Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
jay shikhawat Jun 2014
aga hai josh
jagi kismat nayi
apne hi hatthon se likhunga kismat abhi
bhale hi paise se fakeer
par paise se gareebh nhi

hai hathon mai dum tere
toh uth!!
kyonki
bhagwan hai tera zameer
teri kismat nahi!!

namumkin naam ki aisi yahan koi cheez nhi
milegi manzil
chahe karibh nhi
agar hui teri haar
toh maanle ye baat banda tu hi hai iska zimmedar
koi aur nhi

jo kuch chahega tu
wo bhi paa jayega tu
kr khud pe yakeen jeet jayega tu
haan jeet jayega tu
Juwayriya Sep 2021
Khwaab dekho.
Khuli aankhon se ya band, fark nahin.

Khwaab humein kahan se kahan leja chhodti hai.
Jo kabhi dekha nahin woh dikha deti hai.
Jis cheez ko kabhi chhua na **, use bhi mehsoos karwa deti hai.

Kabhi paseene mein bheega jagaati hai,
toh kabhi apni ulfat se gaalon ko laal kar deti hai.

Cheekh kar uthaa hai koi toh koi muskuraate.

Koi toh khatam hone ka naam nahin leta.
Kisi ke beech mein kat jaane ka gila hai rehta.

Mujhe toh hamesha khatam hone ka intezaar hi raha ------ uske aane tak.
Bura dekha, bura jaana, bure ne ghere rakha ab tak.

Mein ne seene par sar rakha,
phir usne mere haath par apna bada magar narm haath rakha.

Usko meri nazuk lambi ungliyon se khelna achha laga.
Mujhe mohabbat jatane ka yeh tareeqa uska achha laga.

Aankh khuli.

Pehli dafa kaanp kar nahin sharmakar jagi.
Sukoon toh tha.
Par gila bhi raha.
Phir socha,
khwaab itne bhi bure nahin.

Toh khwaab dekho.
Kuch rehne do.
Kuch poore karo.
Riddhi N Hirawat Jan 2019
Kal fir se wahi din
Kal fir jagi si raatein
Darta hai dil

Darte hain hum
Ki kho na jayein
Bin dekhe shabnam

Andheri raat ke thehre pani mein
Humesha ke liye gumm
Humesha ke liye namm

— The End —