Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
BJ Oct 2022
Ek chand gumsum sa hai
Door desh rehta  hai.

Jab b puch lo kyu udas hai
Koi baat nahi kehta hai
Kya kho gya hai uska jo door desh me dhoondta hai
Sans is zami me hai
To vha ku ghumta hai.
Muje fark yun padta hai
Ku Maine is chand ko haste hasate dekha hai.
Ladte jhagadte roothte manate dekha hai.
Us chand Ka taqiya b uski ankho ki nami mehsus karta hai.
Bhai jan to hai par aapi ammi ki kami mehsus karta hai.

Vo vha aasman ki talash me gya hai
Apne sapno k jahan ki talash me gya hai.

Ab use is shehar ki chamak b raas ni aati
Kabhi bethkar sochta hai k is shehar kash na aati.

Maa ki panv ki jameen ko jannat hai janta hai.
Jo samne se jhagdta tha phone pe ammi Ka Sab kha manta hai.

Us chand Ka dil b toota hai kisi se keh ni paya
Sab kuch saha Akele
Bas Roye bina reh na paya

Ab Dard kam hai Bas kasak baki hai
Khalish baqi  hai jakhm pe thoda namak Baqi hai.

Or Hume intezar hai k vo chand Jane ab Kab hasega

Kab utha k tasveer zindagi ki usme rang bharega

Chudi bindi mehndi libaz Sab shaunk thode kam ** gye hai
Ye Sab dekh k hairan hum ** gye hai

** skta hai ye likha b use na pasand aye
** skta hai nazarandaz kare ya nazarband kar jaye

Hume yakin hai vo Khud k  Masle hal kar legi
Sabr or dua dono mile h use aj ni to kal kar legi

Dhal jayega jald vo saya jo chand pe aj betha hai.
Ek chand gumsum sa hai
Door desh rehta  hai.
Ek chand gumsum sa hai
Door desh rehta  hai.
#bj
misterN Feb 2019
Dekhna chahata hu  woh haseen natnai kau.  
Jau kabhie kabhie aap bewaqt
Phulatai hau.  

Na jaana kab deddar hauga woh daerai ki.  Woh Nazuuk sai haashiye ki.

Ki jald sai jald sai jald hum un be ahang  natnai mai  khaid hau jayai.

Aur mat tadpau mujhe aab.
Aab tau aap sar utuaa hi dau aur hammai woh haseen manzar kai dedaar kara hi dau.
Jab aap humare ** pass,

Har lamha hai bhut khaas.



Har ehsaas bhi sun leti hain ye dadhkane,

Aap zindagi ** humarai aapke siwa kuch nahi chahiye.



Aap ** tou sab kuch hai humare pass,

Dil se dil ke jude hain gehre ehsaas.



Paaya apne rabb ko aap mein,

Aapko dekar de diya sab kuch us rab ne.



Har dua mein shaamil ** aap,

Rooh ki awaaz ko meelon dur se bhi lete ** bhaap.



Is jahan mein aapke jaisa koi nahi,

Samjh jaate ** wo bhi jo baat ankahi.



Sabse khubsurat tarasha hai aapko us uparwale ne.

Aapke saamne tou wo chaand bhi feeka lage.



Aapke bina soona hai mera jahan jaanu,

Aapke siwa us khuda se mai aur kya mangu.



Zindagi ko zindagi mil gayi,

Chahiye aur kuch bhi nahi.



Is banjaare dil ko us dil ka mila thikana,

Jannat se bhi khubsurat hai aapka aana.



Sir jhuka kar karu mai aapke saamne sajda,

Ibadat ** jayegi qubool aap ** mere khuda.



Meri saadgi, meri khushi,

Zinda hai sirf aapse hi.



Baahon mein chupa le jaana,

Intezaar rhega aap bhi doli leke jald hi aana.



Dulhan bn aapki mil jayegi har khushi,

Aapke angana aaungi chali.



Mehandi wale haathon ki chudi hai aapse,

Saja dena maang humari apne naam ke kumkum se.



Basau mai aapke sang pyaara sa aashiyana,

Hai ek dil ka khubsurat sa sapna.



