Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ain Sep 2020
Jaante ** na ke muntazir hoti *** main. .....
Tumhare sone ke baad bedaar hone ki....
bedaar hone pe tumse pyari si kuch baatein sun ne ki ....
Phir maiñ kuch kahun phir tum kuch kaho. ....
Phir ab jaana hoga hi bhale se kyun na kaho. ...
Jaante ** na ke muntazir hoti *** main. ...

Tumhari jhalak aane ki kab dikhe mujhe. ...
Mere dil ki baaton ko Kab keh paun main   tujhe. ..
Maiñ ab tak soyi nahi *** tere intezaar mein yeh. ...
Paigham pohunch jaaye bas pata chal jaaye tujhe....
Jaante ** na ke muntazir hoti *** main. ...

Yeh milon ki doori mite na mite. ...
Yeh waqt ki doori mite na mite. ...
Yeh Din aur raat ka chakkar Kate na Kate. ...
Bas sirf lafzon ke raabte se jud jaaun main phir se. ....
Jaante ** na ke muntazir hoti *** main. ....
JAMIL HUSSAIN Nov 2017
Meri Zeest Pur Mussarat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi

Koi Behtarin Surat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi

Upon my existence, happiness
Never was, will not nor ever be

One perfect image
Never was, will not nor ever be

Mujhe Husn Ne Sataya
Mujhe Ishq Ne Mitaya
Kisi Aur Ki Ye Halat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi

Mein Yeh Jaante Huay Bhi
Teri Anjuman Mein Aaya
Ke Tujhe Meri Zarurat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi

Beauty has made me suffer
Love has caused me to fade
This state of any other
Never was, will not nor ever be

Knowing this
I came to your gathering
That for you, my need
Never was, will not nor ever be

Jo Gila Kiya Hai Tumse*
Jo Samaj Ke Tumko Apna
Mujhe Gair Se Shikayat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi

Ye Karam Hai Doston Ka
Jo Woh Keh Rahe Hai Sab Se
Ke Naseer Par Inaayat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi

Those sorrows shared with you
Were with a belief that you are a part of me
Complaint to a stranger
Never was, will not nor ever be

This grace is from friends, who say to all
That upon *Naseer, favour
Never was, will not nor ever be

✒ Translated by ℐamil Hussain , *Poet, Peer Naseer Uddin Naseer, Sung by Nusrat Fateh Ali Khan
SmArTy Jan 2018
Es kadaake wali..thand me chai ki tarah bankar aajao na tum.
.
Sukhha sa pada hai mere dil ka registan ek baarish bankar aajao na tum
.
Nhi raha jaata es andhere wali Zindagi me,
Ek roshni ki kiran leke aajaao na tum.
.
Sab jaante  nhi hai mere dil ki raani **,
Ek baar aake bta jaao na tum
.
Dukh bad gye hai intzar me tumhaare.
Ek khushi banke dil me sama jaaao na tum.
.
Plzz plzZ plzZ
Meri lyf main aajao na tum.
.
.
.
#SmArTy...
Feelings
Ain Sep 2020
Bina jaane haqiqat ko jo tum ilzaam rakhte **. ..
Kathehre mein khada karne se pehle jaante bhi **....???
Ke honthon ki chupi ka kuch ahem maqsad bhi hota hai. ...
Kabhi jo hota hai dikhta nahi dikhta nahi woh hota hai. ....

— The End —