Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"jarurat" poems
Ek muskaan sa ek saath sa Bhai hai wo is naadan ka Har pal har ek pal jisne haathon ko thame rakha Durr hokar bhi jisne zindagi bhar ka saath rakha Naa chahte hue bhi jisne Humari har ek jarurat ka khayal rakha.. Wahi toh h ek muskan sa ek armaan sa Pyaara bhai h wo is nadaan ka Baaton ki gudgudi se hasana Ruthne par haskar manana Pal pal ki khushi se Naa jaane kitne ka din banana Haa muskan sa, nahe khawaab sa Bhai h wo is naadan ka Is naadan ne bhi socha na tha ki aisa bhi hota hai Koi itna durr hokar bhi itni saralta se apnata hai Chand baaton se Kisi anjaan ko apna bananta hai Ek muskan sa, hamesha rahe muskan sa pyaara pyaara bhai h wo is naadan ka.....
0
Aug 30, 2018
Aug 30, 2018 at 2:28 AM UTC
Ek muskan sa, ek saath sa( happy birthday bhai)...
Kar himmat or aage badh, Bina dare, bina thake bas chal de tu, Mushkile hai raah me, to aane de, Kuch kar gujrne ki chah ko jagne de. Tujhme hai wo kabiliyat, Tujhme hai wo junoon, Tu jo chahta h wo kar ke to dekh, Milega tuje 1 alag hi sukun. log kya kahenge ye sochna chod de, Abhi bhi moka hai, apni kismat ko badal le, Are Heera hai tu, bas khud ko tarashne ki jaruart hai, Apne andar chupi kabiliyat ko pehchanne ki jarurat hai, Par sirf, Apni kabiliyat ya apne hunar ko pehchan lena hi kafi nahi hoga, Ye hoonar 1 podha hai, jise tuje apni mehnat ke pasine se Sichna hoga, fir dekh, 1 din tera ye hoonar hi teri pehchan ban jaega. Aur wo din door nahi, jab hazaro logo ke liye tu ek misaal ban jaega !!! :) Written By: Shivam Porwal
0
Jan 24, 2018
Jan 24, 2018 at 12:59 AM UTC
Himmat (Courage for Success)
Meri ankahi amaanat, meri eklauti ibaadat, Meri jarurat, tu hi to hai meri zindagi, Jakhmo ka marham, mera naadaan bachpan, Meri hasi, tu hi to hai meri amaadgi. Meri pahli ummid, mera akhiri kadam, Meri parchhai, tu hi to hai meri baarish, Har sawaal ka jawaab, mera har khwaab, Meri neend, tu hi to hai meri khwahish. Tu hi to hai jiske liye Main bejaan ab saanse leta hoon, Rukhi zindagi ki jameen mein Tere hi to waqt ke beej bota hoon. Tu hi to hai jiske liye Duniya mein apni baat rakhta hoon, Begairat duniya ki baaraat mein Khushiyo ki sougaat rakhta hoon. En bejaar chaar deewaaro ko Tu hi to hai jo ghar banaati hai, Tu hi to hai mera aaj, aane waala kal Tu hi to meri jeewan saathi hai. ~abhs
0
Apr 19, 2020
Apr 19, 2020 at 3:14 PM UTC
जीवन साथी
Mausam bsh aate jata h Kbhi khusiyon ki bahaar lata h to kabhi aanshuon ka sehelab Kbhi mithi si muskaan To kbhi udasiyon ka toofan Jo saari khusiyon ko apne saath bha kr le jata h Mausam to bsh bdlne ka naam hota h Wo kbhi v smaan nhi rhta Qki esh jagat ka ek maatr sch h bdlaao Chahe wo bdlaao mausam ka ** waqt ka ** haalat ka ** taqdeer ka ** ya fir khudh insaan ka Jese sardi k waqt kmbl ki garmi ka jarurat hota h pr garmi K waqt wo jarurat bdl jata h Tik wese hi insaano k mijaj m bdlaao aata h or unki soch m v Jo waqt K saath nhi bdlte wo piche hi rh jaate h Kehene ka arth bsh etna h badlaao zindagi ka mull aadhar h Or mausam v usse pre nhi h
0
May 22, 2021
May 22, 2021 at 7:19 AM UTC
Mausam
Agar main ishwar hota To sab kuchh banata bus tujhe chod ke. Tu hi to kahta hai main brahmand banaya per pachtaye to tab jab main tujhe banaya. Vaise sahi kahta hai tu main hindu banaya, musalman banaya, sikh banaya, or esai bhi banaya bus insan banaa diya hota to inke jarurat nahin padati. Agar main ishwar hota to tere man mein mere hone ka bhram paida na hone deta. Agar Main Ishwar Hota…
0
Oct 10, 2020
Oct 10, 2020 at 4:28 AM UTC
Agar Main Ishwar Hota