Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"jaega" poems
1 nayi raah ko chunna chahta hoon, sabse kuch hatkr kuch naya, kuch alag karna chahta hoon, Ha tum sahi samjh rhe ** mein udna chahta hoon!!! Bhut kuch paane ki tadap hai abhi mujhme, Us tadap ko hmesha zinda rkhna chahta hu, Haan mein udna chahta hoon.. Apne dil me chupe jazbato ko bayyan karna chahta hu, Apne hunar or kabiliyat se apni pehchan bnana chahta hu , Haan mein udna chahta hoon... Dusro ko sabit krne ke liye nahi apne liye jeena chahta hu, Apne hatho ki lakeero me mehnat aur kamyabi ke rang bhar dena chahta *** Haan mein udna chahta hoon.. Ye alag rasta shyd abhi logo ko samjh nhi aaega, Kai baar shayd mera mzak bhi bnaya jaega, Pr fir bhi usi kaam ko puri mehnat, shiddat aur dil ke sath karna chahta hoon, Haan mein udna chahta hoon.. Aasman ki bulandiyo ko choona chahta hoon Lakho zindagiyo ke liye 1 misaal Banna chahta hoon... Haan mein udna chahta hoon Haan mein udna chahta hoon !!!! By : Shivam Porwal
0
Jan 7, 2018
Jan 7, 2018 at 2:14 PM UTC
Haan Mein Udna chahta hoon
Kar himmat or aage badh, Bina dare, bina thake bas chal de tu, Mushkile hai raah me, to aane de, Kuch kar gujrne ki chah ko jagne de. Tujhme hai wo kabiliyat, Tujhme hai wo junoon, Tu jo chahta h wo kar ke to dekh, Milega tuje 1 alag hi sukun. log kya kahenge ye sochna chod de, Abhi bhi moka hai, apni kismat ko badal le, Are Heera hai tu, bas khud ko tarashne ki jaruart hai, Apne andar chupi kabiliyat ko pehchanne ki jarurat hai, Par sirf, Apni kabiliyat ya apne hunar ko pehchan lena hi kafi nahi hoga, Ye hoonar 1 podha hai, jise tuje apni mehnat ke pasine se Sichna hoga, fir dekh, 1 din tera ye hoonar hi teri pehchan ban jaega. Aur wo din door nahi, jab hazaro logo ke liye tu ek misaal ban jaega !!! :) Written By: Shivam Porwal
0
Jan 24, 2018
Jan 24, 2018 at 12:59 AM UTC
Himmat (Courage for Success)
Aao sathiyo Mai tumhe thoda sa vyapar sikha du Machino ki is duniya Mai bikta Ye insan dikha du Suraj se Brahmand tak fir Prithvi se Ye chand tak Kahaniyo k Mai aj hazaro gulistan bicha dun Aao sathiyo Mai.... Badal raha h waqt Ye Yaro badal rahi h duniya Badalti is duniya Mai sambhalta Mai insan dikha du Aao sathiyo Mai... Hai daud yaha par paise ki paise ka mayajaal h Hota ik pal Mai idhar udhar kaisa bedhangi kamal h Kamaal ki is sajish ka Mai tumhe sartaaj bata du Aao sathiyo Mai... Tum dhund rahe the aj jise kal Mai kese mil jaega Jo kho chuka vo ** chuka tu khud ko kese batlaega... Mai batlata hu tumhe ab tum ko bhi Ye chaal sikha du Aao sathiyo Mai...
0
Dec 12, 2017
Dec 12, 2017 at 4:02 PM UTC
The Machine world