Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Sanmeet K Sethi Jul 2020
Kya kasoor hai un masoomon ka...
jinki jaan yoon bewajah lee jaati hai,
Khush naseeb hain shayad insaan...
Jinki rooh itne paapon ke baad bhi jee jaati hai,
Kehte hain ki saaf dil walein humesha thokar khatein hai...
Shayad isiliye inn bezuban janwaron ki hi bali di jaati hai.

Mann mein aata hai kabhi kabhi...
Kya haq nahi inhe bhi jeene ka,
Kyu nahi hota pachtava insaan ko...
Inn sab ke haq chheenne ka,

Sharm si aati hai apne insaan hone par...
Kyu ki insaaniyat toh insaan mein bachi nahi,
Galat the shayad humesha se hum...
Ki zindagi ki dor itni kachi nahi.

By Sanmeet K Sethi
@sks__quotes
If you like my poetry then please follow m, need some support🙏
Shivpriya Aug 2019
Ye ragini besudh nahi

Aaj mera ye udaas mijaaz
ka upadeshak dhoondh
raha tha virah ki raaton ko,
lekin naa- umeedon ne
use nahi diya koi sukoon!

Dheere dheere arj kar-kar ke
jab bheeg gaya tha ye dil!
Tab ek anokhi kshamata sirf
aajamaane ke lie, nahi chaahati
thi kissi sitam ko rijhaana!

Maana ki hai ye ek anubhav,
jo ki ban chuka hai garam ashk
aur taiyaar hai in aankhon ko
bharane ke lie! Par hum nahi
chaahate koi guzaree hui raahon
ko dhona!

Isiliye agar tumhe yaad
aaye kissi pratishth hunar ki,
toh apna muskuraata hua
chehara humaare paas jaroor laana!

Kyuki tum phir chhu paaoge,
is dil ke dilaasa bhare shabdon ko!


-Shivpriya
#shivpoetesspriya

— The End —