Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ankit Dubey May 2019
Tum bheegna chahti thi baarish me hanth me hanth pakadkar,
Tum aana chahti thi jindagi me meri khushi bankar,
Chahti thi tum kabhi k mai tumoo baahon me bhar loo,
Sona chahti thi tum mere seene pe sar rakh kar,
Kha tumne hi ek din tha k tham lo haanth tum mera jindagi bhar k liye,
Mujhe bas apna bana lo tum aane vaale har pal k liye,
Har baar dil ko mere sunahre sapnr dikhaye tumne,
Kabhi mere haanthon ko choomkar to kabhi hanthon me haanth pakadkar,
Inkar tumko bhi nahi tha k tumhe mujhse mohabbat hai,
Sirf mujhko hi nahi tumhe bhi mujhse utni hi mohabbat hai,
Tumhar bhi kabhi khwahish thi k baal sanwaroo mai tumhare,
Ungliyon se pajadkar kaan k paas le jaaun sare,
Saath bitayen jindagi baant le har muskurahat aur ansoo aapas me hi saare,
Magar tanha is dil ko ehsaas hua jab toota ye sapna,
Meri khatao se rooth kar rukh mod liya  tumne jab apna,
Ab na baaki rah gayi jafa koi,
Tumhe vaapas bulane ki,
Tum mujhse door ** gayi ** chahat todkar apni,
Tum mujhse rooth jati ** ku vaade bhoolkar sare,
Ijaajat tumne hi di thi tumko satane ki,
Satata aaj b nahu hu,
Khata fir bhi ** jaati hai,
Chalo ek baar aa jao,
Na mujhse door tum jao,
Gunah mere kiye saare ,
Bhulakar dil ki ranjish ko paas aa jao tum mere,
Samajh jao dil ki tadpan ko nigahen mujhse na fero,
Aaajao is baar pyaar me kar le milkar k vaade sare poore,
Jo meri nasamjhi se abhi tak rah gaye adhoore,
Paas tum aa jao mere paas tum aa jao mere,
Ek tum hi to ** meri koi aur nahi kareeb shiva ek pyaar k tere.
I love u
Chowdhary Ishrat Jun 2018
Tere Pyaar Ki Inteha Hogyi
Ab To Zulm Ki Inteha Hogyi
Tujhse Boht Ab Wafa Hogyi
Shyd Teri b Poori Wafa Hogyi
Teri Har Galti Mjse Rafa Hogyi
Tujhse To Wafa He Rafa Hogyi
Wafa He Tujhse Khafa Hogyi
Ab To Zindagi b Khafa Hogyi
Jaane Hum Se Kya Jafa Hogyi
Tujhse To Wafa He Jafa Hogyi
Har Khushi Ab Dafa Hogyi
Zindagi Se Ishrat Dafa Hogyi
12:16 AM
20th May 2018
Ankit Dubey May 2019
Yun khafa na ** jaaya kro tum mujhse dar jata hu,
Na door jaaya karo tum mujhse dar jata hu,
Haan mai karta hu galtiyan par pyaar b sirf tumse hi karta hu,
Yu na bhulaya kro mujhko mai khud ko bhool jata hu,
Chahta kis kadar hu tumko ye tum bhi jaanti **,
Dil me ehsas sirf tumhara hai kya tum isse b ikaar karti **,
Wajah ** tum meri har khusi ki isme na koi jafa hai,
Na judaa ** jaaya karo mujhse kaise batau tumhe kis kadar toot kar bikhar jata hu..
Luv u
Ain Sep 2020
Tum se yeh mohabbat ka jo shewa Maine pehna hai
Ab kya kahun ke kafan ka kapda Maine pehna hai

Har shai mein teri yaadon ka sehra maine pehna hai
Kaanton se jo bana hai woh zewar Maine pehna hai

pal bhar ka wasl phir wada e hijr maine pehna hai
Anjaam e ishq ka yeh naya tamgha Maine pehna hai

Wafa ke ghar jafa ka yeh keechad maine pehna hai
Ilzaamon ke rangon ka ek saaya maine pehna hai...

Kya kahun Ae Ain ishq mein kya kya Maine pehna hai
Haya ko karke tark libaas e behaya pehna hai...
Guzar ta nahi ye shaam-e-gham  
Zindagi ke dukhon ka hai peham sitam  

Qadam qadam par thakan ka pehra  
Himaton ke chiragh bhi ** gaye madhham  

Musaafir hoon raahon ka jin ko khabar  
Manzilon ka saraab hai, dil ka maatam  

Khawab jo bune the, reza reza huye  
Haath khaali rahe, na raha koi dum  

Sawaal ye hai, aye falak-e-jafa  
Kitna aur sehna hai, bata ye sanam  

Guzar jaye ye shaam-e-gham kisi tarah  
Warna raah mein bikhar jayein hum

— The End —