Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Tariq Khan Dec 2012
Toote se ek gharondey mein
kuch daraar si hai
jahan se ek awara dhoop ka katra
ek parindey ko uske khwaabon se jagata hai
thoda alsata sa wo kuch ghabrata sa wo
darwaze ke paas jaake har baar palat jaata hai
Use dekh ke na jaane main kyun bechain hota ***
Fikr-e-akhirat mein apni shaksiyat ko khota ***

Uski udaan ki mayoosi se waakif meri pehchan bhi hai
thoda adhura wo khud hai
thoda adhura mera aasmaan bhi hai

Band hai is shahar ki hawa,
Jeene ka kuch asar nahin mujhpe,
Kuch duur se ati koi awaaz, kahin yun hi kho jati hai,
Deewaron se takrakar,mere paas yun ati hai
Kis aur jaun, har simt se nawakif main aksar kho jaata ***
Andheri raaton mein akela khud ko pata ***

khud ke ehd ki zanjeeron mein, darakht si meri jaan bhi hai
thoda adhura main khud ***
thoda adhura mera aasmaan bhi hai

- طارق
Kyu jaa raha hu dur itna
Socha na tha maine jitna
Waha jaake sab ** jayega thik?
Batau tujhe maine socha kitna
Sabse jada dukhi karega yaaron ka wo bichadna
Wo pyar, wo maje, wo khushiyan dard denge na jane kitna!
Apno se dur waha chain se reh paunga,
Kya mai yaha ki saari yaadein bhool paunga!
Kya mai yaha ki saari yaadein bhool paunga!.........

Zindagi me kabhi kabhi kuch cheezein bhoolne me hi bhalai hoti hai.......
Mayank Garg Jun 2020
Dil ka dard chhupana kitna mushkil hota hai
Tootkar phir muskurana kitna mushkil hota hai
Ek baar kisike saath door tak jaake toh dekho
Tab pata chalega ki akele lautkar aana kitna mushkil hota hai
Ek shakhs hai jise main behad pasand karti hoon, jise main beinteha chahati hoon. Ek shakhs hai jisse mera dil beinteha mohabbat karta hai par yeh baat usse main samjhau kaise? Pasandida mard hai woh yeh baat usse main bataun kaise? Nahi reh sakti main uske bina yeh baat woh samajhta kyu nahi? Kya usse mujhse mohabbat nahi? Kyu woh ek shakhs mere dil aur dimaag mein bas chuka hai? Meri mohabbat ab "ishq" ban chuki hai yeh baat main chah kar bhi usse bata paati kyu nahi? Aakhir kyu yeh dil uske bina kahin teherta nahi? Aakhir kyu uske alawa meri nazare kissi aur ko dekhti nahi? Kyu uski yaadein har pal, har lamha mujhe uske aur kareeb kar deti hai? Mujhe usse kya uski aankhon, uski baaton, uski khusboo ya tak ki uske naam se bhi ishq ishq hai, kaash yeh main usse bata paati. Uski aankhein jo samudra se gehri hai, unn aankhon mein dekhna mujhe kaafi pasand hai, uff!! Uski nashili aankhein. Uski awaaz? Uski awaaz mein toh maano jaise ek alag hi madhoshi hai, jisse sunna mere kaano ko ek sukoon sa deta hai aur hayee!! uska naam sunte hi mere chehre par jo muskurahat aati hai, woh kahan hi kissi se chhupi hai? Haan, ishq hai mujhe usse yeh baat mere dil mein hi kahin dafan hai. Usse meri mohabbat ki koi hadd nahi yeh jaake usse koi bataye, uske naraz hone se maano meri saansein tham jaye. Behad khoobsurat hai woh shakhs yeh baat woh maanta kyu nahi? Nahi reh sakti main uske bina yeh baat woh samajhta kyu nahi?
#Love #Ishq #Pasandida Mard 💓💗
cyn Sep 16
ye jo ghoomte hain,
baat baant kar jaise unka kehna kisi ki zindagi sanwar dega—
kyun lagta hai inhe ki ye jaante hain
mujhe ya tujhe,
kaise rakhte ye soch ki bayan karni hai hamari zindagiyan?

kareebi hoh tabhi samajh aaye—
kyun bolna, kisi ke baare mein is tarah,
jab samajhne ko kehkar bhi, na samajh paaye?
toh galti tumhari,
ki usme bhi maine hi tumhare khwaab churaaye?

chor nahin main—
patthar dil kyun kehte?
itna sab kuch jab soch hi liya hai,
toh phir kyun saath rehte?

ek baat karne se pehle chaar dafa sochte hoh,
aur dohrane se pehle baatein badal dete hoh—
tum kyun aise muh modte?

baatein buri lagti hain,
kabhi galtiyaan bhi hoh jaati hain;
sirf kehne ke liye nahi kehti—
lekin jab sunne ko aati hai koi aisi baat
jo sahi nahin, jo hoh hi nahi sakti,
mann karta hai saamne jaake, haath pakad ke bol doon:
"mehsoos kar sakte **? hai insaaniyat?
kon *** mai? dikhti kyu nahi?"


