Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
JAMIL HUSSAIN Oct 2016
Apni Dhun Mein Rehta Hoon
Main Bhi Tere Jaisa Hoon

Roaming within my own tunes I am
O’ just like you I am


Oh Pichhlee Rut Ke Saathi
Abke Baras Main Tanha Hoon

O’ friend of the past season
This year completely alone I am


Teri Gali Mein Sara Din
Dukh Ke Kankar Chunta Hoon

Whole day, in your street
Collecting the pebbles of sorrows I am


Mera Diya Jalaye Kuan
Main Tera Khali Kamra Hoon

Who will set my lamp alight?
O’ your vacated room I am


Apni Leher Hai Apna Rog
Dariya Hoon Aur Pyasaa Hoon

My own wave is the malady
Ocean I am and yet so thirsty I am


Aati Rut Mujhe Royegi
Jaati Rut Ka Jhonka Hoon*

Coming season will weep for me
O’ breeze of the ending season I am


— Translated by Jamil Hussain, Poet Nasir Kazmi, Sung by Ghulam Ali
venkatesh anand Sep 2018
Ye gam unka dia hua tohfa hai
Jo hum apne ankhon se ansk bahaye firte hain
Ye gam unka dia hua tohfa hai
Jo hum apne dil me chupaaye rkhte hain
Ye gam unka dia hua tohfa hai
Jo hum khud ko unki bewafai ki aag me jalaye rhte hain
Ye gam unka dia hua tohfa hai
Jo hum khud ko baarish me bheegaye firte hain
Ye gam unka dia hua tohfa hai
Jo hum khud ko iss begaani duniya me lootaye firte hain
DIWALI MUBARAK ** HAR EK KO

D.. Deep jalaye shraddha ka aaj;

I.. Iski jyot se, roshan kare sara samaaj; aur charo aur prem pasare.

W.. Wada kare, neki ki aur pyar ki rah pe chale, hardum.

A.. Aakar de ek aise jahan ko, jaha pyar hi pyar **, shraddha aur swabhimaan **.

L.. Lau sada jalti rahe har dil mein, shraddha, sacchai aur prem ki.

I..India ka, hamare desh ka, naam roshan kare, desh ka har baccha.

Tathastu.

Armin Dutia Motashaw
Har haal mein hum behaal rahe  
Gham-e-jaan se har dam ndhaal rahe  

Tumhari chahat ki rahguzar mein  
Kabhi khaak, kabhi paimaal rahe  

Na khwab bane, na taabeer mili  
Bas azaab hi azaab ke hamaal rahe  

Dhoop sehte guzargayi sadiyaan  
Shab-e-hijr ke hi sawaal rahe  

Mohabbat ke saahil bhi door the  
Aur dil ke toofaan be-zawaal rahe  

Shajar-e-umeed ka saaya na mila  
Hum faseel-e-gham ke kamaal rahe  

Jo charaagh jalaye the aarzu ke  
Wahi aandhiyon mein bemisaal rahe  

Rah-e-wafa mein the zakhm beshumaar  
Phir bhi hanste rahe, lajawab rahe  

Humne socha tha dil ka dard sunayein  
Magar lab pe qufl, aur sawaal rahe  

Har shaam ne tanhai ka zehar diya  
Har raat ke geet bhi malaal rahe

— The End —