Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"jaanta" poems
*Deutsche ♥ Ich weiß, dass ich dich liebe. Ich es bezweifle nicht ^_^ Ich werde sicherlich küssen, Sie zweifle nicht daran. ;-) Translation 1 English ♥ I know that I love you, I don't doubt it. ^_^ I will surely kiss you, You don't doubt it. ;-) Translation 2 Hindi ♥ Main jaanta hoon mujhe tumse pyar hai Mujhe koi shak nahin is baare mein. ^_^ Main tumhe zaroor choomunga, Tum is baare mein shak mat rakhna. ;-)*
0
Apr 6, 2013
Apr 6, 2013 at 2:22 AM UTC
Ich bin in dich verliebt | I am in love with you | Main tumse pyar kar baitha
Bin aapke ek pal raha nahi jaata, Dil ki dadhkano ko khuda hai jaanta. Is janam mein khushnaseeb hain aapko paakar, Khuda se duaein karte har janam aapko maangkar. Aapke liye agar taqdeer se bhi ladna pada, Khushi khushi ladegi aapki mahiya. Dukh ne sataya aapko tou saamne milegi aaapki sangini, Aapki rooh ko chhukar is rooh tak hawaein aapki khabar batati. Aapka naam lekar hi chalti hain ye saansein, Beintehha mohabbat hai humein aapse. Fikar nahi kariye, Jaan aye meriye. Jeet lenge apni mohabbat se sabko, Ek kharoch bhi nahi aane denge aapko. Ye dadhkane chalti hain sun un dadhkano ko, Aapki muskurahat dekhkar hi sukoon milta humko. Aapki aankho mein ashq ka ek katra tak nahi aane denge, Har janam hum sirf aur sirf aapke hi rahenge. Dur jaane ki baat nahi kara kijiye, Meri zindagi meri rooh aap hi ** jaan aye meriye. Aapke bin ye dil kahin lagta nahi, Jahan aap honge milenge aapko hum bhi wahi. Nazar na lag jaye kabhi tabeez bankar raksha karenge, Jis haal mein rakhoge aapke sang humesha khush rhenge. Aapse hi judi hain humari saari khushiyan, Duniya badi hai par mere liye aap hi ** meri duniya.
0
Nov 13, 2019
Nov 13, 2019 at 2:24 AM UTC
dil se dil tak
Kuch ajnabi si halchal.. Kuredd rhi hamare Dil ko pal pal!! Najaane kya bayaan krna chahti h.. Shayad aane waali koi aandhi h, Jo Hume barbaad krna chahti h!! Najjane kya Sandesh lekar aai... Shayad nhi samjh paa rhe hum iski gehraai!! Kuch andherapan sa chaa rha h... Jo Hume shayad pal pal maar rha hai!! Kuch to ajeeb baat hai... Shayad aane waali ek kaali Raat h!! Shayad koi apna hi hai iske piche.. Jo dhakel rha Hume sabse niche!! Shayad qismat mein hai yahi Likha ... Ki Hain hum uski life ka ek maamuli sa sikka!! Jo shayad koi keemat nhi rakhta h... Lekin vo shayad nhi jaanta ki ye sikka Uske liye Jaan Dene ki Bhi himaat rakhta h!!!!!                                     - manvee chauhan
0
Apr 27, 2020
Apr 27, 2020 at 1:42 PM UTC
Untitled
Tum so rahe ** jaan.... Par is dil e bechain ka kya karun jo betaabi aur behaali ki zanjeeron mein jakda hua tadap raha hai. .... Tum so rahe ** jaan.... Par is dil e nadaan ka kya karun Jo nahi jaanta.... nahin samajhta....nahin maanta... bas machal Raha hai ..... Tum so rahe ** jaan..... Par is dil e ghafil ka kya karun jo bhool Jata hai raat aur din ke adaab....us ke tareeqe...us ke harkaat...sukunaat.....bas khud hi khud woh to intezaar mein khoya rehta hai.... Tum so rahe ** jaan..... Par is dil e jahil ka kya karun jo faslon ke hudood se na waqif hai. ...is se naap tol aur hisaab nahi hota bas ghadi ke kaanton pe tak take lagaye sochta rehta hai ke is waqt ke zalim kaanton ki ghulami use kyun karni pad rahi hai . ... Tum so rahe ** jaan. ... Par is dil e Masoom ko kaise kahun ke use dharakte rehna hoga. ....Saanson ki maala ko simar te rehna hoga. .....jitna bhi mushkil ** use jeete rehna hoga. .....ke wohi tareeqa hai wohi raasta hai. ....usi tapish se guzarke use rahat e raabta e dildaar hasil hoga. ...... Khair tumhe kya pata. ..... Tum to so rahe ** na jaan.......