mat kaho jo tumhe lagta hai hoga sach—
jab tak yakeen nahi,
sirf main, aur meri chhoti si duniya jaanne waale hi sahi;
mat kaho kuch bhi—
jo kehne aaye the, woh sab pehle sun kar, samajh kar,
hassne ke saath taalkar,
maine aankhon mein dekh liya.

dard usko hota hai jise aadat na hoh;
zariya uska badalta hai jiske paas taqat na hoh.
mujhe nahi pata main kaisi, kaun aur kyun tere liye;
kuch kehna nahi —
bas, agar kabhi teri maujoodgi mujhse chhin jaye,
toh jaakar wapas unhi galiyon mein — jhoot na bolna.
kon hai ye log?
kya zaruri, jaise inki baatien adhuri?
cyn 5d
ye jo ghoomte hai
kehte hue ki sab likha hai
kya itni aasani se mai maan lu?
bas keh diya – ki likha hai
toh ** gaya, badal gaya sach?

kab tak –
ek baar ko theek, do baar ke liye theek
har baar, likha hai– likha hai pehle se hi sab sambhala hua hai
toh kya hoon mai? ek zariya?
koi khel raha ye khel, aur mai sirf ek – mohra?

parinda woh jiski rooh tak bhi udne mai rehti
uske parr hi kaat do aur bol do – tujhe udna tha hi nahi

jo zeher khakar zinda reh gaye,
usse aadat bhi ** jaati – rukne ki, gir kar uthne ki, sambhalne ki
kaise maan lu ki bas, kisne ek dafa likh diya
jo hona tha, jo hota aaya
woh mai kuch nahi, koi aur kuch nahi

kabhi mann karta inn sabse ladne ka
jhagadne ka
dhoondhne ka,
jaha kuch bhi ye sab likha hua aur usko mita dene ka

lekin kya mai bachungi?
kya mai rahungi?
jo mai hoon, kya waisi ban sakungi?

ye agar ek kahani hai,
aur agar har ek woh insaan jo mere kareeb
aur jiska bhi jaana mumkin, namumkin – jo kuch bhi, jaise bhi
vaise hi
qubool bhale hi na kar saku
ladne ko aur cheekh ko sunne ko
tu rahega?

agar mai in haathon par bani hui ye rekhayein
mita bhi dun
aur jo kuch bhi hai, uska sab ulta kar du
kya woh mere haath mai, meri khud ki kahani
kya siyahi meri hogi?

kya ye meri zindagi hi hai ya kisi aur ki?

aur haan! ek baat aur
abhi suni, padhi aur dekhi
ki do log – jinko aana hota hai ek doosre ki zindagi mai
unka jaana bhi hota hai, jaise hi waqt ka kaanta ghoom jaye
aur ghadi wahi aakar ruk jaye, jaha likhi gayi thi unki kahani

ki kaam hua poora, ek doosre ke liye
ab chalte hai, aur saath reh kar – aas paas hokar bhi na mil sakenge kabhi bhi
jisne bhi is sab ko naam diya,
mann karta hai cheen loon usse jo bhi khushiyaan usko mili,
sirf is ek baat par—

baaki ek darkhwast,
bas ek dor, ek dafa dekh lena jab tu nikle
mat modna, mat mudna, mat dohrana
bas dekh lena
ki haan, jaanta tha tu mujhe

aur mai?
mai toh yahi rahungi
apne liye, hum sabke liye
jo chale gaye, jo jaate jaate reh gaye aur jo hain
un sab ko agar bhar sakti, toh daal deti ek pitaare mai
jiski chaabi sirf mere paas hoti
band kar deti, chhupa deti naseeb aur un taaron se
jo karte hai meri bayaan zindagi
nahi maanti mai



(keh deti hoon, par maanti hoon
bas jaana kisi kisi ka uss aag mai chingari ki tarah
ki lad kyu nahi sakti?
ek baar muqaddar se jhagad ke, sabke khilaaf jaake
usko paa kyu nahi sakti?
kya likha hua hi patthar par lakeer?
taare badalte har pal
kya tab bhi maan lu jo ek baar keh diya gaya?
koi mauka hi nahi, badalne ka?)



sambhal jaungi, tu apne aap ko sambhal lena
khilaaf mere agar hona chahe
toh upar se guzarte hue dariya ko dekh lena
mai sabke khilaaf hokar bhi sabse judi hui
hai tujhme itni taqat? ruk sakta tu kuch pal ke liye hi?

magar dard mile toh mat sehna.

agar jaana sab ko hi hota hai
aur jaana likha bhi hai
aur ye dard, ye pyaar, ye jo bhi hai – baandhe hue doori aur ab gume hue woh haath
jo pakad ke rakhe the ek baar
khoobsurti kaise dhoondhu inme, jab yahi dukhte sabse zyada
har ek woh tukda jo de dete ek doosre ko
milte kaha woh wapas?
likha kuch bhi hoh, karna mujhe wo-hi jo karti aayi hoon.
aur agar mera karna bhi pehle se jayaz hai, toh phir
khauf kaise?
zindagi ne chale jaana jis din jaana hai,
mujhe chalte rehna issi raah par.

— The End —