Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Hira Feb 2015
Meri zindgi
meri har khushi
meri chahten, tm he to thay
mje tm he say muhabbat thee
tm he to meri jan thay
koi bta day tm ko b
k tm ** ab tk na-ashna
tm nay mje tora hae
mera dil kahan tm nay chora hae
mje tm nay chorna he tha to!
q mje tm nae chaha tha!
q mje tm nay jana tha!
main aj kahay deti hn
tm ko main ab bhool jaon ge
tm ko kbi na staaon ge
kbi main yad na aon ge
tm thay meri zindgi
muhabbat ki thee tm say he
aj kahay deti hn main ab
tm say mjko ** gye nfrat
tm say muhabbat khtm hui
toot gaye sb naate rishte
dil say kahay deti hn main ab
lay li jga nfrat nay..
Muhabbat kho gye kahen..
Hira malik Sep 2019
Muhabbat chaiay, lazim hai kay
Saans aay aur jay
Jahan muhabbat chalay, hawa ki manind
Kay buhat tapash hai
Aur dil ki zameen mun kholay haanp rahi hai
Aur nazar kaheen poshida hai
Dil aur bahar
Har taraf
Ikk hi hawa hai
Loo ki manind
Larazti, sansanati ***
Jaisay haddion ko murjha day
Aur thara day saans ki simt ko!!

Kaheen bhe nhn, kuch bhe nhn
Jahan jaon, jahan tharon
Wahan kuch bhe nhn, kabhi bhe nhn.
Ehsaas kahan hai? Yay dil tou ab ikk pinjra hai
Jahan ka makeen bolay tou maut, saans bhe maut, harkat bhe kafan, lafz bhe khatam!

Kuch hai, in dinon, kay shaam ka ilhaam
Meray dil kay darwazon pay
Khafeef ahat say bhe
Maut paida karta hai
Aur iska paida hona
Meray wajood main
Ikk Ah ban kar raqs karta hai.
Kuch hai
Kuch tou hai
Iss shaam main , aaj kal!

Rung-o- boo ki nami, uss ehsaas ka sarood
Kaheen ab samandar paar sakoot ki chadar orhay baitha hai
Aur idhar mera wajood
Bass akhri saans ikk umeed ki aas pay laita thahar sa gya hai...

— The End —