0
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 7:11 AM UTC
Tum so rahe **
Main aksar apne jazbaat chupa liya krta hun', Khamosh raaton mein kabhi khud ko hansa ya thoda rula liya krta hun', Jaanta *** jindgi mein ab mukammal nahi hai ishq tera', Par har waqt naam bas tumhara he liya karta hun',
0
Dec 5, 2018
Dec 5, 2018 at 8:51 AM UTC
Jazbaat
Shabdo ke guldaste se likhte hain yaara, Khuda kasam aapke bin dil nahi lagta humara. Aap is dil ki dadhkan ** Aaj fir se pukar rhe hain sun tou lo. Suna hai dil ke rishtey bin kahe sab sun lete, Laga lo kaske apni jaan ko gale se. Aaj keh rhe hain mohabbat hai beinteha tumse, Kabhi juda na hona humse. Aapke bina jiya jaye na, Maana hai tumhe khuda. Aap par kabhi koi aanch na aane denge, Har takleef khud seh lenge. Shayar ** tum, Ghazal hai hum. Diya ** tum, Baati hain hum. Naina ** tum, Roshni hain hum. Khuda ** tum, Bhakt hain hum. Ek pal bhi na jaana dur, Ye dil ** jayega chur chur. Is duniya mein har koi bs rulana jaanta, Aapse milkar ye dil ne seekha dadhakta. Ek aap hi ** jeene ki wajah hamari, Aapkebin ye naadan hai adhuri. Maaf krna agar humse kabhi koi bhul ** jaye, Aapke khatir hum apni jaan kurbaan kar jaye. Aye hawa pahucha de un tak mere paigaam, Unke bin hum hai gumnaam. Har saans par bs naam hai tumhara, Zindagi jeene ka ek hi maksad hai hamara. Lafzon mein baya nahi kar sakte , Hum aapko kitna hai chahte . Taqdeer hamari hai khushnaseeb, Jo aap hain is dil ke itne kareeb .
0
Nov 13, 2019
Nov 13, 2019 at 2:07 AM UTC
Paigaam
Aaj koi Anjaana jankaar ** gaya Koi paraya apna ** gaya . Bade dino baad aaj apne pan ka ehsaas hua hai Shayad uske liye nahi, par mere liye kuchh khaas hua hai. Iss zamaane se ladte ladte main logon par se bharosa kho chuka hoon, Par na jaane kyun, tujh par aitbaar karne laga hoon. Yeh sahi hai ya galat yeh main nahi jaanta Main bass itna jaanta hoon ki khud ko tere hawale kar chuka hoon.
0
May 4, 2020
May 4, 2020 at 3:58 AM UTC
Stranger
Bhot yaad aati hai ab. Raha nhi jaata hai mujhe ab Jaanta hu shayad pa nhi paunga tumhe. Fr b bs tumhara hi supna aata hai ab. Bhot yaad aati hai ab.
0
Jan 9, 2018
Jan 9, 2018 at 4:18 AM UTC
I Miss You
Dard sa kohra e pyaas Ghutane lagi ek fariyad Bekabu e Ishq Dar e shiskiyaan Feezul e nadaniyaan Beparwa ghumta ek parwana Manzil ke vipreet jaata Woh aanjaan sab jaanta Phir bhi bahot hi shehma shehma Ghulta khud ki parchhai se dur bhaagta Bhaagta Woh kanhi Darya Ko dekhta. ...dari hui nigaahein Aur jazbaat e aarzoo ... Pita woh phir ek aur gilaas e daru Bhulta woh woh yaad Kaed e aansoo Bikhra bikhra Tuta Dil .. Jalta **** me .. .. ...
0
Feb 1, 2018
Feb 1, 2018 at 11:10 PM UTC
Barfeele Dard!