Meri saanse chalti hain un dadhkano se,

Mera sab kuch hai sirf aapke waaste.



Dil, jaan , rooh sirf aapke naam.

Har janam bs aapki hi banu bheja khuda ko paigaam.
Zaina khalid Jun 2019
Kabhe toh voh din bhe aiga
Jab sab kuch guzar jaiga
Jab hum na akhae khole ge
Na toh kuch bolege
Voh din jald he aiga

Us din ka intezaar kabse hai
Zindagi mai kuch naya paane ka intezaar kabse hai

Voh din jab aiga
Har koi saath ** jaiga
Roh kar shayad ek he baath bataiga
Ke voh mere kitne paas the
Ke voh mere kitne khaas the
Shayad sabke  akho mai aasu honge
Shayad sabke yaado me mai
Shayad koi roh raha hoga
Zindagi mai kuch kho raha hoga

Har ek jo merai paas the
Aaj voh ek ahsaas hai
Jo bhe merai khaas the
Voh dil mai merai paas hai

Jab tum roh rahe hoge
Dukh mai kho rahe hoge
Toh tumko dekh kar mai muskuraoge
Dil mai chupe gam ko chupaoge
Aur ek he baath kah kar jaoge

YEH WAQT BHE JALD HE GUZAR JAIGA
This is my first poem
Aslam M Aug 2019
Ai Zindagi
   Mujh Sai Khafaa Na Hauna |
Bas Thoda Sa Bhataak Gaya Hu
   Yeh Lambhi Rahau Mai.
Kabhi Idhaar Chalaa
  Tau Kabhi Udhaar
Mili Tau Bas Jalaan Aur Nafraat.
   Kabhie Mithi Kanjaar Sai Vaar
Tau Kabhi Jhoota Sa Woh Pyaar.
Aab Jald Mai Wapaas Aa Raha Hu.
  Khuch  Aur Waq Intezaar Kar lai Tu.
Aslam M Feb 2020
Tu Nai Kaisee Azmayeez Mai
Daal Diya Ya Rab.

Siwai Intezaar Kai Aur Khuch Nahi
Kar Saktai Hum Sab.  

Pura Barausaa Hai Tuj Par
Puri Umeed Hai Tuj Par.  

Bas Aur Maat Tadpaa Unhai.
Bulai Lai Jald Sai Jald Terai Paas.
Arti Sep 2018
Hum jise  sach man rahe the
Wo to  tha  ek vaham
apno ne hi maar Diya Varna
Gairo mein Kya  tha dum
Bhool Hui sabhi ko samaj ke apna
Wo to gulam samajke todte Gaye sapna
Janam le liya Sirf itna tha gunah
Iski saari umra milti rahi saja
Socha tha hai humara hak, hai humara bhi mahatva
Badi der lagi samajne mein nahi humara koi astitva
Yeh aisi duniya jisme prem se bada aham
Saari umra jise sachchai samja wo to nikala bhram
E dile nadaan na karna koi ummeed
Jald hi seekh le  yeh hi hai jag ki reet
Jane kis Kalam se likhi khuda ne hamari kismat
Saari Zindagi pyaar na Mila mili hai sirf nafrat
Than li hai ab khud se muh na modenge
Jo bahar se na Mila use ander hi khojenge
Sk Abdul Aziz Oct 2021
Tanhayi say rishtay purana hai hamara
Meray buray waqt may bhi yehi banti hai mera sahara
Kabhi mujhay dhokha nahi deti
Hamesha saath nibhati hai
Meray har dard ko samajhti hai
Din ki shuruwaat uus say hoti hai
Raatko uski aagosh may khudko saup deta hoon
Hamara ishq ab apni bulandi par hai
Bohot jald hamara nikah hoga
(Hindi and Urdu)

English Translation

My relationship with loneliness goes a long way back
It's my only support during my times of distress
It never betrays me
Always faithfully supports and maintains our relationship
It understands every bit of pain that I feel
My day begins with her
And at night I surrender and submit myself to her embrace
Our love is now at its peak
Very soon we'll get married

— The End —