Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Akshat Mar 2018
school ke pehle Din mile the, Rote Rote Sab aye the par tum has rahe the.
Usi baat se rote rote me chup hua tha aur wahi se dosti ka pehla chapter shuru hua.
Padhai ke chor Hum washroom Break ke bahane aadha lecture bunk Krte the.
Break me 15 ki sandwich aur 10 ka juice aur kaha koi kharche the.
7 bje se pehle agr barish hogi to scl nhi jaenge aur usi ki chutti Milte hi barish me jam ke nahaenge .
Result ke din kiska Kam ayega uspe shart lagti thi aur agr uska zada Aya to ye sochke bht phat ti thi.
Mere saamne shart harke Jeet ta hmesha tu hi Tha , kuch nhi pada yr bolke topper banta tu hi Tha... Jhuta saala!!.
Pehli baar kisi ldki ko dekhte dekhte tumne mujhe dekh Lia tha ,uske saamne usi ke Naam se chidane ka zimma tumne le Lia tha .
Teacher ne jab daat ke bahar hmko khara Kia Tha , class room se zada bhr hmne seekh Lia tha.
Aakhri baar jab aakhri din ham mile the kai wade hamne kr lie the.
Par tab shuru Hui zindagi ki asli class, alg school me admission no same class.....are Koi naa alg school Hai to Kya hua har week Milte rhenge par Sach btae dost aur kitna khud ko dhakte rhenge .
Pehle milke plan banate the ab Milne ka plan banta hai........in sab me kahi kho si gayi Hai hmari zindagi.
Kaha Hai yr Mera vo school Wala dost kaha Hai.......
Pranay Patel Oct 2020
Are ye  to batao tum chahte ** kya?
Alag thalag bhi kar doge, jo pana chahte **
vo  pa loge ham bhi bhul jaenge
magar itihaas nahin bhulega.
Dange bhi karaaoge, khedh bhi jataoge
ek baat yaad rakhna tum bada pachtaoge.

Namak wali rotiya khilaoge, pani wali chai banaoge
Bin karan lathiya chalvaoge
Aazad desh bolkar media ko zukaoge
Dhayan bhatkakar chai va biskut bhi tum khaoge
Per ek na ek din apne aap ko katghare may paoge.

CAA ke naam par humay daraoge
betu ke kazag makang kar
bahar ka rasta dikhaoge
kapdo ka rang dekh kar
chronology tum samjhoge
antinational bolkar har prashn ko tum dabaoge
Jo aag tumnay lagai vo kesay bujaoge
Aaesi hi lagaygi us maa ki k phut phut kar marjaoge.

Bus mann ki baat tak simit rahakar
kaam ki baat bhul jaoge.
Ek press conference to hoti nahin tumse
tum kya aatmnirbhar banaoge
Saal dar saal shrif aarakshan ko hi tum badaoge,
China ko jhutha bolkar, detention camp banvaoge.
Marne ke bad shidha tum narak mein hi jaaoge.

Ek baat yaad rakhna dost
tum  bada pachtaoge,
TUM BADA PACHTAOGE.

— The End —