhaar..... Jo dia mene tumhe.... Tum jtaate ** uska abhaar.... ‎are meri jaan... Smjho na... Ye pyaar hai nahi hai koi vyapaar..... ‎tu hai jese.... Baadlo me behtaa chand.... ‎bchpan me wo sath chalta suraj.... ‎baarish ki wo pehli boond.... ‎sukun itna ke teri awaaj sun.. lu me apni aankhe mund.... ‎maanti hu hum alag hai or thodhe se alag hai vichaar.... ‎par jo do oppsite ko ek krde.... Whi to hota hai na pyaar.... ‎or pyaar hi hai mere jeevan ka adhaar.... ‎kuch tum smjh jana kuch me smjh jaungi.... ‎2 kadam tum bdhana me 10 kadam aage aa jaungi.... ‎bina kisi mol bhaav ke tumse pyaar jtaungi.... ‎par thodha sa tum mujhe smjhna.... ‎meri ajaad soch ko bandhno se mat jkdhna.... ‎yu jra jra c baat pe... Dunia ke bnaaye jhuthe riwaaj se.... yu logo ki kahi baato se.... ‎tum is paak pyaar ko mere mat prkhna.... ‎jab hogi chandni raat me tumhaari chandni me bhigungi.... ‎par amaavas ki us raat me banke aaungi tumhaare dil ka kraar... ‎suno... ‎meri zindgi ka hissaa nahi hai pyaar.... ‎ye to hai mere jeevan ka adhaar Mandeep
0
Dec 3, 2020
Dec 3, 2020 at 10:52 AM UTC
Pyaar hi hai jeevan ka adhaar
Bada mushkil tha woh Lamha tere dar se nikal ne ka... Ke ruqsat ** rahi thi main magar ek juz wahin par tha... Thi aankhein aansuon se pur qadam aage hi na badhta... Nazar mein kuch nahi tha Dil mera shiddat ke ranjh mein tha... Kuch aisi kaifiyat mein chal padi Chalna muqaddar tha... Kabhi lautungi main dar pe mere Zehn mein mere yehi chalta... Yun hi chalti rahi, main *** kahan par Yeh na kuch socha... Jo peeche dekha maine ghar bohot hi door tha choota... Ke ab to raasta bhi ghar ka mere mujh ko naa dikhta... Ke kaise jaungi main ghar ko mere mujh ko na tha pata... Mere atraaf mein bas tha bayabaan aur veeraana... Zamane bhar ki thokar ka Yeh pehla sa tajurbah tha... Safar se thak chuki thi main aur mayoosi ka aalam tha Par Tu ne chod na mujh ko diya Bebas besahara..... Achanak dasht o sehra mein woh aaya ek masiha tha... Badi hi door se dikhta mujhe us shaks ka saaya... Usi ne rehnumaai ki sahi simt us ne dikhlaya... Khushi se jhoom uthi main jo pata ghar jaane ka paaya... Mujhe jaana kahan aur kis tarah Yeh ramz tha pehchaana... Ke saathi ban rahe the "Ain" tere Na Tanha aalam tha... Safar ab khushnuma tha har taraf manzar suhana tha.. Ke ab bhi chal rahi *** par safar ab na tha anjaana..
0
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 6:40 AM UTC
Woh lamha -e- rukhsat
Intazaar hai .. Us pal ka Jab phele ki tarah apne diye , Naam se mujhe pukaroge, Dudkar mere karib aakar kas ke Gale Lagaoge. Intazaar hai.. Us pal ka Jab pyaar se mujhe phela nivala khilaoge. Intazaar hai.. Us pal ka Jab tumhare kande pe sir , Rak ke ganto Tak khoo jaungi. Intazaar hai .. Us pal ka Jab apni galtiyu pe , Sorry sorry bol kar mujhe manaoge . Intazaar hai... Us pal ka Jab apna Toda sa qaut sirf mere liye nikaloge. Intazaar hai ... Us pal ka Jab phele ki tarah pyaar se Aapne diye naam se mujhe pukaroge , Dur rehke bhi paas hu, Aisa kah jaoge . Intazaar hai ....
0
Apr 3, 2020
Apr 3, 2020 at 2:05 AM UTC
INTAZAAR....